Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Barishon Kay Mousam Main
Barishon Kay Mousam Main
Waqt Kay Andheron Main
Main Nay Us Say Pucha Tha
Chorr Tu Na Jao Gaye
Haath Thaam Kar Us Nay
Kaan Main Ye Bola Tha
Kesay Chorr Sakta Hoon
Tum Tu Jaan Ho Meri
Or Aaj Aisa Hay
Waqt Ki Tamaazat Main
Wehshaton Kay Mousam Main
Main Nay Us Say Pucha
Chorr Kar Hi Jana Tha
Muskurati kaliyon ko
Aas Kyun Dilai Thi
Pyaas Kyun Jagai Thi
Meray In Sawalon Per
Chaltay Chaltay Wo Bola
Mousam Ki Tu Aadat Hay
Waqt Per Badal Jana
Waqt Kay Andheron Main
Main Nay Us Say Pucha Tha
Chorr Tu Na Jao Gaye
Haath Thaam Kar Us Nay
Kaan Main Ye Bola Tha
Kesay Chorr Sakta Hoon
Tum Tu Jaan Ho Meri
Or Aaj Aisa Hay
Waqt Ki Tamaazat Main
Wehshaton Kay Mousam Main
Main Nay Us Say Pucha
Chorr Kar Hi Jana Tha
Muskurati kaliyon ko
Aas Kyun Dilai Thi
Pyaas Kyun Jagai Thi
Meray In Sawalon Per
Chaltay Chaltay Wo Bola
Mousam Ki Tu Aadat Hay
Waqt Per Badal Jana
·
1 Like ·
May 06, 2017 at 12:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kitabon Kay Panno Ko Palat Kay Sochti Hoon

Yon Palat Jaye Meri Zindagi Tu Kia Baat Hay
Khowabon Main Roz Miltay Hain Jo
Haqiqat Main Mil Jaye Tu Kia Baat Hay
Kuch Matlab Kay Liye Dhoondti Hay Mujh Ko
Bin Matlab Jo Aa Jaye Tu Kia Baat Hay
Qatal Kar Kay Tu Sab Lay Jay Ge DIL Mera
Koii Baaton Say Lay Jaye Tu Kia Baat Hay
Jo Sharifon Ki Sharafat Main Baat Na Ho
Ak Sharabi Keh Jaye Tu Kia Baat Hay
Apnay Rehnay Tak Tu Khushi Don Sab Ko
Ager Kesi Ko Meri Mout Pay Khushi Mil Jaye Tu Kia Baat Hay

May 02, 2017 at 17:05
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Barson Kay Baad Dekha
Barson Kay Baad Dekha , Ak Shaks Dil Ruba Sa
Ab Zehan Main Nahi Hay, Par Naam Tha Bhala Sa
Khowabon Main Khowab Us Ka, Yaadon Main Yaad Us Ki
Nendoon Main Ghul Gaya Ho, Jesay Ke Rat Jaga Sa
Pehlay Bhi Log Aaye, Kitnay Hi Zindagi Main
Lekin Wo Har Tarah Say, Ouron Say Tha Juda Sa
Aglee Mohabaton Nay, Wo Na Muradain Deen Thin
Taza Rafaqaton Say, Kuch Dil Tha Dara Dara Sa
Kuch Ye Keh Muddaton Say, Hum Bhi Nahi Thay Roye
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa
Ab Sach Kahain Tu Yaron, Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jaye Ga Kayamat, Ak Wakiya Zara Sa
Taivar Be-Rukhi Kay Andaaz Dosti Kay
Wo Ajnabi Tha Laikin, Lagta Tha Aashna Sa
Hum Dasht Thay Ke Dariya, Hum Zehar Thay Ke Amrit
Nahak Thi fikar Hum Ko, Jab Wo Nahi Tha Pyasa

Apr 19, 2017 at 10:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Parhi Hay Chupp Kay Kuch Namazain Usay Paanay Kay Liye
Rakhay KHUDA Nay Do Raastay Mujay Aazmanay Kay Liye
Wo Chorr Day Mujhay
Ya Main Chorr Don Usay Zamanay Kay Liye
Kaisay Maang Lon RAB Say
Usay Bhool Janay Ki Dua
Haath Uthaye Nahi Hain Dua Main
Usay Bhool Janay Kay Liye
Nahi Ki Zindagi Main
Main Nay
Koii Bhi Naiki
Per Parhi Hay Chupp Kay Kuch Namazain
Usay Paanay Kay Liye
Wo Chorr Day Mujhay
Ya Main Chorr Don Usay Zamanay Kay Liye
Kaisay Maang Lon RAB Say
Usay Bhool Janay Ki Dua
Haath Uthaye Nahi Hain Dua Main
Usay Bhool Janay Kay Liye
Nahi Ki Zindagi Main
Main Nay
Koii Bhi Naiki
Per Parhi Hay Chupp Kay Kuch Namazain
Usay Paanay Kay Liye
·
2 Like ·
Apr 17, 2017 at 16:04
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Na Wo Sin Hay Fursat E Ishq Ka , Na Wo Din Hay Kshf E Jamal Kay
na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hay kshf e jamal kay
magar ab bhi dill ko jawaaN rakhein wohi shobday khad o khal kay
yeh jo gard baad-e-hayat hay , koi iss ki zad say bacha nahi
magar aaj tak teri yaad ko men rakhon sanbhaal sanbhaal kay
mein ameen o qadr shanas thaa , mujhay sans sans ka pass tha
yeh jabeeN pay hein jo likhay hoey , yeh hisaab hein mah o sal kay
wo kabhi shafaq ka fasooN kahein , kabhi gull kahin kabhi khooN kahein
kay hein meri subh-e-urooj mein abhi rang sham-e-zawaal kay
meri hasratooN ko hara rakhay , meri kash-e-jaaN ko bhara rkhay
yeh yaqeeN , kuch pay khulein gay darr kisi roz bash-e-shumaal kay
shab-e-tar say na dara mujhay , ay khuda jamal dikha mujhay
kay teray saboot hein beshtar , teri shaan jah o jalal kay
koi kohkan ho k qais ho , Meer ho kay Nadeem ho
sabhi naam ek he shakhs kay , sabhi phool ek he daal kay

Feb 03, 2017 at 02:02
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choar Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi
Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahen Pe Hai
Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi
Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

Dec 27, 2016 at 11:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Talkh Haqeeqat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Merey Daaman Mein Salwatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Aik Omar Lagi Taraashney Mein Khud Ko Magar
Mila Haathoon Ko Zakhmoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Bazahir Dil To Har Aik Baat Par Dharakta Hai
Warna Is Mein Teri Murat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Raas Aaya Hi Nahi Haqeeqat Kay Ujaloon Ka Safar
Aur Takhayul Mein Bhi Andheroon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Main Ney Sehra-E-Zeest Mein Barsoon Khaak Chaani Hai
Reh Gaya Jholi Mein Wehshatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Silsiley Teri Mulaqatoon Kay, Terey Khayaal Kay
Aur Aankhoon Mein Ratjagoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Kabhi Jo Dekhta Hoon Deevar-O-Dar Apney Makaan Kay
Nazar Aata Hai Mujhey Patharoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Kia Dhoondtey Ho Waris~, Khizaan Ki Manind Wujood Mein Tum
Is Shajar Mein Sookhey Pattoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Sep 25, 2016 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aa Kay Lay Jaain Meri Aankh Ka Pani Mujh Say

Kiun Hasad Karti Hay Darya Ki Rawani Mujh Say
Gosht Nakhun Say Alag Kar Kay Dikhaya Main Nay
Us Nay Poochay Thay Judaai K maani Mujh Say
Teri Khushbu KI Lehad Par Main Bara Tanha Tha
Ro Pari Mil K Galay Raat Ki Raani Mujh Say
Khatam Honay Laga Jab Khoon Bhi Ashkon Ki Tarah
Kar Gaay Khawab Meray Naqal Makani Mujh Say
Sirf ik Shakhs K Gham Main Mujhay Barbaad Na kar
Roz Rotay Huay Kehti Hai Jawani Mujh Say...

Aug 29, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabat Kay Tassavur Ko Agar Tasveer Karna Hay
MUHABAT KAY TASSAVUR KO AGAR TASVEER KARNA HAY
DHANAK SAY RaNG LAY LENA
SITAROUN SAY DaMAK LENA
SEHeR SAY ROOSHNI LENA
GULOUN SAY DILKASHI LENA
MUGHANNI BULBULON SAY NAGHMAGI LENA
ALA-S-SUBHA JAAG JANA
OOS KAY QATROUN SAY TUM
PAKIZGEE OR TAAZGEE LENA
SABAHAT HOOR SAY LENA
MALAHAT TUM MERAY MEHBOOB SAY LENA

HAZAROUN BHEED WALAY
BAR-E-AAZEM KAY TAHAYUR KHAIZ KHITUN MAIN CHLAY JANA
BOHAT MAKHSOOS JUNGLE MAIN
QALANCHAY MARTAY AAHOUN KA RAM TASKHEER KAR LENA
OR US KAY NAAFA-E-MaGHZAN SIFT SAY
KUSHBOO-E-JADU ASAR LENA

LAGAY JAB JUNGLON MAIN AAG
US AATISH KAY SHOLOUN SAY
GHAZAB KI TUM LAPAK LENA
SAMANDER SAY TAHHAAMUL, ZABT OR GEHRAEE LAY LENA
BAHAROUN SAY YEA KAHNA
APNI SHADABI TUMHAIN DAY DAIN

KISI SAR-SABZ WADI MAIN
CHAMAKTI JHEEL PER JAB KALAY BAADAL JHOOM KAR CHAAEEN
HAWA RUK JAEEY
BARISH KI BOHAT NANNHI SI BAY HAD DILNASHEEN SHEHZAADIYAN
BOONDOUN KI NAZUK PAALKI MAIN JAB UTER AAEEN
TO YEA MANZER CHURA LENA
YEA SARAY RANG OR MANZAR TUM HARAY HAATH AAA JAAEEN
MAGER PHIR BHI ADHOORI SI TUMHAIN TASVEER LAGTI HO
MUHABAT KI AGAR YEA MOONA LIZA BAN NAHI PAA EE
TO PHIR IK KAAM TUM KARNA
MERAY TUTAY HUAY DIL KI
HAR IK KIRCHI UTHA LENA
YEA HI JOHAR TO US TASVEER MAIN
IK ROOH PHOONKAY GA

Aug 22, 2016 at 17:08
Category: love
Sponored Video