Search
Social Wall / Text
Ashraf Shahid
Un Bewaqoofon Ko Azad Karana Mushkil Hai Jo Apni Zanjeeron Ki Izzat Karte Hain
un bewaqoofon ko azad karana mushkil hai jo apni zanjeeron ki izzat karte hain
·
0 Like ·
Feb 01, 2017 at 18:02
Category: text
Social Wall / Videos
Ijunoon
Ye Twitter Kya Hota Hai? Tech Conversation Between Father And Son
Post by Internet Junoon.
·
5 Like ·
Jan 27, 2017 at 20:01
Category: videos
Advertisement
Social Wall / Videos
Ijunoon
Ye Twitter Kya Hota Hai? Tech Conversation Between Father And Son
Post by Internet Junoon.
·
5 Like ·
Jan 27, 2017 at 10:01
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Main Hai
Tere Badalnay K Ba Wajood Tujh Ko Chaaha Ha
Ye Aitraaf Bhi Shamil Mere Gunaah Main Hai
Azaab De Ga To Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De ga
Main Mutmaen Hun Mera Dil Teri Panaah Main Hai
Jisse Bahar K Mehmaan Khaali Choar Aay
Wo Ek Makaan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Main Hai
Ye Hi Wo Din They Jab Ek Doosray Ko Paaya Tha
Humari Saal girah Theek Ab K Maah Main Hay
Main Bach Bhi Jaoon To Tanhaai Maar Dalay Gi
Mere Qabeelay Ka Har Fard , Qatal Gaah Main Hai

1 Like ·
Jan 25, 2017 at 16:01
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Haq Mein Baharon Ke Saba Hai Ke Nahi Hai
Ab haq meiN baharoN ke saba hai ke nahi hai
phuuloN pe wo pehli si hawa ke nahi hai
khushbu ki shahadat bhi bari cheez hai lekin
teraa naqsh-e-kaf-e-paa hai ke nahi hai
wo partab-e-ruKh apna hta leiN tau dikha du
ke in chand sitaaroN mein ziya hai ke nahi hai
ye soch ke naqiboo ko pukaro
raat apne charaGhoN ko hawa hai ke nahi hai
jis Gham ke liye tuu ne kia, tark-e-taalluq
wo Gham tujhe pehle se siva hai ke nahi hai
daulat meiN sukoon husn meiN eesaar ka jazbah
sau baar tujhe keh tau diya hai ke nahiiN hai
maiKhana khule ya na khule sirf ye dekho
sheeshon ke khanakne ki sada hai ke nahiiN hai
ye tau koi Mansoor bataye tau bataye
ke suli pe taRapne mein mazaa hai ke nahi hai
a jaaoge Haalat ki zadd per jo kisi din
ho jayega maaloom Khudaa hai ke nahiiN hai
khaamosh haiN lekin ye Khabar sabko hai Danish
wo dushman-e-ehbaab-e-wafaa hai ke nahi hai

Jan 19, 2017 at 19:01
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khaamoshii Khud Apanii Sadaa Ho Aisaa Bhii Ho Sakta Hai
Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakta hai
sanaTaa hii gounj rahaa ho aisaa bhii ho sakta hai
meraa maazii mujh se bichhar kar kyaa jaane kis haal main hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakta hai
sahara sahara kab tak main dhondu ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakta hai
ahl-e-tuufaan soch rahe hain saahil Doobaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakta hai

Jan 12, 2017 at 08:01
Category: sad
Social Wall / Text
Wajeeha Ali
Cigrette Noshi Se Badi Umar Mein Jodo Ka Dard Ho Sakta Hai
·
5 Like ·
Jan 11, 2017 at 09:01
Category: text
Social Wall / Photos
Haseeb Naqbi
Aap Ki Raye Ki Takhleeq Kiss Ne Ki Hai?
·
5 Like ·
Jan 06, 2017 at 18:01
Category: photos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mughe Tumse Mohabbat Hai
MUGHE TUMSE MOHABBAT HAI
Meri jaan theek kahti ho
humaari is mohabbat ka
bhal kya faida hoga
humaare darmiyaan jo dooriyaan hain
kam nahi hongi
kabhi barishon k mausam mein
humesha saath rahne ki
jo khwaahishein dil mein jaagi thi
jo sapne humne dekhe thei
vo sapne toot jaayeinge
Meri Jaan ! theek kahti ho
Muqadar k likhe ko agar tasleem karna hai
to phir aisi mohabbat ka
koi bhi faida kaisa?
magar isko agar chaho
to meri bebasi keh lo
mughe tumse mohabbat hai

Jan 04, 2017 at 05:01
Category: love
Sponored Video