Search
Poetry / Sad
Neelum Chaudhry
Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay.
Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay
Aap Ko Mil Gaye Hain Qismat Se
Ham Zamanay Mein Kab Kisi Ko Milay ?
Aisay Khushbu Se Mil Raha Hai Gulaab
Jis Tarah Raat, Roshni Se Milay
Ham Faqeeron Se Dosti Hai Magar
Os Se Kehna Ke Saadgi Se Milay
Dil Mein Rakhtay Hain Ehtyaat Se Ham
Zakham Jo Jo Bhee Jis Kisi Se Milay
Zindagi Se Galay Milay Tou Lagaa
Ajnabi Jaisay Ajnabi Se Milay
Os Ke Seenay Mein Dil Nahee Tha “Batool”
Ham Ne Socha Tha Aadmi Se Milay.

·
1 Like ·
Sep 17, 2018 at 04:09
Category: sad
Poetry / Sad
Samreen Qaisar
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay.
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay.
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay.
·
0 Like ·
Sep 15, 2018 at 18:09
Category: sad
Advertisement
Quotes / Urdu Quotes
Shaista Anam
Logon Ko Usi Tarha Muaf Karo Jaisey Tum Khuda Se Umeed Rakhtey Ho
Logon ko usi tarha muaf karo jaisey tum khuda se umeed rakhtey ho k woh tumhein muaf kardey ga.
·
3 Like ·
Sep 14, 2018 at 15:09
Category: urdu-quotes
Poetry / General
Mohammad Yaseen
Koi Iqbaal Se Keh De
·
2 Like ·
Sep 14, 2018 at 06:09
Category: general
Poetry / Sad
Ameera Gul
Muj Se Mat Pocho
Muj Se Mat Pocho Mere Mehbob Ki Sadgi Ka Andaz,
Nazrain Bi Muj Pe Thi Aur Parda Bi Muj Se Tha...
Nazrain Bi Muj Pe Thi Aur Parda Bi Muj Se Tha...
·
0 Like ·
Sep 14, 2018 at 00:09
Category: sad
Social Wall / Photos
Bilal Ahmed Khan
Khansi K Liye Mufeed! Ziada Se Ziada Share Karen
·
5 Like ·
Sep 13, 2018 at 06:09
Category: photos
Poetry / Sad
Hafiz Mehran
Soaz E Gham Se Jis Qader Shikwa Sada Hotay Hain Log.
soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log
fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log
kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log
is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log
hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log
ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log.

Sep 11, 2018 at 07:09
Category: sad
Articles / Featured
Muzammil Shahzad
Online Adaigiyon K Hawalay Se Khatrat Ka Jaiza
امریکا آن لائن پیمنٹ کے حوالے سے اختیار کیے جانے والے طریقہ کار سے وابستہ خطرات کا جائزہ لے رہا ہے۔ ان میں پے پال اور بٹ کوائن جیسی کمپینوں کے ذریعے ادائیگیوں کا جائزہ لیا جا رہا ہے۔
بعض بینکرز کی طر...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 09, 2018 at 22:09
Category: featured
Poetry / Sad
Mahu Arish
Hum Se Bahal Rahe Hain Aap Aap Bahut Ajeeb Hain.
hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
saya-e-vasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apne khilaf faisala khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
waqt ne aarzoo ke lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahi
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dayera waar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dasht ke sari raunaqen khair se ghar mein hain to q
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain.

Sep 09, 2018 at 10:09
Category: sad
Sponored Video