Search
Articles / Featured
Ijunoon
Swiss Engineer Ka Kashti Par Dunya Ke Safar Ka Aakhri Marhala
موناکو ولے سوئس الیکٹریکل انجینئر نے شمسی توانائی سے چلنے والی کشتی پر دنیا کے سفر کا آخری مرحلہ شروع کر دیا ہے۔ رافیل ڈوم جان نے ستمبر دو ہزار دس میں موناکو سے سفر شروع کیا تھا۔ چھ سو دن کے اس تاریخی...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 24, 2017 at 03:05
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sauchta Hoon Aagahi K Es Safar Ne Kya Dya
sauchta hoon aagahi k es safar ne kya dya
khoon jalanay k siwa meray hunar ne kya dya
meri shakhon se lipat kar aasmaan tak chhoo liya
aur ab bailain ye kehti hain shajar ne kya dya
jiss ne apni har khushi ghar ki khushi par waar di
aik wehshat k ilawa uss ko ghar ne kya dia
kab wo shamil ho saka meray kisi ahsaas mai
sath chalnay k siwa ik ham safar ne kya dia
umr k andhay safar mai kaun rakhta hai hisaab
manzilon say kia mila hai, rehguzar ne kya dya
aarzooain kiss qadar karti hain dil par aitebaar
aarzuon ko dil e naa moatabar ne kya dya
SHAAD dil mai har taraf ab khwahishon ka shor hai
mainay apni ik tamanna ko ubharnay kya dya

Apr 08, 2017 at 11:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Usay Ye Kehna K Roz O Shab Ka Safar
Usay Ye Kehna K Roz o Shab Ka Safar Tanha Guzar Raha Hai
Wo Dil Jo Tere Liey Bana Tha Teri Talab Say Muqar Raha Hai
Meri Muhabbat Ki Band Aankhain Teray Jaganay Say Khul Sakain Gi
Wagarna Ye Dil Mohabtoon K Wajood Say Hi Muqar Raha Hai
Wo apnay Hathon Pay Aaj Mehndi Laga K Kitni Udaas Ho Gi
Wo Sochti To Zaroor Ho Gi Koi Usay Yaad Ker Raha Hai
Kabhi To Socho Tumharay Aanay Pe Jo Dewana Sa Ho Gaya Tha
Wo Kya Abhi Tak Wahin Khara Hai Wo Jee Raha Ha Ke mar Raha Hai
Wo Kal Mila To UsKi Aankhon Men wehshaten Raqs Ker Rahin Thin
Woh Qatra Qatra Pighal Raha Hai Woh Zara Zara Bikher Raha Hai
Udaas Logoon Ki Mehfilon Men Nayi Kahani Koi Sunaye
Koi Bataey Ke Itna Arsa Wo Kis Tarf Tha Kidher Raha Hai

Mar 14, 2017 at 14:03
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Mairgh Khooj Or Tajusus Ka Safar
’مریخ کے لئے کام جاری ہے اور اب تو مریخ سائنس لیبارٹری بھی تیار ہونے والی ہے، جس سے ملنے والی معلومات سے کئی برسوں پر محیط ڈاٹا ملے گا جو ہمیں اس سرخ سیارے کو سمجھنے اور آنے والے برسوں میں در پیش چیلن...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Feb 21, 2017 at 13:02

Feb 20, 2017 at 12:02
Category: featured
Poetry / Sad
Raat Chup Chaap Safar Karti Hai
Raat chup chaap safar karti hai
dil ki wehshat ka talatum bhi thehar jaata hai
neend tareek hawiley ki tarah
aankh say door fazaoun main ataaq jaati hai
or phir rooh k weeraan zamanon say kaheen
teri awaaz chali aati hai
phailta jaata hai lehjoun ka fusoon
sarsaratay huay pattoun ki sada
kaheen awaara hawa ki dastak
tairgi main kisi mitti k diyey ki dharkan
khuwaab ki chaap
sar shab kisi bhatkey huay bey khuwaab musaafir ka gumaan
or phir saari sadayain sab he gham
teri awaz main dhal jaatey hain
dhoondti phirti sadayain sar barbadi-e-dil
shehar dar shehar safar karti hain
or agar thehar bhi jayain kaheen ik do pal
ghamzada shehar main barbaad musafir ki tarah
bey nawa umr k zandaanon main
raat chup chaap safar karti hai
Hum jahan hon
Teri awaaz chali aati hai!!!!

Dec 13, 2016 at 05:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kar Lia Safar Kitna
in udaas rahoon per
iss akelay dil ke sath
kar liya safar kitna
or kitna baki hai??
wo jo aik tara sa
duur jhilmilata hai
or duub jata hai
tab akele pan se dil
ye sawal karta hai
jugnouon ki khwahish mein
titliyon ki chahat mein
kar liya safar kitna
aur kitna baqi hai??,
iss akelay dil ke sath
kar liya safar kitna
or kitna baki hai??
wo jo aik tara sa
duur jhilmilata hai
or duub jata hai
tab akele pan se dil
ye sawal karta hai
jugnouon ki khwahish mein
titliyon ki chahat mein
kar liya safar kitna
aur kitna baqi hai??,
·
1 Like ·
Jul 17, 2016 at 11:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Chahat Ka Safar Is Liye Dushwar Raha
Meri chahat ka safar is liye dushwar raha
Main mohabat may wafaon ka talabgar raha
Ho gaye sare gilay door juda hotay hi
Ghamzada wo hai na main uska talabgar raha
In hawaon may ab dhundta phirta hun usay
Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha,
Na muradi k siwa hijr k aaram bhi thay
Phir zamane ka zamana hi sitam gaar raha,
Jasb-e-shoq ne us waqt bhi chaha tujhko
Jab wo shokhi na wo gaisu na wo rukhsar raha,
Aik hasrat si mere dil mey kahin aur bhi thi
Har badalti hui rut mey gham-e-dildar raha
Is qadar hamsafri se tha harasan wo shakhs
Saath hi chor gaya dasht k us paar raha…,

Jul 14, 2016 at 09:07
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Niklay Safar Pay Hum Toh Teray Ghar Bhi Ayengai
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai,

Jun 08, 2016 at 17:06
Category: general
Sponored Video