Search
Quotes / Urdu Quotes
Hina Raheel
Dunya Ke Maal O Asbaab Par Ghuroor Mat Hona
dunya ke maal o asbaab par ghuroor mat hona, kya khabar ke aaj ki raat teri jaan tujh se talab kar li jaye
·
2 Like ·
Oct 27, 2018 at 15:10
Category: urdu-quotes
Quotes / Urdu Quotes
Hina Raheel
Dunya Ke Maal O Asbaab Par Ghuroor Mat Hona
dunya ke maal o asbaab par ghuroor mat hona, kya khabar ke aaj ki raat teri jaan tujh se talab kar li jaye
·
1 Like ·
Oct 27, 2018 at 10:10
Category: urdu-quotes
Advertisement
Poetry / General
Ali Awan Malik
Tanzia Lehja Munafiqat Dil Aur Lafzon Ke Jaal
tanzia lehja munafiqat dil aur lafzon ke jaal
ae ibn e aadam, kya tu waqai ashraf ul makhlooqat hai
ae ibn e aadam, kya tu waqai ashraf ul makhlooqat hai
·
2 Like ·
Oct 27, 2018 at 02:10
Category: general
Quotes / Urdu Quotes
Daud Bhatti
Naseehat Se Fayda Uthanay Ke Liye Zahanat
Insaan kisi ko naseehat to kar sakta hai lekin iss naseehat se fayda uthanay ke liye zahanat sath nahee de sakta.
·
2 Like ·
Oct 24, 2018 at 22:10
Category: urdu-quotes
Poetry / Sad
Arsalan Ahmed
Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam E Aashiqui Na Lia.
Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia.

0 Like ·
Oct 24, 2018 at 19:10
Category: sad
Poetry / Sad
Mohammad Iqbal
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?

Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon?

Oct 24, 2018 at 12:10
Category: sad
Poetry / Sad
Sakeena Hussain
Is Sher Kharabi Mein Gham E Ishq Ke Maarey.
·
0 Like ·
Oct 23, 2018 at 22:10
Category: sad
Poetry / Sad
Safia Saeed
Abhi Kuch Aur Karishmay Ghazal Ke Dekhte Hain.
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Oct 23, 2018 at 16:10
Category: sad
Quotes / Urdu Quotes
Abdulla Bhatti
Allah Ke Sath Tijarat Kaisay Ki Jaye
jab kabhi tum ko apne rizaq mein kami nazar anay lagey to kuch maal Allah ki raah mein de kar Allah ke sath tijarat kiya karo
Ameer Al-momineen Syedna Gazrat Umar Farooq Razi Allah Anha

8 Like ·
Oct 21, 2018 at 07:10
Category: urdu-quotes
Sponored Video