Poetry / General

Ijunoon

Dost Toh Hai.

Is qader bhi toh na jazbaat pey qabo rakho
Thakh gaey ho toh mere kandhe pey hath rakho
Bhulne paey na is dhasht ki waheshat dil se
Shehar k beech raho baag main aho rakho
Khushk ho jaey gi rote huwe sehraa ki tarah
Kuch bacha kar bhi toh is aankh main aansu rakho
Roshni ho gi toh aa jaey ga rahber dil ka
Us ki yadoon k deye taak main har su rakho
Yaad aeye gi tumari hi safar main us ko
Us k romal main ek achi si khushbo rakho
Ab woh mehboob naheen apna,magar dost toh hai
Us se yeh ek tahluk hi behrso rakho

· 1 Like · Jan 24, 2018 at 12:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Waqt Ki Tehreer

Apni majbori bata ta raha ro kar muj ko
Woh mila bhi toh kisi aur ka ho kar muj ko
Paa liya main ne teh aab bhi sahil apna
mutmaen tha mera tufaan dabo kar muj ko
rag e sahil pay likhi waqt ki tehreer houn main
Mouj aey toh chali jaey gi dho kar muj ko
Neend main jaise koi kang amaan hai ab toh
Chain milta hai bohot, dair se so kar muj ko
Fasl e gul ho toh nikale mujhye is barzakh se
Bhool jaey na teh e sang woh bo kar muj ko

· 1 Like · Jan 24, 2018 at 06:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Main Ne Roka Bhi Naheen.

Main ne roka bhi naheen
Aur woh thaira bhi naheen
Haadsa kia tha jise dil ne bhulaya bhi naheen
Jane walon ko kahan rook saka hai koi
Tum chale ho toh koi roknay wala bhi naheen
Door o nazdeek se uthata hi naheen shoor e zanzeer
Aur sehraa main koi naksh kaf e pa bhi naheen
Beniazi se sabhi kura e jaan se guzre
Dekhta koi naheen hai k tamasha bhi naheen
Woh toh sadeyoon ka safar kar k yahan pouncha tha
Tuh ne moun phir k jis shakh ko dekha bhi naheen
Kis ko nerngi,ayam ki surat dekhlaeen
Rang urta bhi naheen naksh thairta bhi naheen

· 1 Like · Jan 24, 2018 at 00:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Barsoon Baad.

Umedoon k phool khile hain
Aas ki kaliyan chatki hain
Barsoon baad use dekha toh
Aankheen kis ne jhapki hain
Us ne apne khat main muj ko
Kitne dard se likha hai
Ab toh gaoun aya karna
Ab toh sarkeen paki hain
Jane kis ko kahan mile they
Koun kahan par bichra tha
Ham ne asi sari yadeen
Nisaan taak par rakhi hain
Kache dhagon ka bandhan ho
Ya zanjereen sone ki
Dil jazboon se khali hoon
Toh sab tatbereen kachi hain
Talkhiyaan bantney walon ko bhi
Ham se naheen shikwa "Asim "
Kasi kasi zehreen ham ne
Amrat jaan k chakhi hain

· 1 Like · Jan 23, 2018 at 12:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Talism E Khaak

hum k is khaaq say takhleeq huay
khaaq ka rizq banin ge ik din
khaaq ka roop hain hm, khaaq humhara darshan
tum milay bhi tou mujhay khaaq kay jade mein milay
khaaq k jis ka nah azal hai nah abadd
tum mujhay mairay he kamzor iraday mein milay
khaaq hai jis ki sanad
is numaish hasti kay safar say hum tum
dooria pehnay huay yuhin guzar jayen ge
zaadah khaaq hain chup chaap bikhar jayen ge
hum k is khaaq say takhleeq huay

· 1 Like · Jan 22, 2018 at 06:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Tum Udas Mat Hona

agar kabhi koi lamha
aisa zakhm de jaye
k koi bhi marham us
zakhm ko na bher paye
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
zindgi k sub mausam
aik se nahi hote
saray log ay humdum
aik se nahi hote
zindgi ki rahon main
hadsey bhi atey hain
hadson se barh ker kuch
waaqay bhi atay hain

waqt k hi marhum se
zakhm bher bhi jatay hain
din buray hon ya achay
bus guzer hi jatay hain

waqt ko guzerna hai
zakhm ko bhi bherna hai
dard k charhay derya
ko abhi uterna hai
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona

· 1 Like · Jan 21, 2018 at 11:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Nighahen

Hazaroon manzeleen hoon gi
Hazaroon kaarwaan hoon gey
Nigaheen ham ko dhundheen gi
Najaney ham kahan hoon gey

· 2 Like · Jan 21, 2018 at 05:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Eid Ka Chand

Bheer dekhi toh khayal aya hameen
Janey kab k bicharey loog mileen
Jee main aya abhi tum sey kaheen
Eid ka chand mubarak ho tumeen
Ham bhi khamoosh hameen dar hay yehi
Tum se bicharey barsoon beetey
Tum sey kahna hay aaj hameen
Maangna bhul na jana ham ko
Chand ko dekh kar agar hath utheen

· 1 Like · Jan 20, 2018 at 22:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Aankhoon Se Meri Koun Mere Khawab Ley Geya

Aankhoon se meri koun mere khawab ley geya
Chashm sadaf se gohar nayab ley geya
Is shehar khush jamal ko kis ki lagi hay aah
Kis dilzada ka gariya e khunaab ley geya
Kuch na KHUDA k faiz se sahil bi dour tha
Kuch kismatoon k phir main gardaab ley geya
Wahan shehar dobtey hain, edhar behas k unheen
Khm ley geya hai ya khm mehrab le geya hai
Kuch khoi khoi aankheen bi moujoon k sath then
Shayad unheen baha k koi khawab le geya
Tufaan abrobaad main sab geet kho gaey
Jhonka hawa ka hath se mazrab le geya
Gairoon ki dushmani ne na mara, magar hameen
Apnoon k altafat ka zehraab le geya
Aey aankh ! ab toh khawab ki duniya se loot aa
"Masgaan toh khool ! shehar ko salab le geya !

· 1 Like · Jan 20, 2018 at 15:01
Category: general
 
Baaz oqaat kisi aur ke milne se adam,
Posted by amina noor
Posted on : Mar 06, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS