Search
Poetry / Love
Jab Mein Rooth Jaaun To Phool Le K Aae
Jab mein rooth jaaun to Phool le k aae
Ulti seedhi batein kr k Mjhe Hansaye
Me jis k lye pura Sajaoon khud ko
Or jab wo dekhe to bas dekhta jaye
Palken num ho jay agr Meri
Wo Pyar ki Barish Mujh pe Barsaye
Jo neend roth jae Aankho se meri
Koi to ho Jo band Palkon ko Choom kr
Baahon mei le k pyar se Sulay
KASH Koi to ho Jis pe Me Haq se Haq jattaon
Jo sirf Meri or Bas Meri hi reh Jaye...!

·
1 Like ·
Oct 09, 2017 at 20:10
Category: love
Poetry / Sad
Pal Bhar Mein Tamam Umer Ki Sochein Badal Jati Hain
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin raahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain
woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatain badal jati hain
sochti hoon jane kaisay keh paoon gi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
chahe Manzil Dushwar ho or Duur bhi
humsafer us jaisa ho to musaftain badal jati hain
yun to Raat ka aalam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chand dekhoon to meri ratein badal jati hain
mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi aadatain badal jati hain...!

Sep 30, 2017 at 10:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Aaj Jo Tanha Hai Woh Pardes Mein
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath Thay to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Rothti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein
Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein
Haath us ney Mera Thaama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga...!

Sep 26, 2017 at 08:09
Category: sad
Social Wall / Photos
Haseeb Naqbi
Bharat Ka Shakti Maan Afwaj E Pakistan Ke Qabza Mein
·
4 Like ·
Sep 16, 2017 at 12:09
Category: photos
Social Wall / Photos
Mohammad Yaseen
Aur Jab Afwaaj E Pakistan Rajistan Ko Apnay Qadmon Talay Rondti Hui Krishan Garh Mein Dakhil Hui
·
3 Like ·
Sep 16, 2017 at 02:09
Category: photos
Poetry / Love
Es Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Es baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon...!

Sep 15, 2017 at 18:09
Category: love
Social Wall / Photos
Mehreen Ali
Sulemanki Sector Mein Qabzay Me Liya Janay Wala Bharti Tanker
·
3 Like ·
Sep 15, 2017 at 15:09
Category: photos
Social Wall / Text
Dawood Ali
Munabao Railway Station Afwaaj E Pakistan Ke Qabza Mein
·
3 Like ·
Sep 15, 2017 at 04:09
Category: text
Poetry / Love
Chaman Mein Jab Bhi Saba Ko Gulaab Pochte Hain
chaman mein jab bhi saba ko gulaab pochte hain
Tumhari ankh ka ehwaal,khwab pochte hain
Kahan kahan hoye roshan humare baad charagh
Sitaray deeda e tar se hisaab pochte hain
Woh tishna lab bhi ajub hain ju moj e sehra se
suraag e habs mizaaj e saraab pochte hain
Kahan basi hain woh yaadain,ujaarna hay jinhain?
Dilon ki baanjh zameen se azaab pochte hain
Baras pare teri ankhain tou yeh bhaid khula
Sawal khud se bhi apna jawab pochte hain
Hawa ki humsafari se ab aur kya hasil
Bus apne shaher ko khaana kharab pochte hain
Ju be nayaz hain khud apne husn se Mohsin
Kahan woh mujh se mera intikhab pochte hain...!

Sep 13, 2017 at 01:09
Category: love
Sponored Video