Sms / Ghazal
Ijunoon
Kuch Dour Hamare Saath Chalo
Kuch dour hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo juley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Iss dil mein zara tum baitho tou
Kuch haal hamara poocho tou
Hum sada dil hain ashqana mager
Har baat poorani kehdein ge...
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo juley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Iss dil mein zara tum baitho tou
Kuch haal hamara poocho tou
Hum sada dil hain ashqana mager
Har baat poorani kehdein ge...
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Tumhain Ab Bhool Hi Jayain Tou Acha Hai,
Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
Tou ab ghair hi bun jayain tou acha hai,
Hamari tou umer guzri hai teri chahat main,
Tu iss aag main na jalay tou acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na aye tou acha hai,
Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab tou apni parchai bhi sath na aye tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jaye tou acha hai
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
Tou ab ghair hi bun jayain tou acha hai,
Hamari tou umer guzri hai teri chahat main,
Tu iss aag main na jalay tou acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na aye tou acha hai,
Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab tou apni parchai bhi sath na aye tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jaye tou acha hai
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Bana Gulab Tou Kantay Chubha Gaya Aik Shakhs,
Bana gulab tou kantay chubha gaya aik shakhs,
Huwa chiragh tou ghar hi jala gaya aik shakhs,
Tamam rang meray aur saray khuwab meray,
Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,
Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon,
Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,
Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey,
Milley woh zakham k phir yaad aa gaya aik shakhs,
Khula yeh raaz k aina khanah hai duniya,
Aur iss main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs
Huwa chiragh tou ghar hi jala gaya aik shakhs,
Tamam rang meray aur saray khuwab meray,
Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,
Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon,
Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,
Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey,
Milley woh zakham k phir yaad aa gaya aik shakhs,
Khula yeh raaz k aina khanah hai duniya,
Aur iss main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Bahar E Ishq Main Doob K Daikh Kabhi
Bahar-e-Ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi
her taraf tera hi aks nazar aye ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi
ghuror hay tujhey apni zulfon ki chaaon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi
kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangan say bahir aa k daikh kabhi
kitni hoti hay mithas jazba-e-dur guzar main,
kisi rothay howay ko mna k tu daikh kabhi
kerti hay kaisay khushbu gul say parwaz
ik bar mujh say dour ja k daikh kabhi..

Tags: Ishq
Sms / Ghazal
Ijunoon
Bun Jaon Agar Tum Sa Tumhain Kaisa Lagay Ga
Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?
Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?
Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jaye agar pyar saza kaisa lagay ga ?
Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagaa kaisa lagay ga?
Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?
Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?
Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jaye agar pyar saza kaisa lagay ga ?
Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagaa kaisa lagay ga?
Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Aatish E Ishq Main Jal Jaon Tujhey Iss Say Kiya
Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey iss say kiya
Mousam ki tarah badal jaon tujhey iss say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey iss say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal ho jaon, tujhey iss say kiya
Hansta daikh ker hans parron, rota daikh ker ro parron,
Halaat k sanchay mein dhal jaon, tujhey iss say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey iss say kiya.
Mousam ki tarah badal jaon tujhey iss say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey iss say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal ho jaon, tujhey iss say kiya
Hansta daikh ker hans parron, rota daikh ker ro parron,
Halaat k sanchay mein dhal jaon, tujhey iss say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey iss say kiya.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Ishq
Sms / Ghazal
Ijunoon
Kaise Woh Lot Aye Ke Fursat Usse Nahin
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Mohabbat
Sms / Ghazal
Ijunoon
Dil Mein Ab Dard E Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahin
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gaye rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin...
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gaye rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin...
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Dard Khuda Ibadat Mohabbat
Sms / Ghazal
Ijunoon
Baaton Baton Mein Bicharnay Ka Ishara Ker K
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k.
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Tanhai Ishara
Sponored Video