Sms / Ghazal
Muzammil Shahzad
Abi Kuch Dair Baaki Hai
Abi kuch der baki hy!!
Khizan k beet jany may
gulun k muskurany may
Khushi k geet gany may
Baharun k zamany may
Abi kuch der baki hy..
Ma tm ko bhol jaonga
Na tm ko yad aonga
Ma tm sy dor reh kr bi
Tmhy G k dikhaonga
Tmhy malom hy liken
Ye sb ma kr na paonga
K tm ko bhol jany may...
Abi kch der baki hy...
Khizan k beet jany may
gulun k muskurany may
Khushi k geet gany may
Baharun k zamany may
Abi kuch der baki hy..
Ma tm ko bhol jaonga
Na tm ko yad aonga
Ma tm sy dor reh kr bi
Tmhy G k dikhaonga
Tmhy malom hy liken
Ye sb ma kr na paonga
K tm ko bhol jany may...
Abi kch der baki hy...
·
1 Like ·
Apr 24, 2009 at 07:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Koi Tum Se Poochey
Koi tum se poochey kon hun mein
Tum keh dena koi khas nahi
Ik dost hai kacha pakka sa
Ik jhoot hai adha sacha sa
Jazbaat ko dhanpe ik parda
Bas aik bahana acha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door na ho kar pass nahi
koi tum se poochey kon hun mein
Tum keh dena koi khas nahi!
Tum keh dena koi khas nahi
Ik dost hai kacha pakka sa
Ik jhoot hai adha sacha sa
Jazbaat ko dhanpe ik parda
Bas aik bahana acha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door na ho kar pass nahi
koi tum se poochey kon hun mein
Tum keh dena koi khas nahi!
·
1 Like ·
Mar 14, 2009 at 12:03
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Bohat Hi Yaad Aata Hai Mere Dil Ko Tarpaata Hai
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
Woh tera paas nah hona bohat mujh ko rulaata hai
Woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
Teri awaaz ke saher se nah nikal paana
Tujh ko dekhna aur bey-khudi se dekhte jaana
Bohat chaha in guzre hue lamhon ko nah sochoon
Nah teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
Ke jin se tais uthti hai ke jin se dard hota hai
Magar jab raat aati hai tou teri yaad aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
Tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
Tujhe jab yaad karte hain tou Dil apna tarapta hai
Woh tera paas nah hona bohat mehsoos hota hai...

Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Yaad Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Mila Woh Bhi Nahi Karte
Mila woh bhi Nahi karte , Mila hum bhi nahi karte
Bewafai woh bhi nahi karte, Bewafai hum bhi nahi karte,
Unhen ruswai ka dukh hai, Humain tanhai ka ghum hai,
Gila woh bhi nahi karte, Gila hum bhi nahi karte,
Kahin kisi mour per aksar Samna ho hi jata hai,
Ruka woh bhi nahi karte, Ruka hum bhi nahi karte
Unhain jab bhi dekhte hain, Sochte hain kuch kahen,
Suna woh bhi nahi karte, Kaha hum bhi nahi karte.
Bewafai woh bhi nahi karte, Bewafai hum bhi nahi karte,
Unhen ruswai ka dukh hai, Humain tanhai ka ghum hai,
Gila woh bhi nahi karte, Gila hum bhi nahi karte,
Kahin kisi mour per aksar Samna ho hi jata hai,
Ruka woh bhi nahi karte, Ruka hum bhi nahi karte
Unhain jab bhi dekhte hain, Sochte hain kuch kahen,
Suna woh bhi nahi karte, Kaha hum bhi nahi karte.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Tanhai
Sms / Ghazal
Ijunoon
Har Ek Lamha Naya Ik Imtehan Hai,
Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat karna chahti hon,
batao tou sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey iss ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat karna chahti hon,
batao tou sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey iss ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,
Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain tou kuch aap pah ahsaan nahin kertay,
Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar peh gulo ko,
Itna bhi tou qatil ko pashaiman nahin kartay,
Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu aya tou ham ghar main charaghan nahin kartay,
Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,
Hum tu chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain tou kuch aap pah ahsaan nahin kertay,
Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar peh gulo ko,
Itna bhi tou qatil ko pashaiman nahin kartay,
Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu aya tou ham ghar main charaghan nahin kartay,
Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,
Hum tu chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Yaad Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Uss K Honton Ka Tabassum Rahay Qaeem Ya Rub
Uss k honton ka tabassum rahay qaeem YA RUB
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day
Tu meri KARB ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ki her shaam k aakhir mai SAWAIRA ker day.
Uss k DIL k kisi konay main jagah day mujh ko
Uss ki AANKHON ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay MERA MOLA SUN LAY
Saaaari duniya say chupa ker USSAY MERA KER DAY
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day
Tu meri KARB ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ki her shaam k aakhir mai SAWAIRA ker day.
Uss k DIL k kisi konay main jagah day mujh ko
Uss ki AANKHON ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay MERA MOLA SUN LAY
Saaaari duniya say chupa ker USSAY MERA KER DAY
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Honton
Sms / Ghazal
Ijunoon
Zindagi Qaid E Musalsal K Siwa Kuch Bhi Nahi
Zindagi qaid e musalsal k siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm-e-wafa iss k siwa kuch bhi nahi
Jeenay ki arzo main roz mar rahey hain
Dawa teri muhabbat k siwa kuch bhi nahi
Khanchti hai apni taraf gulshan ki rang- o- bu
Kashish phoolon main khushboo k siwa kuch bhi nahi
Bhool jana aik naymat hai khuda ki islia
Bhoolna tera haqeeqat k siwa kuch bhi nahi
Thora hai farq baqi insan aur hewan main
Saqi tujh mein muhabbat k siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm-e-wafa iss k siwa kuch bhi nahi
Jeenay ki arzo main roz mar rahey hain
Dawa teri muhabbat k siwa kuch bhi nahi
Khanchti hai apni taraf gulshan ki rang- o- bu
Kashish phoolon main khushboo k siwa kuch bhi nahi
Bhool jana aik naymat hai khuda ki islia
Bhoolna tera haqeeqat k siwa kuch bhi nahi
Thora hai farq baqi insan aur hewan main
Saqi tujh mein muhabbat k siwa kuch bhi nahi
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Muhabbat Khuda
Sms / Ghazal
Ijunoon
Aaj Dareechay Main Woh Aana Bhool Gaya
Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,
aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main aana bhool gaya,
bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,
chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,
khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya
rooth ke dono aik jagah baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya

Tags: Bhool
Sponored Video