Poetry / General

Mahrukh Nida

Alfaaz Gira Daitay Hain Jazbaat Ki Qeemat

Alfaaz gira daitay hain jazbaat ki qeemat
Jazbaat ko na lafzoon mein dhala karo Wasi

· 2 Like · Jan 28, 2018 at 16:01
Category: general
 
Poetry / General

Ayesha Iqbal

Mit Jayegi Makhlooq To Insaaf Karogay

· 3 Like · Jan 28, 2018 at 10:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Woh Chand K Roshan Tha

woh chaand k roshan Tha
seenon mein Nigahon mein
Lagta hai udasee Ka ik bharrta howa haala
poshak tamanna Ko
Azadi ke khilat Ko
afsos k yaron ne
uljhay huay dhagon Ka ik dhair Bana Dala
woh shore hai Lamhon Ka,
woh Ghoor andhera hai
tasweer Nahi banti, Aawaz Nahi aati
Kuch zor Nahi chalta,
Kuch paish Nahi Jati
Izhaar Ko daasti hai Har Roz Nai aُljhn
Ehsas Peh Lagta hai Har sham naya taalaa
hai koi dil beena. . ? ?
hai koi Nazar wala. . ? ? ?

· 1 Like · Jan 27, 2018 at 16:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Ab Kisi Haal Par Nahe Aati

ab kisi haal par nahe aati
qoum hartaal par nahi aati

dukh sahy mein chala he jata hon
baat sasural par nahi aati

kiyon hai aati mithaas par makhi
lobh raal par nahi aateen

haan woh khwaja sira nahi lekin
resh bhi gaal par nahi aati

dukhtar molvi say shadi ki
murgh say daal par nahi aati

ab murree he bhi yaroo
q meri khal par nahi aati

choor ko bandh lay chalo thaanay
plus hai cal par nahi aati

jab harap kar chuki woh maal maraa
ab kise maal par nahi aati

qoum tou so gayi k bedaari
yom iqbal par nahi aati

is ki tan tan suni nahi jo gayi
baat gharyaal par nahi aati

· 1 Like · Jan 27, 2018 at 10:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Jane Walon Se Palat Kar Naheen Aya Jata

Jane walon se palat kar naheen aya jata
Raasta kis liye pholoon se sajaya jata
Gard,shab aur hawa tinoon ki yeh sazish thi
Yeh deya jal k na bujhta toh bujhaya jata
Gair se chaaoun talab karne se bahter kaheen
Apne aanghan main koi pair ugaya jata
Ham musafir they jo chalte bhi toh paoun jalte
Sar k suraj ko agar sar se giraya jata
Ab k mosam main bohot dhuop utar ai
Barf k pholoon se kia haar banaya jata

· 1 Like · Jan 26, 2018 at 03:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Sitara Saaz

Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha
Ajeeb sooz mere zakhmon ki zubaan main tha
Zameen ne hi mujhye good le liya warna
Sitara saaz ne rakha toh aasman main tha
Main sabaz bakht k soya huwa tha manzel par
Utha toh dhasht e musafat k darmiyan main tha
Sawal karne se pahle hi inkashaf huwa
Mera sakhi toh kisi aur imtahan main tha
"Ziya" pakarta kis ko, sadaeen kia deta
Main chat par pohncha toh darya mere makan main tha

· 1 Like · Jan 25, 2018 at 14:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Joothe Khawab Kal K

Hameen gham mila hamesha
Surat badal badal k
Guzri hai umr sari
Tanhaiyon main jal k
Yeh bojh zindagi ka
Kab tak chaleen utha k
Pachta rahey hain aey dil
Ham toh jahan main aa k
Kantoon ki rahguzar pay
Kab tak chaleen sunbhal k
Hamdard toh bohot hain
Koi charagar naheen hai
Meri zindagi main apna
Koi hamsafar naheen hai
Aankhon main ham sajayeen
Kion jhotay khawab kal k

· 3 Like · Jan 25, 2018 at 08:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Ehwaal Ek Safar Ka

Ajnabhi sabza zaroon main
Had nazar tak banfasha k phool
Ajnabhi toh na they, na hain
Woh toh rah e safar k ujaley bi they
Hamsafar bhi lage
Daastaneen sunate bhi they
Aur sunte bhi they
Ab k mosam tumeen yaad kartey rahey
Aur main chup rahi !

· 1 Like · Jan 25, 2018 at 02:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Unhi Galiyon Main

Chaleen phir khaak urane
Unhi galiyon main chaleen
They jahan apne thikane
Unhi galiyon main chaleen
Phool girte they darakhton se
Uthatey hi na they
Aik aik phool uthane
Unhi galiyon main chaleen
Na sada deen gey
Na darwazoon pey dastak deen gey
Bas guzarne k bahane
Unhi galiyon main chaleen
Yunhi sadeyoon se
Darakhton ki jaroon se peves
Jahan rahtey they zamane
Unhi galiyon main chaleen
Waheen rahtey they jahan ham
Usi darwaze par
Yunhi zanzeer hilane
Unhi galiyon main chaleen

· 1 Like · Jan 24, 2018 at 19:01
Category: general
 
The Reality of Group Project
Posted by iqra raheem
Posted on : Jul 09, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS