Poetry / 0
Ijunoon
Tera Hijr Meraa Naseeb
teraa hijr meraa naseeb hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe teri doori ka Gham ho kyu tu kahin bhi ho mere sath hai
mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahi
mujhe Khauf-e-duniyaa nahi magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai
tera ishq mujh pe hai meherabaN mere dil ko hasil hai do jahaaN
merii jaan-e-jaaN isii baat par meri jaan jaye to baat hai

·
2 Like ·
May 17, 2017 at 06:05
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Mein Nay Apni Mihabbat Sapurd Ki Hai Tujhay
MEIN NAY APNI MIHABBAT SAPURD KI HAI TUJHAY
SO DEKH! MERI AMAANAT SANBHAAL KE RAKHNA
ISAY BAHAARON KE NARM HATON NAY PAALA HAI
SOO ES KO GARAM HAWA SAY BOHAT BACHA KE RAKHNA
MIZAAJ ISKA HAWAAON KI TARHA SARKASH HAI
SO ISKI JUNBISH E ABROO KO DEKHTAY REHNA
NAHIN YEH SUNNAY KA AADI NHI RAHA HAI KABHI
SO ISKI BAAT!WO KESI HO,MANTAY REHNA

1 Like ·
Apr 29, 2017 at 17:04
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Hazaar Rasta Badal K Dekha
HAMEN PTA HAI KE
HUM NAY KITNA SANBHAL K DEKHA
NAEE AUR ANJANI REHGUZAARON PAY CHAL K DEKHA
HAZAAR RSTA BADAL K DEKHA
MGAR MERI JAAN
HER AIK RSTA TUMHARI JANIB PALAT GAYA HAI
TAMAAM NAQSHA ULAT GAYA HAI
AUR ES SAFAR MEI
WAJOOD ZAKHMON SAY TOOT GAYA HAI

Apr 28, 2017 at 15:04
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Hay Ye Ghalati Keh Mohabbat Ko Sapna Samjha Tum Nay

Mohabbat Kartay Hi Mohabbat Ko Apna Samjha Tum Nay
Kar Kay Mohabbat Tum es qadar Kho Gaye
Us Kay Inkaar Ko Be Wafai Samjha Tum Nay
es Kdar Mehsoos Kia Tum Nay Zakhmo Ko Apnay
Phoolon Main Bhi Zakham Ka Ahsaas Kia Tum Nay
Thay Mohabbat Main Apni Tum Aisay Gum Sum
Sab Kay Dukh Ko Bhi Tum Nay Hansi Samjha Tum Nay
Dewanay es qadar Ho Gaye Tum Chahat Main Apni
Mohabbat Ko Bhi Khud Se Begana Samjha Tum Nay
Chahat Dil Per Kuch Aisa Naqsh Kar Gaii "Fariha"
Un Ko Bholnay Ki Chah Main Sab Ko Bhula Dia Tum Nay
Mohabbat Karna Un Say Jo Kartay Hain Mohabbat Tum Say
Yeh Samajh Lena Keh Us Din Sab Kuch Paa Lia Tum Nay
Karay Koii Mohabbat Tum Se Or Ho Jao Tum Hasil
Sikander Phir Mohabbat Ko Hasil Kar Lia Tum Nay

Apr 14, 2017 at 05:04
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Mera Aaina Mera Aks Bhi
Mera Aaina, Mera Aks Bhi
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
·
1 Like ·
Apr 02, 2017 at 23:04
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Kehne Ko Ik Ainaa Toota Bikher Gaya
Kehne ko ik ainaa toota bikher gaya!
Lekin mere wujood ko kirchiyon se bhar gaya
Main tu kissi khayal kay tanha safar mein tha
Phir kyun laga, qareeb se koi guzar gaya
Ik aashna se dard ne chonka diya mujhe
Main tu samajh raha tha mera zakham bhar gaya
Shayed kay intezaar issi pal ka tha usay
Kashti kay doobtey hi woh dariya utar gaya
Muddat se us ki chhaon mein betha nahin koi
Woh saya'daar pairr issi gham main marr gaya
Shayed tamaam nisbatain us ko mujhi se thiin
Apni har aik yaad mere naam kar gaya
Ik aur shaam dhal gayi sochoon kay dasht mein
Ik aur din bhi khaak uratay guzar gaya
Mere hi saath SHAAD safar khatam ho gaya
Main ruk gaya jahan waheen rasta thehar gaya

Feb 27, 2017 at 03:02
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Zehn K Khayalon Mein
Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein
Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein
Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein
Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein
Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi
Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"
Rooh k ujalon mein
Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein
Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein
Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein
Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi
Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"
·
1 Like ·
Dec 15, 2016 at 17:12
Category: 0
Poetry / 0
Bila Jawaz Rakhay Khud Ko Be Qaraar Bhi Kyun

Jo Tu Nahi Hay Tu Pher Tera Intazaar Bhi Kyun
Akelay Pan Ka Safar Jab Mera Muqadar Hay
Tu Phir Ay Wada -e- Shikan Teri Rah-Guzar Bhi Kyun
Usay Ganwa Kay Rahon Ab Khezaon Ki Zadd Main
Jo Wo Nahi Hay Tu Pher Mousam -e- Bahaar Bhi Kyun
Ager Bhulaye Hoay Us Ko Ak Umar Hoi
Tu Phir Yeh Aaj Tabiyat Hay, Sogwaar Bhi Kyun
Wo Jin Labon Pay Yaqeen -e- Wafa Mehak Na Sakay
Phir Un Kay Lams Ki Khowahish Ho Ak Baar Bhi Kyun
Jab Us Ko Shouq Tha Rasto Ki Dhool Honay Ka
Palat Kay Dekhta Jata Hay Baar Baar Bhi Kyun

Nov 27, 2016 at 16:11
Category: 0
Poetry / 0
Ijunoon
Jab Rishte Tootne Lagte Hain Teri Yaad Buhat Tarpati Hai
Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Maazi ke ujre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Yoon tou din ke hungamon mein ehsaas magan hi rehta hai
Lekin jab soone lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Nov 05, 2016 at 09:11
Category: 0
Sponored Video