Search
Poetry / Sad
Aur Phir Tuut Ja
Aur phir tuut ja?
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa
Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam
Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa
Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera
Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa...!
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa
Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam
Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa
Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera
Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa...!
·
2 Like ·
Nov 15, 2017 at 15:11
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Khoof K Saat Minat Or Phir Kaamyaab Lending
امریکی خلائی ادارے ناسا کی مریخ پر بھیجی جانے والی خلائی گاڑی ’کیوروسٹی‘ کامیابی سے سیارے کی سطح پر اتر گئی ہے۔
اس مشن کو خلائی تاریخ کا ایک انتہائی جرات مندانہ مشن قرار دیا جاتا ہے اور یہ ایک ٹن و...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 17, 2017 at 14:10
Category: featured
Advertisement
Poetry / Sad
Sakoot E Jaan Ka Matlab Batado Phir Chali Jana
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chali jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay me
Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,
Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sula do phir chali jana,
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,
Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,
Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Samaat ko talab hai wo suna do phir chali jana,
Na janay kyu hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat churra do phir chali jana,
Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan laa do phir chali jana,
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe es sabr ka kuch phal dila do phir chali jana...!

Oct 01, 2017 at 11:10
Category: sad
Poetry / Sad
Jo Bhi Kehna Hay Kaho Phir Ankaha Reh Jaay Ga
jo bhi kehna hay kaho phir ankaha reh jaay ga,
qurbaton k darmyan bhi faasla reh jaay ga.....,
wo guzar jaay ga in rastoon say misl e baad e saba,
or tou in rehguzaaron me khara reh jaay ga....
band kanon say sunay ga tou khanakti guftugu,,
bheegi aankhon say usy bus daikhta reh jaay ga..
chean lay ge subh ik aahat ka jhoota khuab bhi,,
aankh ki soni gali me rat jaga reh jaay gaa,,
titlian hijrat karein gi mosamon k sath sath,
or shehr e gul me aashob e hawa reh jaay ga,,
baadlon say aag barsy gi fiza e shehr per,
naqsh mit jaein gay ik naqsh e fana reh jay ga...!

Sep 15, 2017 at 00:09
Category: sad
Poetry / Sad
Yeh Dard Mit Gaya Tu Phir
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...?
·
1 Like ·
Sep 11, 2017 at 05:09
Category: sad
Poetry / Sad
Habs E Jaan Aisa Tha Phir Shiddat E Gham Ko Tarsay
Habs-e-jaan aisa tha phir shiddat-e-gham ko tarsay
Be hissi woh thi k deeda e num ko tarsay
Tujh se bichre tou koi raah na manzil koi
Aise bhatkay k tere naqsh-e-qadam ko tarsay
Zakhm aise the jin ka koi dermaan na hua
Umer bher hum tou tere dast-e-karam ko tarsay
Paas reh ker tha jinhain zakhm-e-taghaful ka gila
Tujh se bichray tou tere zulm-o-sitam ko tarsay...!

Sep 03, 2017 at 21:09
Category: sad
Poetry / Sad
Phir Es Kinaarey Pe Loutoon Ga Kab Khuda Janey
kaha yeh dard ney ik baar phir ubhartay hoye
k thora waqt to lagta hai zakhm bhartey hoye
phir es kinaarey pe loutoon ga kab KHUDA janey
mein sochta raha darya ko paar kartey hoye
hamein yeh teri udaasi bhali nahiN lagti
sukoot-e-shab sey kaha jugnuon ney dartey hoye
mein bujh sa jata hoon manzar yeh jab bhi dekhta hoon
kisi nashaib mein ik saaye ko utartay hoye
meri ragon mein bhi utrey hain kuch khizan mausam
mujhey bahaar ney dekha nahin bikhertay hoye
mein be niyaz hi guzra tha,shaad,raahon sey
uboor ho gayeiN kuchh manzilein guzertay hoye...!

Aug 28, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Sad
Jo Bhi Kehna Hay Kaho Phir Ankaha Reh Jaay Ga
jo bhi kehna hay kaho phir ankaha reh jaay ga,
qurbaton k darmyan bhi faasla reh jaay ga.....,
wo guzar jaay ga in rastoon say misl e baad e saba,
or tou in rehguzaaron me khara reh jaay ga....
band kanon say sunay ga tou khanakti guftugu
bheegi aankhon say usy bus daikhta reh jaay ga..
chean lay gi subh ik aahat ka jhoota khuab bhi
aankh ki soni gali me rat jaga reh jaay gaa,,
titlian hijrat karein gi mosamon k sath sath,
or shehr e gul me aashob e hawa reh jaay ga
baadlon say aag barsy gi fiza e shehr per,
naqsh mit jaein gay ik naqsh e fana reh jay ga...!
qurbaton k darmyan bhi faasla reh jaay ga.....,
wo guzar jaay ga in rastoon say misl e baad e saba,
or tou in rehguzaaron me khara reh jaay ga....
band kanon say sunay ga tou khanakti guftugu
bheegi aankhon say usy bus daikhta reh jaay ga..
chean lay gi subh ik aahat ka jhoota khuab bhi
aankh ki soni gali me rat jaga reh jaay gaa,,
titlian hijrat karein gi mosamon k sath sath,
or shehr e gul me aashob e hawa reh jaay ga
baadlon say aag barsy gi fiza e shehr per,
naqsh mit jaein gay ik naqsh e fana reh jay ga...!
·
1 Like ·
Aug 21, 2017 at 05:08
Category: sad
Poetry / Sad
Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabh
Hoon To Khafa Us SE,
Par Janay Phir B Kiyn!
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai
Haqeeqat Se Hoon Door,
Ye Mujh Ko Hai Pata
Par Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai
Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga
Kuch Pal es Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!

Aug 17, 2017 at 06:08
Category: sad
Sponored Video