Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue
Har Ek Harf-E-Aarzu Ko Dastan Kiye Hue
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue
Surur-E-Aish Talkhi-E-Hayat Ne Bhula Diya
Dil-E-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-E-Jan Kiye Hue
Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Vo Ayenge
Vo Ayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Un Se Mang Loon
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Bekaran Kiye Hue
Vo Ayenge To Ayenge Junun-E-Shauq Ubhaarne
Vo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue
Main Un Ki Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon
K Un Se Bhi Hai Aj Rashk Bad-Guman Kiye Hue

·
1 Like ·
Oct 17, 2016 at 19:10
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain

Jane Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Kahte Hain
Kya Qayamat Hai Ke Jin Ke Liye Ruk Ruk Ke Chale
Ab Vahi Log Hamain Aabalapa Kahte Hain
Koi Batalao Ke Ik Umr Ka Bichra Mehboob
Ittefaqan Kahin Mil Jaye To Kya Kahte Hain
Ye Bhi Andaz-E-Sukhan Hai Ke Jafa Ko Teri
Ghamza-O-Ishva-O-Andaz-O-Ada Kahte Hain
Jab Talak Dur Hai Tu Teri Parastish Kar Lain
Ham Jise Chu Na Sakain Us Ko Khuda Kahte Hain
Kya Tajjub Hai Ke Ham Ahl-E-Tamanna Ko 'Faraz'
Wo Jo Maharum-E-Tamanna Hain Bura Kahte Hain

Oct 16, 2016 at 09:10
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Akhir E Shab Mein Sitaron Ko Bujha Kr Sona
Akhir-e-shab mein sitaron ko bujha kr sona
Meri aadat hai yeh khuabon ko sula kr sona
Na hi is pehlu qaraar or na chain us karwat
Kitna dushwar hai apnon ko sata kr sona
Raat bhar kesey sambhaley hoye rakho ge inhen
Meri mano to in ashkon ko baha ker sona
Us ney to chhor dia meri gali mein aana
Main ney chhora nahin raston ko saja kr sona
Khwab aa jaen na phir neend churane
Jaagti aankhon ko pehrey peh bitha kr sona..

2 Like ·
Oct 09, 2016 at 15:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Sattar
Janwaron Ko Qudarti Mahole Me Dekhne Ka Aik Tareeqa
·
3 Like ·
Sep 29, 2016 at 12:09
Category: photos
Social Wall / Photos
Maleeha Bukhari
2 Bachon Ko Bike Par Le Janay Wala Idea
·
0 Like ·
Sep 27, 2016 at 17:09
Category: photos
Articles / Health
Ijunoon
Football Ko Zyada Head Marna Khatarnaak
امریکہ میں ڈاکٹروں کا کہنا ہے کہ فٹبال زیادہ مرتبہ سر سے کھیلنے سے دماغ میں زخم آ سکتے ہیں اور اس بارے میں شواہد دماغ کے سکین کرنے سے ملے ہیں۔
فٹ بال کے بتیس کھلاڑیوں کے دماغ کے’سکین‘ سے معلوم ہوا ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 22, 2016 at 06:09
Category: health
Social Wall / Photos
Eshwa Khan
Ya Allah Is Jummay Ko Tamam Musalmano K Liye Rehmat
·
1 Like ·
Sep 19, 2016 at 20:09
Category: photos
Social Wall / Photos
Abdul Ghaffar
Allah Ta''ala Sab Ki Maa Ko Salamat Rakhe.
·
1 Like ·
Sep 17, 2016 at 06:09
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Aansoan Ko Aankhon Main Sajana Hoga
Ab Aanso'on Ko Aankhon Main Sajana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye, Khud Ko Jalana Hoga...
Na Samajhna Kh Tum say Bichar Kay Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskurana Hoga...
Phir Shaam Dhal Gayi, Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Say Behlana Hoga...
Wada Khilafi Kar Kay Muskuratay Ho Aap
Dekhna Aik Din AEY DOST Tum ko Pachtana Hoga...
lahu Say Apnay, Kafan Peh Tera Naam Likh Jaaoon ga
Thaam Kay Haath Main Phool Tum ko Aana Hoga...
Abhi Say Na Kijiye Takazay Masroofiyat Kay Aap
Abhi Uthna Hay Janaza, Kaandhaa To Daina Hoga...
Muddaton Kiya Hay Tera Intezaar, Aey DOST!
Ummar Katt Chuki Ab To Jana Hoga !!!

Sep 14, 2016 at 17:09
Category: sad
Sponored Video