Search
Social Wall / Photos
Imran Rashid Malik
Bachiyon Ko Deeni Taleem Do
·
0 Like ·
Sep 13, 2016 at 11:09
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Ko Anjuman Aaraiyaan Nazar Aain
Kisi Ko Anjuman Aaraiyaan Nazar Aain
Kisi Ko Zaat Main Tanhaaiyaan Nazar Aain
Main Is Liye Teri Mehfil Se Lout Aaya Hoon
Jagah Jagah Muje Ruswaaiyaan Nazar Aain
Samaaton Ne Basarat Ka Roop Dhaara Jab
Faza Main Goonjti Shehnaaiyaan Nazar Aain
Wo Apne Aap Se Anjaan He Raha Jis Ki
Zamane Bher Se Shanasaaiyaan Nazar Aain
Mere Wajood Pe Aakhir Ye Kis Ka Pehra Hai?
Jala Charaagh Tu Parchaaiyaan Nazar Aain
Lagaaii Aankh Se Majboriyun Ki Ainak Tu
Bure Amal Main Bhi Achaaiyaan Nazar Aain
Zameen Ke Husn Ka Wo Bhi He Aik Rukh Babar
Ufaq Ke Paar Jo Raanaaiyaan Nazar Aain...

2 Like ·
Sep 13, 2016 at 02:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Shab E Hijran Ki Aziyat Ki Khabar Kis Ko Hay
Shab-E-Hijran Ki Aziyat Ki Khabar Kis Ko Hay
Meri Gumnaam Muhabbat Ki Khabbar Kis Ko Hay
Kis Ko Ahsaas Meri Shidat-E-Jazbat Ka Hay
Meray Halaat Mery Wahshat Ki Khabar Kis Ko Hay
Main Nay Chup Chaap Muhabbat Kay Sitam Jheelay Hain
Meri Iss Darjah Sharaafat Ki Khabar Kis Ko Hay

1 Like ·
Sep 11, 2016 at 23:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Uljhan Ko Barhanay Ki Zarurat Kya Hai

Chhorna Hai Tu Bahane Ki Zarurat Kya Hai
Lag Chuki Aag Tu Lazim Hai Dhuan Uthe Ga
Dard Ko Dil May Chupanay Ki Zarurat Kya Hai
Ajnabi Rung Chalakta Hoo Ager Aankhon Say
Unsay Phir Aankh Milanay Ki Zarurat Kya Hai
Bethe Rehtay Hai Teri Mehfil May Dost Naye
Ab Tumhai Yaar Purany Ki Zarurat Kya Hai
Sath Rehtay Hoo Mager Sath Nahi Hote....
Aysay Rishtay Ko Nibhanay Ki Zarurat Kya Hai

Sep 10, 2016 at 04:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hr Ksi Ko Duniya May Shohraten Nahi Milti
Hr Ksi Ko Duniya May Shohraten Nahi Milti,
Zindagi K Lumhon Ki Qeematein Nahi Milti.
Fateh Ki Khwahish May Amal Bhi To Lazim Hai,
Sirf Kuch Iraadon Se Manzilen Nahi Milti.
Faisly Ye Chahat K Aasman Pe Hotay Hain,
Do Dilon K Milne Se Qismat Nahi Milti.
Deen Aur Duniya Ko Sath Rakhna Parta Hai,
Masjidon May Rehne Se Jannatein Nahi Milti.
Maan Lo Is Zamane May Aur Bhi Hain Hum Jese,
Hasb-E-Aarzoo Jin Ko Chahtein Nahi Milti..

Sep 09, 2016 at 22:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hamary Soch Ki Parwaz Ko Rokay Nahi Koi
Hamary Soch Ki Parwaz Ko Rokay Nahi Koi
Naye Aflaaq Pey Pehra Bitha Kar Kuch Nahi Milta
Koi ik Aadh Sapna Ho Tu Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron Khawab Ankhon Men Saja Kar Kuch Nahi Milta
Usey Kehna Ke Palkon Per Na Taankay Khawab Ki Jhaalar
Samandar Ky Kinary Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta
Ye Acha Hai ke Aapas Ke Bharam Na Totney Payeen
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta
Faqat Tum Sey Hi Karta Hoon Men Sari Raz Ki Baten
Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta
Amal Kay Sokht ka Rag Men Zara Sa Khon Shamil Kar
Mery Ham Dam Faqat Bateen Bana Kar Kuch Nahi Milta

Sep 08, 2016 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jala K Tu Bhi Agar Aasra Na De Mujh Ko
Jala K Tu Bhi Agar Aasra Na De Mujh Ko
Ye Khauf He K Hawa Phir Bujha Na De Mujh Ko
Mein Is Khayal Se Mur Mur K Dekhta Hun Usay
Bichar K Bhi Wo Kahin Phir Sada Na De Mujh Ko
Isi Khayal Se Shab Bhar Mein So Nahi Sakta
K Khof-E-Khuwab-E-Guzashta Jaga Na De Mujh Ko
Tere Baghair Bhi Teri Tarah Mein Zinda Rahoon
Ye Hosla Bhi Dua Ker, Khuda Na De Mujh Ko
Mein Is Liey Bhi Usay Khud Phir Bolon Ga MOHSIN
K Mujh Se Roothnay Wala Kahin Bhula Na De Mujh Ko

Sep 06, 2016 at 17:09
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Rawan Saal Ka Aakhri Sooraj Girhan 25 November Ko Ho Ga
رواں سال کا آخری سورج گرہن جمعہ 25 نومبر کو ہوگا تاہم پاکستان سے اس کا مشاہدہ نہیں کیا جا سکے گا۔ محکمہ موسمیات کے مطابق 25 نومبرکو جزوی سورج گرہن ہوگا۔ پاکستانی وقت کے مطابق سورج گرہن صبح 9 بج کر 23...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 05, 2016 at 02:09
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko

Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko..

Sep 03, 2016 at 23:09
Category: sad
Sponored Video