Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Us Bewafa Ka Shahar Hai Aur Ham Hain Dosto
Us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto
ashk-e-rawan ki nehar hai aur ham hain dosto
Sham-e-alam Dhali to chali dard ki hawa !
raton ka pichla pehar hai aur ham hain dosto
Ankhon mein urr rahi hai luti mehafilon ki dhool
ibrat saraye dehar hai aur ham hain dosto
Ye ajanabi si manzilein aur raftagaan ki yaad
tanhaiyon ka zehar hai aur ham hain dosto

·
1 Like ·
Mar 07, 2017 at 18:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mukammal Do He Danoo Per Yeh Tasbeeh E Mohabbat Hai
Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh-e-Mohabbat hai
Jo aaye teesra dana yeh Dori toot jaati hai
Muqarrar waqt hota Mohabbat ki Namazon ka
Adaa jin ki nikl jaye, Qazaa bhe choat jati hai
Mohabbat ki Namazon mei imamat aik ko soanpo
Issay taknay, Usay taknay se Niyyat toot jati hai
Mohabbat dil ka Sajda hai jo hai Tauheed per qayem
Nazar k Shirk kerne se Mohabbat rooth jati hai

2 Like ·
Mar 07, 2017 at 07:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ajeeb Shaam Khari Hai Kahin Say Aajao
Ajeeb Shaam khari hai Kahin Say Aajao
Bari Uddas Ghari Hai Kahin Say Aajao
Kisi Se Milna So Miltay Hi Pher BiChar Jana
Saza Yeh Itni Barri Hay Kahin Say Aajao
Bohat Kathan Hai mere Dost Hijer Ka MOsam
Judaayi Bol Parri Hay Kahin Say Aajao
Zamana JisKo Samajhta Hay Motiyon Ki Chamak
Wo Aansoon Ki Lari Hay Kahin Say Aajao

Mar 07, 2017 at 00:03

Mar 06, 2017 at 11:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hua Hai Haal Yeh Barish Ki Meherbaani Se
Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
Zameen k zakham haray ho gaye hain paani se
Dhale hain ashak shab e ghum bari rawani se
charagh ham ne jalaye hain iskey paani se
Na kaam aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh badgumaan hi hua aur khushbayani se
Main chahta hun tumhara bharam rahe qayam
Nikaal do mere kirdaar ko kahani se
Mujhe bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila kamaal ye dushman ki meherbani se
Kisi se kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuban ka kaam liya maine be zubaani se
Abhi zameen se nahi rabta mera AIJAAZ
Guzar raha hoon abhi daur-e-asmaani se

Mar 06, 2017 at 05:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tum janty ho mujhe kya pasand hai
Tum
janty ho mujhe kya pasand hai??
Gulab ki mehak
Raat ki chandni
Shaam ki Udassi
Sardion Ki Ratain
or,,,,,
iss Nazam ka
Pehla LaFaZ
janty ho mujhe kya pasand hai??
Gulab ki mehak
Raat ki chandni
Shaam ki Udassi
Sardion Ki Ratain
or,,,,,
iss Nazam ka
Pehla LaFaZ
·
1 Like ·
Mar 04, 2017 at 14:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hisab E Umer Ka Itna Sa Goshwara Hai
hisab e umer ka itna sa goshwara hai
tumhain nikal k dekha tu sab khasara hai
kisi chraag mein hum hain kisi kanwal mein tum
kaheen jamal humara kaheen tumhara hai
WOH KYA VISAAL KA LAMHA THA JIS K NASHAY MEIN
TAMAM UMER KI FURQAT HUMAIN GAWARA HAI
ajub asool hain is karobaar e dunia k
KISI KA QARZ KISI AUR NE UTARA HAI
kaheen pe hai koi khushbo k jis k hone ka
tamaam aalm e mujood istaara hai
najane kab tha kahan tha mager yeh lagta hai
yeh waqt pehle bhi hum ne kabhi guzara hai
YEH do KINARE TU DaRIA K HO GAYE,HUM TUM
MAGER WOH KOUN HAI JU TEESRE KINARA HAI

Mar 01, 2017 at 05:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Udaas Hai Bahut Koyi Paigaam Hi Likh Do
Dil udaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho gum naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zaroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sar e bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koi inaam na likho koi ilzaam hi likh do

Feb 24, 2017 at 05:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai
Meri Soch Musafir Mera QalaM Rahgir Hai
Mera Andaz-E-Bayan Mera ZoQ-E-Aagahi Ki Tafseer Hai
Khaak Hoon Manzil Bhi Meri Khak Magar Sach Hai
Duniya Kuch Nahi FaQat Mere Khwabon Ki Tafseer Hai
Main Rond Gaya Hota Kab Se Dar-E-Wahshat
Meri Wafa Magar Mere Paon Ki Zanjeer Hai
Mere Andaz-E-Bayan Se Nala youn Na Hona Ke
Mera Sach Hi Mera MujasaM Meri Tasveer Hai
Bhatakti Chahat Par Pehre Bithana Kab Aasan Hua
Ye Chahat Ye Ulfat To Zindagi Ka Safar Hai
Mere Warison Mein Wirasat Ka Zikr Hai Asfer
Kya Bataun? Chahat Poonji Chahat Hi Jagir Hai

Feb 23, 2017 at 15:02
Category: love
Sponored Video