Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Chalo Ek Ghar Banaye Hum
Chalo Ek Ghar Banaye Hum..
Saja Den Uss Ko Phoolon Se..
Na Deewaren
Na Darwaze..
Na Koi Uss Me Rozan Ho..
Hamare Apney Sapno Ki Chahten Sar Par Rahey Har Dam..
Wahin Taron Ka Jhurmat Ho..
Wahin Par Chaand Bhi Nikley..
Koi Aisa Banaye Ghar..
Jahan Jharney Ka Pani Ho..
Jahan Par Har Subha Ek Nit Naye Andaaz Me Kuch Gungunati Hon..
Bhaley Sadiyan Guzer Jayein..
Qayamat Aa Ke Mil Jaye..
Ye Sapney Na Kabhi Tootein..
Mere Iss Haath Se Ye Haath Tera Na Kabhi Chhootey..

·
1 Like ·
Aug 19, 2016 at 05:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Rona To Bohat Chahte Hai
Hum Rona To Bohat Chahte Hai
Magar Galay Lagne Wala Koi Nahi
Sab Hai Magar Apna Koi Nahi
Khuda Kisiki Muhabbat Pe Fida Na Kare,
Agar Kare To Zindagi Bhar Judaa Na Kare..
Kabhi Roke Muskuraye, Kabhi Muskurake Roye
Teri Yaad Jab Bhi Aayee, Tujhe Bhula Bhula ke Roye
Ek Tera Hi Naam Tha Jise Hazaar Baar tha Likha
Jise Khush Hue The Likhkar Use Mita Mita ke Roye…
U Tho Hum Kisi Ka Picha Nahi Karte,
Darde Dil Diya Or Liya Nahi Karte,
Itfak Ki Baat Hai Ye Dil Tuj Par Aagya,
Warna Itne Qeemti Cheez Kisi Ko Diya Nahi Karte
Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behtar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga…
Mere Honton Ke Mehaktay Hue Naghmo Par Na Ja
Mere Seenay Main Kaye Aur Bhi Ghum Paltay Hain
Mere Chehray Par Dikhaway Ka Tabassum Hai Magar
Meri Aankhon Main Udaasi Kay Diye Jalte Hain

Aug 18, 2016 at 11:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Poetry Sms
Muzammil Shahzad
Kiyu Khat Likhti Ho Ab Ye Chahat Kaisi
Kiyu Khat likhti ho ab ye chahat kaisi
Juda ho gaye ho ab muhabbat kaisi
hume tumari chahato pe bada naaz tha
tum BEWAFA nikli tumse shikayat kaisi
Juda ho gaye ho ab muhabbat kaisi
hume tumari chahato pe bada naaz tha
tum BEWAFA nikli tumse shikayat kaisi
·
1 Like ·
Aug 17, 2016 at 08:08
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jaon To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqe Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Khayal Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Ha

Aug 15, 2016 at 22:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Pee Ke Raat Ko Hum Unko Bhulane Lage
Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage
·
1 Like ·
Aug 13, 2016 at 14:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Babar Ali
Woh Knse Nabi The Jo Koh E Toor Pr Allah Ta''ala Se Hum Kalam Hue?
·
0 Like ·
Aug 13, 2016 at 02:08
Category: photos
Social Wall / Photos
Abdul Waheed
Khawand Maali Mushkilaat Ka Shikaar Ho Gaya
·
0 Like ·
Aug 09, 2016 at 09:08
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
·
2 Like ·
Aug 07, 2016 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Barish Hui To Pholo K Tan Chaak Ho Gaye
barish hui tou phoolon kay tan chaak hogaye
mousam kay hath bheeg kay safaaq hogaye
badal ko kya khabar hai keh barish ki chah mein
kaisay buland o baala shajar khaak hogaye
jugno ko din kay waqt parkhnay ki zid karien
bachay hamaray ehad kay chalaak hogaye
lehra rahi hai barf ki chadar hata kay ghaas
sooraj ki sheh peh tinkey bhi bebak hogaye
bastii mein jitnay aabb guzida thay sab kay sab
darya kay rukh bdalty he tairaak hogaye
sooraj dimagh log bhi Ablaagh fikar mein
Zulf-e-shab-e-firaaz kay pechak hogaye
jab bhi Ghareeb-e-shehar say kuch guftagu hui
lehjay hawaye shaam kay nmnak hogaye

Jul 29, 2016 at 16:07
Category: sad
Sponored Video