Sms / Ghazal

Seema

Shikwa

tum hamare kisi trah na huye, warna dunya me kya nahi hota

· 1 Like · Nov 28, 2011 at 09:11
Category: ghazal Tags: Khuda
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Zindagi Mili

Zindagi mili kuch zara si thi
Kuch is main kami b zara si thi

WO roz hoty gaye pas se pas mere
Lakin kuch kami ab b zara si thi

Chand jagty jagty akhir,so hi Gaya
Raat abi rehti kuch zara si thi

Muhabbat bant Di unho ne zamany bhar mein
Jo hamary hissay mein aai wo zara si thi

· 1 Like · Sep 30, 2011 at 13:09
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Mujhay Fursat Hi Fursat Ha

Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Mujhay Fursat Hi Fursat Ha
Saweirey Jald Uthna Ha
Na Shab Ko Deir Se Sona
Kahein Baahir Nahi Jana
Kisi Se Bhi Nahi Milna
Na Koi Fikr Laahaq Ha
Na Koi Yaad Baaqi Ha
Magar Ye Aakhri Misraa
Zara Sa Jhoot Lagta Hai

· 1 Like · Sep 30, 2011 at 12:09
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Barson Se Tere Shehr Se

Barson se Tere shehr se guzra Nhi hoon main,

Lekn Tere kheyal se bichra Nhi hoon main,

mujh ko qadm qadm pe mili haar ki soghaat'

ye mera hosla he k toota Nhi hoon main,

Shabnm ko dekhna he to dil ki nazar se dekh'

Main aik talkh sach hoon dhoka Nhi hoon main

· 1 Like · Sep 30, 2011 at 12:09
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Tujh Say To Koi Gilla He Nahi Hay

Tujh say to koi gilla he nahi hay
Qismat mein meri silla he nahi hay

Bichray to najanay haal kya ho
Jo shakhs abhi milla he nahi hay

Jeenay ki to arzoo he kab thi
Marnay ka be hoosla nahi hay

· 1 Like · Sep 29, 2011 at 11:09
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Main aksr Usy kehta hon Tum shor boht Machati ho

Phr wo mjhse kehti hy

Jb kalai meri tum pkro gy
Choori to meri khanky gi

Choori ka shor to hota hy

Jb pyar sy mujhe bulao gy

Tb Dorr k me aungi

Phr Payal meri khanky gi

Payal ka shor to hota hy

Jb bindya meri Chamky gi
Ankh me tmhri Damky gi

Jazby shor Machaye gy

Jazbo ka shor to hota hy

Zulf meri suljhaty hue
Jb Gajry ko Bikhrao gi

Tb Sansen meri Mehken gi

Sanson ka shor to hota hyg

· 1 Like · Sep 29, 2011 at 11:09
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Wo Khuwaab Thaa Bikhar Gayaa

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

· 1 Like · Jul 16, 2011 at 09:07
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Usey Yaad Ker K Na Dil Dukha

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

· 1 Like · Jul 16, 2011 at 09:07
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Har Ek Lamha Naya Ik Imtehan Hai

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai...

· 1 Like · Jul 16, 2011 at 09:07
Category: ghazal
 
Giant Comb Bike Rack.
Posted by sana dimple
Posted on : Dec 06, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS