Search
Quotes / Urdu Quotes
Wajeeha Ali
Behtar Hai Woh Shakhs Jo Deir Me Khafa Ho Aur Jald Raazi
behtar hai woh shakhs jo deir me khafa ho aur jald raazi ho jaye, aur bad-tar hai woh shakhs jo jald ghussay me ajaye aur der se raazi ho.
·
6 Like ·
Sep 07, 2018 at 00:09
Category: urdu-quotes
Poetry / Sad
Asiah Rahi
Mujhko Yaqin Hai Sach Kahati Thin Jo Bhi Ammi Kahati Thin.
mujhko yaqin hai sach kahati thin jo bhi ammi kahati thin
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahati thin
ik ye din jab apanon ne bhi hum se rishta tod liya
ik wo din din jab ped ke shakhe,n bojh hamara sahati thin
ik ye din jab lakhon gham aur kal pada hai aansu ka
ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahati thin
ik ye din jab sari sadaken ruthi ruthi lagti hain
ik wo din jab ‘ao khelen’ sari galiyan kahati thin
ik ye din jab jagi raten deewaron ko takati hain
ik wo din jab shakhon ke bhi palaken bojhal rahati thin
ik ye din jab zahan mein sari ayyari ke baten hain
ik wo din jab dil mein sari bholi baten rahati thin
ik ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rehta hai
ik wo ghar jisamen meri budhi nani rahati thin.

3 Like ·
Aug 14, 2018 at 10:08
Category: sad
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Amnah Khan
Aik Dost Aik Shagird Se Kehta Hai Jo...
aik dost aik shahgird se kehta hai ke main ne aik dafa apne aik poorane dost ko mara to woh rone laga main dar gaya main ne kaha yara chup hoga main police ko bula loon ga woh chup hogaya main ne kaha ke main itni der se chup kera raha tha too chup nahin horah tha aab hogaya hai han kiya masla hai tere saath bata na kehne laga ke main khood police hoon aur main ne tumhen dhoka diya tha main ne kaha ke main bhi tumhen aik baat batoun ke main ne yeh bola aur apni bottle main se pani us ke moon per uchal diya hahhah
·
2 Like ·
Aug 14, 2018 at 08:08
Category: miscellaneous
Articles / Featured
Ijunoon
Anokhay Afraad Jo Cancer Or Sugar Ka Shikar Nahi Ho Sakte
ایکواڈور میں ایسے انوکھے افراد موجود ہیں جو زندگی بھر کینسر اور ذیابیطس جیسے امراض کا شکار نہیں ہوسکتے۔ جنوبی امریکی ملک ایکواڈور کی لارن نامی یہ کمیونٹی ایسے افراد پر مشتمل ہے جن کے جسم میں قدرتی طور...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 03, 2018 at 18:08
Category: featured
Poetry / General
Shagufta Yasmeen
Yeh Hum Jo Roz Uthatey Hain Apni Hi Lashain
Yeh hum jo roz uthatey hain apni hi lashain,
Kisi qalam se yeh manzooriyan to hoti hain..
Kisi qalam se yeh manzooriyan to hoti hain..
·
0 Like ·
Aug 01, 2018 at 01:08
Category: general
Social Wall / Text
Ureeda Tehreem
Bhook Woh Wahid Cheez Hai Jo Insaan Ki Izzat E Nafs Ko Khatam Kardeti Hai
zindagi mein baaz mauqay aisay bhi atay hain jab izzat e nafs ki dhajiyan urr jati hain aur ensaan zameer ke agay be bas majaboor hojata hai. bhook woh wahid cheez hai jo ensaan ki izzat e nafs khatam kardeti hai ?
·
5 Like ·
Jul 31, 2018 at 18:07
Category: text
Poetry / Sad
Gulzar Ahmed
Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aya.
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla''pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya.
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla''pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya.
·
2 Like ·
Jul 24, 2018 at 03:07
Category: sad
Poetry / Love
Fahad Bukhari
Jo Kabhi Ho Tere Dil Mein Sawal.
"Jo Kabhi Ho Tere Dil Mein Sawal,
K Kitni Hai Mujhe Zaroorat Teri..."
"Toh Zara Apni Saans Rok Kar,
Saanson Ki Talab Mehsoos Kar Lena....!!!
K Kitni Hai Mujhe Zaroorat Teri..."
"Toh Zara Apni Saans Rok Kar,
Saanson Ki Talab Mehsoos Kar Lena....!!!
·
2 Like ·
Jul 22, 2018 at 05:07
Category: love
Poetry / Sad
Abdul Karim Khan
Jo Pari Zaad Milan''saar Hua Karte Hain.
Jo Pari Zaad Milan''saar Hua Karte Hain,,,*
Kaisi Chalti H0i Tal''waar Hua Karte Hain,,,*
Zulm Karna Hi Faqat Aap Ne Seekha Hai Ya,,,*
Meharbaa''n Bhi Kabhi Sar''kaar Hua Karte Hain,,,*
Mashq Karne Se Hi H0ti Hai Mahaarat Paida,,,*
Sachhe Aashiq Bhi Ada''kaar Hua Karte Hain,,,*
Toor Par Hi Nahi Sirf Aankh Macholi Ka RawaaJ,,,*
Har Jagah Talib-€-Dee''daar Hua Karte Hain,,,*
Rab Ki Taqdeer Navesi Main Ta''asub Kaisa,,,*
Loag Khud Bakht K Me''maar Hua Karte Hain,,,*
Aey Naseem-€-Sehri Dhoop To Charrh Laine De,,,*
Dil''ruba Dair Se Be''daar Hua Karte Hain,,,*
Khizar-0-Esa Ko Bhi Milti Hain Shifaaye''n Jin Se,,,*
Wo Tere Kakul-0-Rukh''saar Hua Karte Hain,,,*
Sirf Chalne Ki Khushi Tuhfa-€-Manzil Hai Addam,,,*
Raaste ToO Sabhi Dush''waar Hua Karte Hain.

Jun 25, 2018 at 22:06
Category: sad
Sponored Video