Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Bhi Khud Dushman E Jaan Thay Pehle
Hum Bhi Khud Dushman-E-Jaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jane Kaise Subha Se Shaam Ho Gayi
Jane Kaise Subha Se Shaam Ho Gayi,
Ye Zindgi Bas Yu Hi Tammam Ho Gayi.
Karte Rahe Hum Kosish Manzil Ko Pane Ki,
Har Kosish Magar Aaj To Nakam Ho Gayi.
Dil Ke Kisi Kone Me Chupaya Tha Aapko,
Phir Ulfat Meri Kaise Badnam Ho Gayi.
Jis Khushi Ke Liye Uthaya Tha Har Ek Gam,
Wo Khushi Kisi Aur Ki Mehmaan Ho Gayi.
Acha Hua Ye Gam Mere Kareeb Aa Gaya,
Apne Paraye Ki To Hume Pechan Ho Gayi.
Ek Waqt Tha Hum Saath The Din Raat Ke Liye,
Kyu Duriya Ab Apne Darmiyan Ho Gayi.
Ye Zindgi Bas Yu Hi Tamaam Ho Gayi,
Mera Wajood, Hasti Meri Benam Ho gai,
Jane Kaise Subha Se Shaam Ho Gayi.
Ye Zindgi Bas Yu Hi Tammam Ho Gayi.
Karte Rahe Hum Kosish Manzil Ko Pane Ki,
Har Kosish Magar Aaj To Nakam Ho Gayi.
Dil Ke Kisi Kone Me Chupaya Tha Aapko,
Phir Ulfat Meri Kaise Badnam Ho Gayi.
Jis Khushi Ke Liye Uthaya Tha Har Ek Gam,
Wo Khushi Kisi Aur Ki Mehmaan Ho Gayi.
Acha Hua Ye Gam Mere Kareeb Aa Gaya,
Apne Paraye Ki To Hume Pechan Ho Gayi.
Ek Waqt Tha Hum Saath The Din Raat Ke Liye,
Kyu Duriya Ab Apne Darmiyan Ho Gayi.
Ye Zindgi Bas Yu Hi Tamaam Ho Gayi,
Mera Wajood, Hasti Meri Benam Ho gai,
Jane Kaise Subha Se Shaam Ho Gayi.
·
1 Like ·
Aug 31, 2016 at 18:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...
·
2 Like ·
Aug 29, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sur Jhukaoge To Pathar Devta Ho Jaayega
Sur jhukaoge to pathar devta ho jaayeGa
itna mat chaho use wo bewafa ho jaayeGa
hum bhi dariya hai hame apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaayeGa
kitni sachaai se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahi mera to koi dusra ho jaayeGa
rooth jaana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya khabar thi mujh se wo itnaa khafaa ho jaayeGa
itna mat chaho use wo bewafa ho jaayeGa
hum bhi dariya hai hame apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaayeGa
kitni sachaai se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahi mera to koi dusra ho jaayeGa
rooth jaana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya khabar thi mujh se wo itnaa khafaa ho jaayeGa
·
1 Like ·
Aug 28, 2016 at 23:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaash Hum Khul K Zindagi Kartay
Kaash Hum Khul K Zindagi Kartay
Umer Guzri Hai Khud-Kushi Kartay !!
Bijliyaan Is Taraf Nahi Aain
Werna Hum Gher Main Roshni Kartay
Koon Dushman Teri Chahat Ka Tha ?
Or Hum Kis Say Dosti Kartay ?
Bujh Gay Kitnay Chaand Say Chehray
Dil K Sehra Main Chandni Kartay
Ishq Ujrat Talab Na Tha Werna
Hum Teray Der Pay Nokri Kartay
Is Tamana Main Ho Gay Ruswa
Hum Bhe Jee Bher K Aashqi Kartay
Husn Us Ka Na Khul Saka MOHSIN
Thak Gay Loog Shairi Kartay......
Umer Guzri Hai Khud-Kushi Kartay !!
Bijliyaan Is Taraf Nahi Aain
Werna Hum Gher Main Roshni Kartay
Koon Dushman Teri Chahat Ka Tha ?
Or Hum Kis Say Dosti Kartay ?
Bujh Gay Kitnay Chaand Say Chehray
Dil K Sehra Main Chandni Kartay
Ishq Ujrat Talab Na Tha Werna
Hum Teray Der Pay Nokri Kartay
Is Tamana Main Ho Gay Ruswa
Hum Bhe Jee Bher K Aashqi Kartay
Husn Us Ka Na Khul Saka MOHSIN
Thak Gay Loog Shairi Kartay......
·
2 Like ·
Aug 27, 2016 at 22:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Ab Ho Chalaa Yaqeen Ke Bure Ham Hain Dosto
Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kyaa Karein
Aankhein To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto
Apane Sivaa Hamaare Na Hone Kaa Gam Kise
Apani Talaash Mein To Ham Hi Ham Hain Dosto
Kuchh Aaj Shaam Hii Se Hai Dil Bhii Bujhaa Bujhaa
Kuchh Shahar Ke Chiraag Bhi Maddham Hain Dosto
Is Shahar-E-Aarazuu Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dam Hain Dosto
Sab Kuchh Sahi 'Faraz' Par Itanaa Zaruur Hai
Duniyaa Main Aise Log Bahut Kam Hain Dosto
Ab Ho Chalaa Yaqeen Ke Bure Ham Hain Dosto
Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kyaa Karein
Aankhein To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto
Apane Sivaa Hamaare Na Hone Kaa Gam Kise
Apani Talaash Mein To Ham Hi Ham Hain Dosto
Kuchh Aaj Shaam Hii Se Hai Dil Bhii Bujhaa Bujhaa
Kuchh Shahar Ke Chiraag Bhi Maddham Hain Dosto
Is Shahar-E-Aarazuu Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dam Hain Dosto
Sab Kuchh Sahi 'Faraz' Par Itanaa Zaruur Hai
Duniyaa Main Aise Log Bahut Kam Hain Dosto
·
1 Like ·
Aug 26, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaho Hum Muskuraeen Gay
Kaho Hum Muskuraeen Gay
Kanwal Dila kay Agar Khil Jaen Acha Hay
Hamaray Khwaab Jo Muddat Say Aawara Hain
Hum Say Door Hain
Mil Jaeen Acha Hay
Hamari Dharkanon Ka Saaz, Har Aawaz, Dil, Manzil
Khushi Or Khwaahishon Kay Phool
Sab Khil Jaeen Acha Hay
Magar Aesa Bhi Ho Sakta Hay
Saray Khwaab Saray Phool Sari Khuwahishain
Mar Jaeen Ya Kho Jaeen Rstay Main
Agar Aesa Bhi Ho
Wada Karooo Hum Muskuraen Gay
Kanwal Dila kay Agar Khil Jaen Acha Hay
Hamaray Khwaab Jo Muddat Say Aawara Hain
Hum Say Door Hain
Mil Jaeen Acha Hay
Hamari Dharkanon Ka Saaz, Har Aawaz, Dil, Manzil
Khushi Or Khwaahishon Kay Phool
Sab Khil Jaeen Acha Hay
Magar Aesa Bhi Ho Sakta Hay
Saray Khwaab Saray Phool Sari Khuwahishain
Mar Jaeen Ya Kho Jaeen Rstay Main
Agar Aesa Bhi Ho
Wada Karooo Hum Muskuraen Gay
·
1 Like ·
Aug 25, 2016 at 01:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Asad Omar
Bohat Ghaatay Ka Souda Hai.....muhabbat Hum Nahi Kartay,,,,,lo Wapis Lay Lo K...
Bohat Ghaatay Ka Souda Hai.....
Muhabbat Hum Nahi Kartay,,,,,
Lo Wapis Lay Lo Khat Apnay.....
Ye Phool Aur Ye Lafz Apnay,,,,
Hamien Day Do Wo Ajnabiyat......
Wohi Raass Hum Ko Aai Thi,,,,,
Ussi Mien Tha Sakoo''n Pinhaa''n.....
Ye Souda Hum nahi Kartay,,,,,,
Bohat Ghaatay Ka Souda Hai....
Muhabbat Hum Nahi Kartay,,,,,
Muhabbat Hum Nahi Kartay,,,,,
Lo Wapis Lay Lo Khat Apnay.....
Ye Phool Aur Ye Lafz Apnay,,,,
Hamien Day Do Wo Ajnabiyat......
Wohi Raass Hum Ko Aai Thi,,,,,
Ussi Mien Tha Sakoo''n Pinhaa''n.....
Ye Souda Hum nahi Kartay,,,,,,
Bohat Ghaatay Ka Souda Hai....
Muhabbat Hum Nahi Kartay,,,,,
·
1 Like ·
Aug 24, 2016 at 08:08
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Itni Mudat Bad Milay Ho
Itni Mudat Bad Milay Ho,
Kin Socho Me Gum Rehte Ho,
Taiz Hawa Ne Muj Se Poocha,
Rait Pe Kia Likhte Rehte Ho,
Konsi Baat Hy Tum Me Aesi,
Itne Achay Q Lgte Ho,
Hum Se Na Pocho Hijer K Qissay,
Apni Kaho Ab Tum Kese Ho.
Kin Socho Me Gum Rehte Ho,
Taiz Hawa Ne Muj Se Poocha,
Rait Pe Kia Likhte Rehte Ho,
Konsi Baat Hy Tum Me Aesi,
Itne Achay Q Lgte Ho,
Hum Se Na Pocho Hijer K Qissay,
Apni Kaho Ab Tum Kese Ho.
·
1 Like ·
Aug 19, 2016 at 19:08
Category: sad
Sponored Video