Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Nazar Se Door Hota Ja Raha Hai
Nazar Se Door Hota Ja Raha Hai
K Woh Majboor Hota Ja Raha Hai
Ussey Hum Sey Taghafal Ka Gilla Hai
Jo Khud Maghroor Hota Ja Raha Hai
Azzal Sey Rouh To Apni Thii Ghayal
Badan Bhi Choor Hota Ja Raha Hai
Mohabbat Jurm Banti Ja Rahi Hai
Ajab Dastoor Hota Ja Raha Hai
Khuda Jaaney Teri Aankh Hon Mein Kya Hai
K Dil Majboor Hota Ja Raha Hai
Mohabbat Ka Adhoora Sa Fasaana
Buhat Mashhoor Hota Ja Raha Hai

·
1 Like ·
Sep 05, 2016 at 08:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilam Hota Hai
Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
zamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi zamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai
bharose ka katal yahan khule aam hota hai
zamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi zamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai
·
1 Like ·
Aug 13, 2016 at 00:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kabhi Aisa Nahi Hota
tumhen aisa kyun lgta hai kay hum khud dhoondtay hain apnay rishton ko,
suno jana! kabhi aisa nhin hota,
tumharay or mere chahnay se kuch nhin hota,
kay sab rishtay, sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain,
woh saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain,
jo hum se jeet jatay hain,
woh sab pehlay se rakhay hain,
samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, sabhi rishtay,sabhi mosam,
mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mosam hai,
yeh kis ke dil pay utray ga?
kahan par kab khile ga, konsi galiyon main mehkay ga?
najanay konsa dil iskay rangon main fana hoga?
najanay konsa dil is lamhay ko patay he ghani tareekh galiyon ki musafat say raha hoga?
wazahat hum nhin kartay,
mohabbat hum nhin krtay,
kay yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai,
humen pehchan leti hai,
kisi masroof kamray main pari bekaar chezon say yeh humko chaan leti hai,
kabhi jab zakhm khilta hai,
bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai,
lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai,
hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai,
yeh hum main bandh deti hai naye mosam, naye soraj, naye tare or khusbo,
yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz jiska maan rakhna farz hota hai,
yeh hum par bojh banti hai,
yeh hum par qarz hota hai,
kahan, kis par nichawar jaan krni hai,
yeh chahat hum nhin kartay,
suno jana! mohabbat hum nhin krtay….

Jul 29, 2016 at 08:07
Category: sad
Poetry / Sad
Tum Jo Hotey To Mujhe Kitna Sahara Hota
Mein Ne Auron Ko Na Dukh Mein Pukara Hota
Jitni Shiddat Se Wabasta Tha Mein Tujh Se
Kis Tarah Mera Tere Baghair Guzara Hota
Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalaney K Liye
Mein Na Hota To Koi Aur Tumhara Hota
Aur Hum Khamoshi Se Roye Jatey
Shaam Hoti Sharab Hoti Aur Kisi Dariya Ka Kinara Hota
,

Jun 10, 2016 at 08:06
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota
Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota,
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota,
Aur Ab Is Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar uljhtay Hain,
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota,
Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh,
Jo Nala Roz Beh nikalay Woh Barsati Nahi Hota,
Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay,
Jo marhaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota,
Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna,
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota......!!!!,

May 26, 2016 at 19:05
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Izzaton Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jakrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!,

May 06, 2016 at 21:05
Category: general
Poetry / Love
Mohammad Asif
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota
Tarap Rahi Hai Har Ek Tamana,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Bujhi Bujhi Se Hai Dil Ki Duniyaan,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Hum Aisi Mehfil Mein Kaise Jayein,
Jahan Ka Manzar Humein Jalaye,
Agar Hai Jalna Toh Jalengay Tanha,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Uddas Chera Nazar Pareshan,
Gham-e-Muhabbat Gham-e-Tamanna,
Kahan Tha Pehle Yeh Gham Humara,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota...!!!,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Bujhi Bujhi Se Hai Dil Ki Duniyaan,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Hum Aisi Mehfil Mein Kaise Jayein,
Jahan Ka Manzar Humein Jalaye,
Agar Hai Jalna Toh Jalengay Tanha,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota,
Uddas Chera Nazar Pareshan,
Gham-e-Muhabbat Gham-e-Tamanna,
Kahan Tha Pehle Yeh Gham Humara,
Na Tumse Miltay Na Aisa Hota...!!!,
·
1 Like ·
May 04, 2016 at 00:05
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Dard Kia Hota Hai Batain Gay Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gay Kisi Rooz
Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gay Kisi Rooz
ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gay Kisi Rooz
Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gay Kisi Rooz
Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gay Agar Lout Ayein Gay Kisi Rooz
Apnay Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gay Kisi Rooz

Apr 18, 2016 at 03:04
Category: general
Social Wall / Photos
Jiya Daniyal
Ye Hota Hai Anda... Wo Bhi Desi :p
·
0 Like ·
Apr 15, 2016 at 06:04
Category: photos
Sponored Video