Search
Poetry / Sad
Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,
Zehen chhalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne roye kese...!

·
1 Like ·
Oct 31, 2017 at 04:10
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Ameera Gul
aikdafa aik hotel mein do admi........
aik dafa aik hotel mein do admi bethey batein kar rahey thaiy aik ne dusry se kaha yar woh jo samney table per jo admi betha hai woh mujhey bara bura lagta hai duseray ney kaha yar wahan to 5 admi bethay hain tumhein konsa bura lagta hai to 1st ney kaha jis ne hat pehni hai woh mujhey bura lagta hai to dusarey ne kaha yar hat to sab ne pehni hoi hai tuj ko konsa bura lagta hai to 1st ne kaha yar woh jiski darhi hai woh mujhey bara bura hai to dusarey ney kaha yar darhi to sub ki hai to 1st ne pistole nikali aur 4 admion ko goli mardi aur kaha yaar woh jo baqi buch gaya hai woh mujhey bara hi bura lagta hai
ha ha ha jo na hasey woh bara hi chawal
ha ha ha jo na hasey woh bara hi chawal
·
1 Like ·
Oct 28, 2017 at 21:10
Category: miscellaneous
Advertisement
Poetry / General
Dua Ki Soorat Mein Uss Ki Khaatir
Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir
Jo meray honton se lafz niklay
Jo meri Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA
Jab bhi us ka naseeb likhna
UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusian likhna
or us ki umr-e-draaz likhna...!
Jo meray honton se lafz niklay
Jo meri Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA
Jab bhi us ka naseeb likhna
UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusian likhna
or us ki umr-e-draaz likhna...!
·
1 Like ·
Oct 28, 2017 at 19:10
Category: general
Poetry / 24
Saltanat Dil Mein Hee Nahi Uski
Saltanat Dil Mein Hee Nahi uski
Aasmaan Tak Hai SarZameen uski
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen uski
Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen uski
Ab Bhi Roshan Hai Zindagi us Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen uski
Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin uski...!
Aasmaan Tak Hai SarZameen uski
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen uski
Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen uski
Ab Bhi Roshan Hai Zindagi us Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen uski
Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin uski...!
·
1 Like ·
Oct 28, 2017 at 07:10
Category: 24
Poetry / 24
Apni Dhun Mein Rehta Hoon
Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tairay jesa hoon
Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tairay jesa hoon
Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon
Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon
Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon
Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon...!
Mein bhi tairay jesa hoon
Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tairay jesa hoon
Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon
Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon
Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon
Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon...!
·
2 Like ·
Oct 27, 2017 at 19:10
Category: 24
Poetry / Sad
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne
Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?
Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne
Maikada Band Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakhta Howa Paya Mein Ne
Shair o Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne...!

Oct 25, 2017 at 05:10
Category: sad
Poetry / 24
Mein Tera Hun
Chahey mujhey kaam main la chahey nikamma kr de
Mein tera hun teri merzi mujhey jesa kr de
Tera bimaar hun azal se na mr jau kahin
Ek baar mujh ko dekh le mujhey acha kr de...!
Mein tera hun teri merzi mujhey jesa kr de
Tera bimaar hun azal se na mr jau kahin
Ek baar mujh ko dekh le mujhey acha kr de...!
·
2 Like ·
Oct 22, 2017 at 21:10
Category: 24
Poetry / Humorous
Dal Mein Jo Kala Hai Ji
dal mein jo kala hai ji
wo garam masala hai ji
aik pal ki humein khabr nahein
maghr mansooba sau sala hai ji
usay rishwat khaane ka haq hai
jo minister ka sala hai ji
hum ne dil kisi ko deh dala hai ji
ab Allaha he us ka rakhwala hai ji
hum unn ka kya churaate thay
jo humein dil se nikala hai ji...!
wo garam masala hai ji
aik pal ki humein khabr nahein
maghr mansooba sau sala hai ji
usay rishwat khaane ka haq hai
jo minister ka sala hai ji
hum ne dil kisi ko deh dala hai ji
ab Allaha he us ka rakhwala hai ji
hum unn ka kya churaate thay
jo humein dil se nikala hai ji...!
·
1 Like ·
Oct 15, 2017 at 17:10
Category: humorous
Poetry / Humorous
Meri Begum Ne Bher Di Hain Meray Salan Mein Wo Mirchain
meri begum ne bher di hain meray salan mein wo mirchain
nivala moonh mein rakhta hoon, to aankhen bheeg jati hain
shadi ki ye tasveerain bari mushkil se dhondi hain
mein ab in ko palatta hoon to aankhen bheeg jaati hain
jama poonji mein bister ke serhanay rakh ke sota tha
wahan ab haath rakhta hoon to aankhen bheeg jati hain
meri shadi meri laghzish thi ya ghalti thi walid ki
mein bivi se ye sunta hoon to aankhen bheeg jati hain...!

Oct 13, 2017 at 12:10
Category: humorous
Sponored Video