Search
Poetry / Sad
Anjaani Raah Tanha Safar De Aya Mujhay
Anjaani Raah tanha safar de aya mujhay
Pathar ka shehar sheshay ka ghar day gaya mujhay..
Woh bhi mujh he ko sochta rEhta hay Raat bhar
Us k nagar ka chaand Khabar de gaya mujhay..
Us Shakhs ki muhabatain kitni shadeEd thin
Khud mit gaya or Apni nazar de gaya mujhay..
Woh Qafilay ko chorr k tanha he chal dia
Or jaatay huey Rakht-e-Safar de gaya mujhay...
janay wo bewafa tha ya majboOr tha
zindagi guzarnay ka hunar de gaya mujhay...!

·
1 Like ·
Aug 13, 2017 at 09:08
Category: sad
Poetry / Sad
Naye Safar Men Abhi Aik Nuqs Baqi Hai
naye safar men abhi aik nuqs baqi hai
jo shakhs sath nhi uska aks baqi hai
ghata uthi hai par toot kar nhi barsi
hawa chali hai magar phir bhi habs baqi hai
ulat plat gaee duniya woh zalzalay aaey
magar kharaba-e-dil men wo shakhs baqi hai
fraz aaey ho tum ab rafiq-e-shab ko liay
keh doar-e-jaam na hangaam-e-raqs baqi hai...!

Aug 11, 2017 at 17:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Naye Dinon Ke Naye Safar Main Dhayan Rakhna
naye dinon ke naye safar main dhayan rakhna
khamosh, chup chap
kuch na kehti in saaton ne
sonp dale naye taqazay rafaqaton ke
dhayan rakhna
ke apne hisse ke sab taqazay nibhane hain
sath chalte hoye safar main
her ik dagar pe chahaton ke ghulab likhna
warq warq aitamad jis main
harf harf main ho jaan nisari
naii khushiyan, naye manazir
naii misalein, naye hawale
bus aik aisi hi muhabtoon ki kitaab likhna
naye dinon ke naye safar main

Jul 11, 2017 at 15:07
Category: love
Poetry / Love
Manzil Ka Shoq Tha Na Nighain Safar Pe Theen
manzil ka shoq tha na nighain safar pe theen
bus awargi hi karna mera kaam ho gia
shaher_e_tamam main main koi us sa tha na dana
kar ke muhabat wo bhi badnaam ho gia
rafta rafta her ada qatil si ho gaye
pehle kali phir gulaab phir wo jaam ho gia
youn to marasim the zamane se us ke shakir
jab hum ne kia sawal tab wo raam ho gia

Jun 28, 2017 at 09:06
Category: love
Poetry / Sad
Safar Mein Raah Ke Aashob Se Na Darr Jaa
safar mein raah ke aashob se na darr jaana
miley jo aag ka darya to paar kar jaana
ye ik ishaara hai aafaat e nagahani ka
kissi jagah se parindoN ka kooch kar jaana
ye inteqam hai dasht e bala se baadal ka
samandaroN pe baraste huay guzar jaana
tumhaara qurb bhi doori ka istaara hai
ke jaise chand ka tallab mein uttar jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deiN
hameN hamaare raqeebon ne motabar jana
mere yaqeen ko bara bad-gumaan kar k gaya
duaa e neem shabi tera be-asar jaana
hamaare dam se hi aawargi e shab thi hameiN
ajeeb lagta hai ab shaam hi se ghar jaana
zamaana beet gaya tark e ishq ko "Tishna"
magar gaya na hamaara idhar udhar jaana !

Jun 18, 2017 at 16:06
Category: sad
Poetry / Love
Muhabbat Kay Safar Mein Koi Rasta Nahi Deta
Muhabbat kay safar mein koi rasta nahi deta
Zameen wakif nahin banti falak saya nahi daita
Khushi aur dukh kay mosam sab kay apney hotey hain
kisi ko apne hisay ka koi lamha nahi deta
Udasi jis k dil mein ho neend us ki urti hai
kisi ko apni ankhon say koi sapna nhi daita
uthaana khud he parta hai thaka toota badan apna
keh jab tak saans chalti ha koi kandha nhi daita

Jun 08, 2017 at 10:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi
Hai Yeh Kaisi Dagar Chalte Hai Sab Magar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi
Zindagi Jo Bahut Pyaar Humne Diya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaye ge Hum
Roote Roote Zamane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamane Se Jaain ge Hum
Jaain ge Par Kidhar Hai Kise Yeh Khabar
Koi Samjhe Nahi Koi Jaana Nahi
Aise Jeevan Bhi Hai Jo Jiye Hee Nahi
Jinko Jeene Se Pehle Hee Maut Aagayi
Phool Aise Bhi Hai Jo Khile Hee Nahi
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha gai
Hai Pareshan Nazar Thak Gaye CharAgar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi!

May 31, 2017 at 06:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yeh Kaisa Khauf Tha Keh Rakht E Safar Bhi Bhool Gaye
yeh kaisa khauf tha keh rakht-e-safar bhi bhool gaye
woh kaun log thay keh apnay ghar bhi bhool gaye
yeh kaisi qouvat-e-parvaaz dar ne paida ki
parinday urtay huay apnay par bhi bhool gaye
dukhon nay chheen li aankhon ki saari benaye
hum uska sheher tu kya reh guzar bhi bhool gaye
khayal tha keh sunayein ge haal-e-dil laiken
hum uskay saamnay arz-e-hunar bhi bhool gaye
juda huye tu khula hai tumhari basti main
hum ik dil hi nahiin chashm-e-tar bhi bhool gaye

May 28, 2017 at 04:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tamam Umr Wohi Qisa E Safar Kehna
TAMAM UMR WOHI QISA E SAFAR KEHNA
KE AA SAKA NA HAMEN APNAY GHAR KO GHAR KEHNA
JO DIN CHARHAY TO TERAY VASL KI DUA KARNA
JO RAAT HO TO DUA HE KO BAY ASAR KEHNA
YEH KEH K DOOB GAYA AAJ AAKHRI SURAJ
KE HO SAKAY TO ISI SHAB KO AB SEHAR KEHNA
WO SHAKHS MUJH SAY BOHAT BUDGUMAAN SA REHTA HAI
YEH BAAT US SAY KAHO BHI TO SOCH KAR KEHNA
KABHI WO CHAND JO POOCHAY KE SHEHAR KESA HAI
BUJHAY BUJHAY HUAY LAGTAY HAIN BAAM O DAR KEHNA
WO AIK MEIN KE MERA SHEHAR BAHR KO APNAY SIWA
TERI WAFA K TAQAZOON SAY BAY KHABAR KEHNA
WAFA KI TARZ HAI MOHSIN KE MASLEHAT KYA HAI
YEH TERA DUSHMAN E JAN KO BHI CHARAGAR KEHNA

May 26, 2017 at 15:05
Category: sad
Sponored Video