Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Karb Ke Shahar Se Nikle To Ye Manzar Dekha
karb ke shahar se nikle to ye manzar dekha
ham ko logon ne bulaya hamen chhuu kar dekhaa
jab bhi chaha hai ke malbous-e-vafa ko chu len
misl Khushbuu koi uDta hua paikar dekha
vo barsat men bhega to nigahen uThin
yon laga hai koi tarasha huaa patthar dekha
zindagii kitanii pareshaaN hai ye sochaa bhii na thaa
is ke ataraaf men sholon kaa samandar dekha
aa gai Gam ki hava phir tere gesuu choukar
hamane virana-e-dil phir se muattar dekha
vo jo uDati hai sadaa dasht-e-vafaa men "Afzal"
usi miTi men nihaaN dard kaa gauhar dekha

·
1 Like ·
Nov 16, 2016 at 18:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dhuup Ke Saath Gayaa Saath Nibhaane Wala
Dhuup ke saath gayaa saath nibhaane wala
ab kahaan ayega vo lauT ke aane wala
ret par chhod gayaa naqsh hazaaron apne
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane wala
sabz shaaKhen kabhii aise to nahiin cheeKhti hain
kaun aya hai parindon ko Darane wala
aariz-e-shaam kii surKhi ne kiyaa faash usay
pardaa-e-abr men thaa aag lagaane wala
safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht purhoul hai tuufaan hai aane wala
mujh ko darr pardaa sunata rahaa qissaa apna
agale waqton kii hikayat sunaane wala
shabnami ghaas ghane phuul larazti kiranen
kaun aayaa hai Khazano ko luTaane wala
ab to aaraam karen sooghti aaNkhen merii
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane wala

Nov 13, 2016 at 01:11
Category: sad
Advertisement
Articles / Featured
Ijunoon
Chili Shamsi Tawani Se Chalanay Wali Caroon Ke Rais
چلی میں سوج کی روشنی سے چلنے والی کاروں کی ریس کی تیاریاں شروع ہوگئی۔ شمسی توانائی سے چلنی والی کاروں کی دوسری سالانہ ریس نومبر میں چلی کے صحرائے ایٹاکاما میں منعقد کی جائے گی۔ ریس میں شمولیت کے لیے ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 09, 2016 at 11:11
Category: featured
Social Wall / Photos
Aleezay Abbasi
In Jaison Ke Liye Koi Eik Jumla.?
·
0 Like ·
Oct 31, 2016 at 00:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zamanay Bhar Ke Nigahon Main Jo Khuda Sa Lagay
Zamanay Bhar Ke Nigahon Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hay Mager Mujh Ko Aashna Sa Lagay
Na Janay Kab Meri Dunya Main Muskuraye Ga
Wo Ak Shaks Kh Khuwabon Main Bhi Khafa Sa Lagay
Ajeeb Cheez Hay Yaaron Yeh Manzilon Ki Hawas
Keh Rehzan Bhi Musafir Ko Reh-Numa Sa Lagay
Dil Tabah ! Tera Mashwara Kia Kh Mujhay
Wo Phool Rang Sitara Bhi Be Wafa Sa Lagay
Hoti Hay Jis Say Munawar Har Ak Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam-numa Sa Lagay

Oct 26, 2016 at 23:10
Category: sad
Social Wall / Text
Fozia Iqbal
Mobile Sms Ke Liye Chhota Sa Printer
·
0 Like ·
Sep 26, 2016 at 11:09
Category: text
Social Wall / Text
Fozia Iqbal
Mobile Sms Ke Liye Chhota Sa Printer
·
0 Like ·
Sep 25, 2016 at 17:09
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Main…
Par Ik Hansi Ke Liye Waqt Nahi…
Din Raat Daurti Duniya Main…
Zindagi K Liye Hi Waqt Nahi…
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai…
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi…
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke…
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi…
Sare Naam Mobile Mein Hain…
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi…
Gairon Ki Kya Baat Kahain…
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Aankhon Main Hai Neend Bharee..
Par Sone K Liye Waqt Nahi…
Dil Hai Gamon Se Bhara Howa…
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi…
Paison Ki Daurr Mein Aise Daure…
K Thakne Ko Bhi Waqt Nahi…
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karain…
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Tu Hi Bata Ae Zindagi…
Is Zindagi Ka Kya Hoga…
K Har Pal Marne Walon Ko…
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……!!!
Par Ik Hansi Ke Liye Waqt Nahi…
Din Raat Daurti Duniya Main…
Zindagi K Liye Hi Waqt Nahi…
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai…
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi…
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke…
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi…
Sare Naam Mobile Mein Hain…
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi…
Gairon Ki Kya Baat Kahain…
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Aankhon Main Hai Neend Bharee..
Par Sone K Liye Waqt Nahi…
Dil Hai Gamon Se Bhara Howa…
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi…
Paison Ki Daurr Mein Aise Daure…
K Thakne Ko Bhi Waqt Nahi…
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karain…
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Tu Hi Bata Ae Zindagi…
Is Zindagi Ka Kya Hoga…
K Har Pal Marne Walon Ko…
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……!!!
·
3 Like ·
Sep 25, 2016 at 12:09
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Aik Krore Tees Lakh Dollor Ke Pink Dimand Ki Numaish
نیویارک میں جواہرات کے معروف سیل سنٹر ''سوتھیبیز'' میں ایک کروڑ تیس لاکھ ڈالر کے پنک ڈائمنڈ کی نیلامی کا اہتمام کیا گیا ہے۔ سوتھیبیز کے ڈائریکٹر آف جیولری نے میڈیا کو بتایا کہ بائیس اعشاریہ سترہ قیراط...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 21, 2016 at 03:09
Category: featured
Sponored Video