Search
Social Wall / Photos
Haseeb Naqbi
hon sakta he ke aap ki wajah se kisi mareez ko tandrosti miljai.
·
0 Like ·
Nov 30, 2016 at 06:11
Category: photos
Poetry / Sad
Khud Ko Parhta Huun, Chhor Detaa Huun
Khud ko parhta huuN, chhoR detaa huuN
ek warq roz moR detaa huuN
is qadar zaKhm haiN nigaahon meN
roz ek aaiinaa toR detaa huuN
main pujari baraste phulon ka
chuu ke shakhon ko chhoR detaa huuN
kaasa-e-shab meN Khoon suuraj kaa
qatraa qatraa nichoR detaa huuN
kanptay hont bhigti palken
baat adhuurii hi chhor deta huun
ret ke ghar bana bana ke “Faraz”
jane kyu Khud hii tor deta hun
ek warq roz moR detaa huuN
is qadar zaKhm haiN nigaahon meN
roz ek aaiinaa toR detaa huuN
main pujari baraste phulon ka
chuu ke shakhon ko chhoR detaa huuN
kaasa-e-shab meN Khoon suuraj kaa
qatraa qatraa nichoR detaa huuN
kanptay hont bhigti palken
baat adhuurii hi chhor deta huun
ret ke ghar bana bana ke “Faraz”
jane kyu Khud hii tor deta hun
·
1 Like ·
Nov 29, 2016 at 05:11
Category: sad
Advertisement
Poetry / 0
Bila Jawaz Rakhay Khud Ko Be Qaraar Bhi Kyun
Bila Jawaz Rakhay Khud Ko Be Qaraar Bhi Kyun
Jo Tu Nahi Hay Tu Pher Tera Intazaar Bhi Kyun
Akelay Pan Ka Safar Jab Mera Muqadar Hay
Tu Phir Ay Wada -e- Shikan Teri Rah-Guzar Bhi Kyun
Usay Ganwa Kay Rahon Ab Khezaon Ki Zadd Main
Jo Wo Nahi Hay Tu Pher Mousam -e- Bahaar Bhi Kyun
Ager Bhulaye Hoay Us Ko Ak Umar Hoi
Tu Phir Yeh Aaj Tabiyat Hay, Sogwaar Bhi Kyun
Wo Jin Labon Pay Yaqeen -e- Wafa Mehak Na Sakay
Phir Un Kay Lams Ki Khowahish Ho Ak Baar Bhi Kyun
Jab Us Ko Shouq Tha Rasto Ki Dhool Honay Ka
Palat Kay Dekhta Jata Hay Baar Baar Bhi Kyun
Jo Tu Nahi Hay Tu Pher Tera Intazaar Bhi Kyun
Akelay Pan Ka Safar Jab Mera Muqadar Hay
Tu Phir Ay Wada -e- Shikan Teri Rah-Guzar Bhi Kyun
Usay Ganwa Kay Rahon Ab Khezaon Ki Zadd Main
Jo Wo Nahi Hay Tu Pher Mousam -e- Bahaar Bhi Kyun
Ager Bhulaye Hoay Us Ko Ak Umar Hoi
Tu Phir Yeh Aaj Tabiyat Hay, Sogwaar Bhi Kyun
Wo Jin Labon Pay Yaqeen -e- Wafa Mehak Na Sakay
Phir Un Kay Lams Ki Khowahish Ho Ak Baar Bhi Kyun
Jab Us Ko Shouq Tha Rasto Ki Dhool Honay Ka
Palat Kay Dekhta Jata Hay Baar Baar Bhi Kyun
·
1 Like ·
Nov 27, 2016 at 16:11
Category: 0
Articles / Featured
Ijunoon
Khawateen Ko Tahaffuz Dene Wala Ala
بھارت میں اب خواتین کی ایک بڑی تعداد ملکی معاشی ترقی میں حصہ لے رہی ہے۔ لیکن جہاں بڑے شہروں میں ان کے لئے کام اور ملازمت کے مواقع بڑھے ہیں، وہاں ملازمت پیشہ خواتین کو کئی مسائل کا بھی سامنا کرنا پڑ ر...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 25, 2016 at 19:11
Category: featured
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote
aap agar ham ko mil gaye hote
bagh men phol khil gaye hote
aap ne yuN hi ghuur kar dekhaa
honTh to yuN bhii siil gaye hote
kaash ham aap is tarah milte
jaise do vaqt mil gaye hote
ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahin
varna kuchh munafe mil gaye hote
us kii aaNkhen hi kaj nazar thin "Adam"
dil ke parde to hil gaye hote
bagh men phol khil gaye hote
aap ne yuN hi ghuur kar dekhaa
honTh to yuN bhii siil gaye hote
kaash ham aap is tarah milte
jaise do vaqt mil gaye hote
ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahin
varna kuchh munafe mil gaye hote
us kii aaNkhen hi kaj nazar thin "Adam"
dil ke parde to hil gaye hote
·
1 Like ·
Nov 20, 2016 at 06:11
Category: love
Poetry / Love
Husn Ko Chaand Javaanee Ko Kanwal Kehte Hain
husn ko chaaNd javaanee ko kanwal kehte hain
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte hain
uf! vo marmar se tarasha hua shafaaf badan
dekhne vaale usay taaj mahal kehte hain
pad gayee paaon mein taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte hain
mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadi vasl meiN guzre usay pal kehte hain
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte hain
uf! vo marmar se tarasha hua shafaaf badan
dekhne vaale usay taaj mahal kehte hain
pad gayee paaon mein taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte hain
mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadi vasl meiN guzre usay pal kehte hain
·
1 Like ·
Nov 02, 2016 at 19:11
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yeh Rakh Rakhao Mohabbat Sekha Gaii Us Ko
Bichar Kay Mujh Say Kabhi Tu Nay Yeh Bhi Socha Hay
Adhora Chaand Bhi Kitna Udaas Lagta Hay
Yeh Khatm Wisal Ka Lamha Hay, Raigaan Na Samaj
Kh Us Kay Baad Wahi Dooriyon Ka Sehra Hay
Kuch Or Dair Na Jharta Udaasiyon Ka Shajar
Kisay Khaber Teray Saaye Koun Betha Hay
Yeh Rakh RakhaO Mohabbat Sekha Gaii Us Ko
Wo Routh Kar Bhi Mujhay Muskura Kar Milta Hay
Main Kis Tarah Tujhay Dekhon, Nazar Jhijhakti Hay
Tera Badan Hay Kh Yeh Aainon Ka Darya Hay
Adhora Chaand Bhi Kitna Udaas Lagta Hay
Yeh Khatm Wisal Ka Lamha Hay, Raigaan Na Samaj
Kh Us Kay Baad Wahi Dooriyon Ka Sehra Hay
Kuch Or Dair Na Jharta Udaasiyon Ka Shajar
Kisay Khaber Teray Saaye Koun Betha Hay
Yeh Rakh RakhaO Mohabbat Sekha Gaii Us Ko
Wo Routh Kar Bhi Mujhay Muskura Kar Milta Hay
Main Kis Tarah Tujhay Dekhon, Nazar Jhijhakti Hay
Tera Badan Hay Kh Yeh Aainon Ka Darya Hay
·
1 Like ·
Oct 26, 2016 at 12:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Chahat Kay Is Darya Per
Darya Or Kinaray Per
Dil Ko Yon Azad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Tanhaii Ki Raton Main
Khud Hi Baaton Baaton Main
Is Dil Ko Yon Shaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Jab Say Tum Ko Dekha Hay
Jab Say Tum Ko Chaha Hay
Har Ak Pal Faryaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Is Jeewan Kay Nisaabon Main
Or Raaton Kay Khuwabon Main
Jaag Kay Bhi Dil Shaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Phool Yeh Khilnay Say Pehlay
Tum Ko Milnay Say Pehlay
Khud Ko Yon Barbaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Darya Or Kinaray Per
Dil Ko Yon Azad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Tanhaii Ki Raton Main
Khud Hi Baaton Baaton Main
Is Dil Ko Yon Shaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Jab Say Tum Ko Dekha Hay
Jab Say Tum Ko Chaha Hay
Har Ak Pal Faryaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Is Jeewan Kay Nisaabon Main
Or Raaton Kay Khuwabon Main
Jaag Kay Bhi Dil Shaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
Phool Yeh Khilnay Say Pehlay
Tum Ko Milnay Say Pehlay
Khud Ko Yon Barbaad Kia
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
·
1 Like ·
Oct 23, 2016 at 07:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Akhri Tees Aazmane Ko
Akhri Tees Aazmane Ko
Ji To Chaha Tha Muskurane Ko
Yad Itni Bhi Sakht Jan To Nahin
Ik Gharaunda Raha Hai Dahane Ko
Sangrezon Main Dhal Gaye Ansu
Log Hanste Rahe Dikhane Ko
Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai
Ik Diya Reh Gaya Jalane Ko
Jalane wale To Jal Bujhe Akhir
Kaun Deta Khabar Zamane Ko
Kitne Majbur Ho Gaye Honge
Ankahi Bat Munh Pe Laanay Ko
Khul Ke Hansna To Sab Ko Ata Hai
Log Tarasate Rahe Ik Bahane Ko
Reza Reza Bikhar Gaya Insan
Dil Ki Viraniyan Jatane Ko
Hasraton Ki Panah Gaahon Main
Kya Thikane Hain Sar Chhupane Ko
Hath Kanton Se Kar Liye Zakhmi
Phool Balon Main Ik Sajane Ko
Aas Ki Bat Ho Ki Sans 'Ada'
Ye Khilone Hain Tut Jane Ko
Ji To Chaha Tha Muskurane Ko
Yad Itni Bhi Sakht Jan To Nahin
Ik Gharaunda Raha Hai Dahane Ko
Sangrezon Main Dhal Gaye Ansu
Log Hanste Rahe Dikhane Ko
Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai
Ik Diya Reh Gaya Jalane Ko
Jalane wale To Jal Bujhe Akhir
Kaun Deta Khabar Zamane Ko
Kitne Majbur Ho Gaye Honge
Ankahi Bat Munh Pe Laanay Ko
Khul Ke Hansna To Sab Ko Ata Hai
Log Tarasate Rahe Ik Bahane Ko
Reza Reza Bikhar Gaya Insan
Dil Ki Viraniyan Jatane Ko
Hasraton Ki Panah Gaahon Main
Kya Thikane Hain Sar Chhupane Ko
Hath Kanton Se Kar Liye Zakhmi
Phool Balon Main Ik Sajane Ko
Aas Ki Bat Ho Ki Sans 'Ada'
Ye Khilone Hain Tut Jane Ko
·
1 Like ·
Oct 18, 2016 at 02:10
Category: sad
Sponored Video