Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naam Le Le Ker Na Mera Shehar Ki Nazron Mein Aa
Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

·
1 Like ·
Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Social Wall / Text
Abdul Khaliq
Kisi Aurat Ka Dil Asal Mein Kab Toot Ta Hai?
·
1 Like ·
Apr 27, 2017 at 07:04
Category: text
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Akhir E Shab Mein Sitaron Ko Bujha Kar Sona
Akhir-e-shab mein sitaron ko bujha kar sona
Meri Aadat ha ye khwabon ko sula kar sona
Na hi es pehlu qaraar our na chain us karwat
Kitna dushwar ha apnon ko sata kar sona
Raat bhar kaise sanbhale howe rakho ge inhain
Meri mano tu in ashkon ko beha kar sona
Us ne tu choar diya meri gali mein Aana
Main ne chora nai raston ko saja kar sona
Khwab Aa jayin na phir Neend churane
Jagti Aankhon ko pehre pe bitha kar sona

Apr 25, 2017 at 05:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suna Hai Yeh Mein Nay Auron Say In Dinon Wo Mujhay
SUNA HAI YEH MEIN NAY AURON SAY IN DINON WO MUJHAY,
BULA RAHA HAI MGAR DAIR HO GAEE SHAYAD,
WO MUJH KO JAGTI RAATON K UN KAHAY QISSAY,
SUNA RAHA HAI MGAR DAIR HO GAEE SHAYAD,
WO MUJH KO APNAY BICHARNAY KI NAGUZEER WAJAH,
BATA RAHA HAI MGAR DAIR HO GAEE SHAYAD,
WO MUJH KO YAAD KAR K CHEHRAY PAR JHURIYON K NISHAAN,
DIKHA RAHA HAI MGAR DAIR HO GAEE SHAYAD,
WO AIK SHAMA GHAM E ZINDAGI MITANAY KO,
JALA RAHA HAI MGAR DAIR HO GAEE SHAYAD,
WO GHAM JO HASIL E UMR E RAWAAN HAI AB WO USAY,
BHULA RAHA HAI MAGAR DAIR HO GAEE SHAYAD

Apr 12, 2017 at 05:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tairay Khushboo Mein Basay Khat Main Jalata Kaise
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise
Pyar mein doobay hue khat main jalata kaise
Tairay hathon k likhay khat main jalata kaise
Jin ko dunia ki nigahon se chupaye rakha
Jin ko ek umar kalaijay se lagay rakha
Deen jin ko jinhein Imaan banay rakha

Jin ka har lafz mujhy yaad paani ki tarha
Yaad they mujh ko jo paigham-e-Zubaani ki tarha
Mujh ko pyaray they jo anmol nishani ki tarha

Tu ne dunia ki nigahon se jo bach kar likhay
Saal ha saal mere naam barabar likhay
Kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likhay

Tairay Khat aaj main ganga mein baha aaya hun
Aag behtay hue paani mein laga aaya hun

Apr 10, 2017 at 15:04
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Eik Masoom Taqadus Mein Bhigoya Hua Lams

Kitna Pakiza Hay Ehsas Mein Dhoya Huwa Lams
Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sunehra Ehsas
Jis Terha Chand K Halay Me Peroya Hua Lams
Us K Hontoon Ko Mein Chhu Loon To Gumaan Hota Hay
Jese Jannat K Gulaboon Mein Daboya Hua Lams
Jo Meri Rooh Mein Utrey He Chale Jaate Ho
Ik Naye Rang Mein Ubhrey Ga Yeh Boya Hua Lams
Bheegi Khusbo Main Basa, Wasl Me Bheega Bheega
Kitna Masoom Hay Pehlo Mein Yeh Soya Hua Lams
Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams

Apr 01, 2017 at 17:04
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dayaar E Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Dayaar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
Tumhi ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua woh karte ke ham aasmaan hila dete
Hamein yeh zom raha ab ke woh pukarain ge
unhein yeh zid thi k har baar ham sada dete
Woh tera gam tha k taseer mere lahje ki
ke jis ko haal sunaate usay rula dete
Tumhein bhulana hi aval to dastaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
Tumhaari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khiyal ke aansu rahe sada dete

Mar 19, 2017 at 21:03
Category: sad
Social Wall / Photos
Mohammad Iqbal
Qadar Karni Hai To Zindagi Mein Karo
Well Said G...............
·
1 Like ·
Mar 17, 2017 at 09:03
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Mein Bikhray Hue Jalon Se Preshan Na Ho
Dil Mein Bikhray Hue jalon Se Preshan Na Ho
Mere Guzray Hue Saalon se Preshan Na Ho
Meri Awaz Ki talkhi Ko Gawara Kar Le
Mere Gustakh Sawalon Se Preshan Na Ho
Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chalon Se Preshan Na Ho
Khud Ko Veeran Na Kar Mere Liye Meri Jan
In Preshan Khayalon Se Preshan Na Ho

Mar 15, 2017 at 11:03
Category: sad
Sponored Video