Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Ab Ho Chalaa Yaqeen Ke Bure Ham Hain Dosto
Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kyaa Karein
Aankhein To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto
Apane Sivaa Hamaare Na Hone Kaa Gam Kise
Apani Talaash Mein To Ham Hi Ham Hain Dosto
Kuchh Aaj Shaam Hii Se Hai Dil Bhii Bujhaa Bujhaa
Kuchh Shahar Ke Chiraag Bhi Maddham Hain Dosto
Is Shahar-E-Aarazuu Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dam Hain Dosto
Sab Kuchh Sahi 'Faraz' Par Itanaa Zaruur Hai
Duniyaa Main Aise Log Bahut Kam Hain Dosto

·
1 Like ·
Aug 26, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Log Toltey Hain Mohabat Dilon Se
"Log toltey hain mohabat dilon se
Ham toltey hain mohabat kohsaron se
Gar meri mohabat kohsaron sae tolay
To Kohsar e mohabat raakh ban jaaway
Rakh ko surma bana kar ankh par malun
Har lamha tera deedar karta rahun
Tujhay apni is chasm mae kaed kar dalun
Qafas ko tere jamal sae saja dalun
Go tum aik hasee bagh ki maanind ho
Jiska mali mae ho jaun robaro
Tumhi ko apna kashanaye alam banaon
Tere har mehfal ki parastish karun
Is Bagh main aik haseen phul ugaon
Jiski Mohabat ka chaman afroz phelaon
Jisko tum apne senay mae yun samaon
Keh har lamha tumhay mere yaad dalay ho
Ab to dewangi e inteha ka ye alam hae
K Rooh bhi larzaa hae tere talasim sae
Ham toltey hain mohabat kohsaron se
Gar meri mohabat kohsaron sae tolay
To Kohsar e mohabat raakh ban jaaway
Rakh ko surma bana kar ankh par malun
Har lamha tera deedar karta rahun
Tujhay apni is chasm mae kaed kar dalun
Qafas ko tere jamal sae saja dalun
Go tum aik hasee bagh ki maanind ho
Jiska mali mae ho jaun robaro
Tumhi ko apna kashanaye alam banaon
Tere har mehfal ki parastish karun
Is Bagh main aik haseen phul ugaon
Jiski Mohabat ka chaman afroz phelaon
Jisko tum apne senay mae yun samaon
Keh har lamha tumhay mere yaad dalay ho
Ab to dewangi e inteha ka ye alam hae
K Rooh bhi larzaa hae tere talasim sae
·
1 Like ·
Aug 22, 2016 at 04:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saamnay Hai Jo Usay Log Bura Kehtay Hain
Saamnay Hai Jo Usay Log Bura Kehtay Hain,
Jisko Dekha Hi Nahin Usko Khuda Kehtay Hain !
Faasley Umar Kay Kuch Aur Barha Deti Hai,
Jaaney Kyon Log Usey Phir Bhi Dava Kehtay Hain !
Chand Masoom Say Paton Ka Lahoo Hai `Khamosh',
Jisko Mahboob Kay Hathon Ki Heena Kehtay Hain !

Aug 17, 2016 at 21:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Maryam Rauf
Hamare Muashre Mein Aese Log.
Hamare muashre mein aese log dusro ko hansane ke liye apne dukh dard par parda rakh kar, hame hansate aur khud bhi hanste hain. In qeemti logon ke liye dua kiya karein............
·
0 Like ·
Aug 03, 2016 at 03:08
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tere Sheher K Log
Tujh Se Milne Ki Saza Dain Ge Tere Shahar Ke Log,
Ye Wafaaon Ka Sila Dain Ge Tere Shahar Ke Log..
Kya Khabar Thi Tere Milne Pe Qayamat Hogi,
Mujh Ko Divanaa Bana Dain Ge Tere Shahar Ke Log..
Teri Nazron Se Giraane Ke Liye Jaan-E-Hayaa,
Mujh Ko Mujrim Bhi Bana Dain Ge Tere Shahar Ke Log..
Keh K Divanaa Mujhe Maar Rahe Hain Patthar,
Aur Kya Is K Siva Dain Ge Tere Shahar Ke Log.,

Jul 12, 2016 at 07:07
Category: sad
Social Wall / Photos
Muzammil Shahzad
Aksar Log Inkar Se Baaz Nahi Aatay
·
1 Like ·
May 24, 2016 at 04:05
Category: photos
Social Wall / Photos
Zahid Mahmood
Log Pathar K Buton Ko Pooj Kar Bhi Masoom Rahe
·
0 Like ·
May 17, 2016 at 02:05
Category: photos
Social Wall / Text
Mahrukh Nida
Log Baray Shoq Se Parhte Hain
·
1 Like ·
May 12, 2016 at 19:05
Category: text
Sponored Video