Search
Poetry / Love
Yeh Hade Na Toor Dena, Mairay Dairay Mein Rehna
Yeh hade na toor dena, mairay dairay mein rehna
mujhay apnay dil mein rakhna, mairay hafzay mein rehna
mairay lams mein samana, meri khushboon mein basna
meri guftagu mein hona, mairay zoaq mein rehna
mera hukum khud sunana, meri mohar khud lagana
mairay mashwaron mein hona, mairay faislay mein rehna
kabhi dhoop kay safar mein mera sath chhor jana
kabhi mera aks ban kar mairay aaiine mein rehna
kabhi manzlon ki soorat meri dustarus say bahar
kabhi sang mail ban kar mairay rastay mein rehna

·
1 Like ·
Jun 29, 2017 at 17:06
Category: love
Poetry / Love
Ab Un Say Khayaalon Mein Hi Ho Jaati Hein Baaten
gum shudah mohabbat ke khwaaboN ki tarah hai
woh rooh ke sehraa mein saraabon ki tarah hai
woh zeest kay maktab meiN nisaaboN ki tarah hai
paRhta hooN usay roz kitaaboN ki tarah hai
ab un say khayaaloN meiN hi ho jaati heiN baateN
go beech meiN parda sa hijaaboN ki tarah hai
us shakhs kay lehjay meiN sheeshe ki khanak hai
rag rag meiN utarta hai sharaaboN ki tarah hai
us shakhs kay paikar meiN hai shaakhoN ki lachak si
us shakhs ka chehraa bhi gulaaboN ki tarah hai
jo wasl ki raatoN meiN hai ik maah-e-munawwar
furqat meiN wohi shakhs azaboon ki tarah hai

Jun 25, 2017 at 09:06
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Hazoor E Yaar Mein Harf Iltijaa Kay Rakhay Thay
Hazoor-e-Yaar mein harf ILTIJAA kay rakhay thay,
Charaagh saamnay jaisay hawa kay rakhay thay,
Bas ik ashk-e-Nadaamat se saaf ker dalay,
Wo sab hisaab jo ham ne Utha kay rakhay thay,
Tum hee nay Paon na rakha,warna wasal kee Shab,
Zameen pe ham ne sitaray bicha kay rakhay thay,
Hawa kay pehlay hee jhonkay say haar maan gaey,
Wohi charaagh jo ham ne bacha kay rakhay thay,
HASOOL-E-MANZIL-E-DUNYAA KUCH AISA KAAM NA THA,
MAGER JO RAH MEIN PATHAR "ANAA" KAY RAKHAY THAY.

Jun 19, 2017 at 05:06
Category: sad
Poetry / Sad
Safar Mein Raah Ke Aashob Se Na Darr Jaa
safar mein raah ke aashob se na darr jaana
miley jo aag ka darya to paar kar jaana
ye ik ishaara hai aafaat e nagahani ka
kissi jagah se parindoN ka kooch kar jaana
ye inteqam hai dasht e bala se baadal ka
samandaroN pe baraste huay guzar jaana
tumhaara qurb bhi doori ka istaara hai
ke jaise chand ka tallab mein uttar jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deiN
hameN hamaare raqeebon ne motabar jana
mere yaqeen ko bara bad-gumaan kar k gaya
duaa e neem shabi tera be-asar jaana
hamaare dam se hi aawargi e shab thi hameiN
ajeeb lagta hai ab shaam hi se ghar jaana
zamaana beet gaya tark e ishq ko "Tishna"
magar gaya na hamaara idhar udhar jaana !

Jun 18, 2017 at 16:06
Category: sad
Poetry / Love
Yehi Sochti Mein Chali Gaie
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey manzilon ne bhula diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rehguzaR
mujhey rastey mein miley magaR
meri tishnagi kuch or hai
meri justajoo koi or hai
woh jo roshni ki tarha barheY
magar ansuon mei sama sakeY
jo subha ki pehli kiran bane
mujhey us wafa ki talaash hai
magar es jahan-e-kharab meiN
yahan khowishoN ke saraab meiN
mujhey kaun de aise wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanoN meiN ghiri huwi
yehi sochti mein chali gaie
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey manzilon ne bhula diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rehguzaR
mujhey rastey mein miley magaR
meri tishnagi kuch or hai
meri justajoo koi or hai
woh jo roshni ki tarha barheY
magar ansuon mei sama sakeY
jo subha ki pehli kiran bane
mujhey us wafa ki talaash hai
magar es jahan-e-kharab meiN
yahan khowishoN ke saraab meiN
mujhey kaun de aise wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanoN meiN ghiri huwi
yehi sochti mein chali gaie
·
1 Like ·
Jun 14, 2017 at 17:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mujhe Teri Mohabbat Mein Kho Jaane Do
Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do
Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
Mujhe aaj es mohabbat se mil jaane do
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
Mujh benaam ko es naam mein kho jaane do
Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
Mujhe es mohabbat ki aag mein jal jaane do.

Jun 11, 2017 at 19:06
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meray Haathon Mein Chupay Zakham Say Pehchaan Mujhay
Zulam seh kar bhi samajhta hoon k tu mera hai
Mairay dushman teray chehray pay lahoo mera hai
Subh e dam shehar ki shorish teray dum say ho gi
Raat kay pichlay pehar alam e hoo mera hai
Meray haathon mein chupay zakham say pehchaan mujhay
Teray daaman pay bhi ehsaan e rafoo mera hai
Ghir gaya hoon talatum mein bhi zindaan ke tarha
Halqa e mouj e rawaan toq e galoo mera hai
Dhoop chhaaon ki yeh rutt dil mein thehar janay day
Aks tera hai to sayaa lab e joo mera hai
Pathron say hai mohabbat mujhay youn bhi mohsin
Sungdil shehar mein aik aaina roo maira hai ....

Jun 10, 2017 at 06:06
Category: sad
Poetry / Love
Teri Saanson Mein Gulaabon Si Mehak Lagti Hai
Teri saanson mein gulaabon si mehak lagti hai
Husun jis rung mein ho teri jhalak lagti hai
Shaam hotay hi nigaahon mein uter aatay ho
Dil ki dherkan teray pairon ki dhamak lagti hai
es liye phool main collar mein saja layta hoon
es ki khushboo teray aanchal ki mehak lagti hai
Kisi baarish k barastay hi jo ghar aati hai
Teri aankhon mein wo rangon ki dhanak lagti hai
es hi liye to main chand k husun ka garweedah hoon
es k paikar mein teri aankhon ki chamak lagti hai
Jaanay kiun wo meri aankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehray pay zara teri jhalak lagti hai.

Jun 09, 2017 at 04:06
Category: love
Poetry / Love
Muhabbat Kay Safar Mein Koi Rasta Nahi Deta
Muhabbat kay safar mein koi rasta nahi deta
Zameen wakif nahin banti falak saya nahi daita
Khushi aur dukh kay mosam sab kay apney hotey hain
kisi ko apne hisay ka koi lamha nahi deta
Udasi jis k dil mein ho neend us ki urti hai
kisi ko apni ankhon say koi sapna nhi daita
uthaana khud he parta hai thaka toota badan apna
keh jab tak saans chalti ha koi kandha nhi daita

Jun 08, 2017 at 10:06
Category: love
Sponored Video