Search
Poetry / Sad
Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam
Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam
Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam
Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam
Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam
Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam
Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

·
1 Like ·
Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad
Suna Hai Woh Shehar Me Aaya Hai
Suna hai woh shehar me aaya hai
Suna hai woh sath wafa laaya hai
Suna hai woh phool sung apnay chund murjhaaye laaya hai
Suna hai woh askh bhari muskrahtain bhi laaya hai
Uss say kaho
Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi sogwar nahi
Uss say kaho
Loat jaaye
Ke
Yeh shehar-e-khamosh hai
Yahan sub baasi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotay hain
Teray chahnay waley
Ab nahi rotey hain....!

Jul 25, 2017 at 09:07
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar
Chand Nikla Hai Teri Aankh Kay Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar
Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar
Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Mere Honton Pay Machalta Hai To Naghma Ban kar
Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Ruuh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Ban kar
Mera Kya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar
Dhuup Men Kho Gaya Vo Haath Churra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar...!

Jul 24, 2017 at 21:07
Category: sad
Poetry / Sad
Ishq Mein Behta Hai Jo Darya Ba Darya, Kon Hai
ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai
ham bhi dekhein, dard k sehara mein aisa kon hai
aik lamha hi guzar jaaye kaheen tairay baghair
dil ko samjhaya to hai, lekin samjhta kon hai
meri be aawaaz tanhaai bataye kiya mujhe
shehar mein hai jis ki khaatir shor barpaa, kon hai
sar pe yeh jaltay huwe suraj ko andaazaa nahi
bay talab es dasht mein ghar se nikalta kon hai
kho gayee hai waqt ki lehron mein sachai to kiya
waqt hi khud faisla kerta hai, sacha kon hai
aik se es shehar mein hain aashna na aashna
kiya bataain tujh ko meri jaan ke kaisa kon hai
din ka suraj kiya uthaye ga meri raaton ka gham
aur phir khalid kisi ka bojh uthaata kon hai

Jul 22, 2017 at 19:07
Category: sad
Poetry / Sad
Wo Aksar Bhool Jati Hai
Wo Aksar Bhool Jati Hai
Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
Kisi Din Taiz Baarish Mein
Kabhi Darya Key Dhaaray Par
Kabhi Sehra Kinaarey Par
Wo Mera Naam Likhti Hai
Kabhii Likh Kar Mitati Hai
Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
Mita Kar Hasnay Lagtii Hai
Kisi Din Shaam Sey Pehley
Mitaana Bhool Jati Ha
To Saari Raat Roti Hai ......
Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
Kisi Din Taiz Baarish Mein
Kabhi Darya Key Dhaaray Par
Kabhi Sehra Kinaarey Par
Wo Mera Naam Likhti Hai
Kabhii Likh Kar Mitati Hai
Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
Mita Kar Hasnay Lagtii Hai
Kisi Din Shaam Sey Pehley
Mitaana Bhool Jati Ha
To Saari Raat Roti Hai ......
·
2 Like ·
Jul 21, 2017 at 00:07
Category: sad
Poetry / Sad
Aaj Barson Kay Bad Dekha Hai
aaj barson kay bad dekha hai,
ab bhi aankhon ka rang gehra hai,
aur mathay ki sanwali si lakeer,
dil main kitnay diye jalati hai,
teri qaamat kay saaye ki khushboo,
guftgo main bahaar ka mausam,
be sabab aitbaar ka mausam,
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay,
kitni hairaan ho gayi khud per,
main tujhay aaj tak nahiin bhooli,
pichlay mousam ki yaad baaqi hai.....
ab bhi aankhon ka rang gehra hai,
aur mathay ki sanwali si lakeer,
dil main kitnay diye jalati hai,
teri qaamat kay saaye ki khushboo,
guftgo main bahaar ka mausam,
be sabab aitbaar ka mausam,
kyun mujhay saaray dhang yaad rahay,
kitni hairaan ho gayi khud per,
main tujhay aaj tak nahiin bhooli,
pichlay mousam ki yaad baaqi hai.....
·
1 Like ·
Jul 20, 2017 at 18:07
Category: sad
Poetry / Sad
Ijunoon
Palkon Pe Ruki Boond Bhi Rone Ko Bohat Hai
palkon pe ruki boond bhi rone ko bohat hai
ik ashk bhi daaman ke bhigonay ko bohat hai
yeh waqea hai dil main mere teri muhabbat
hone ko bohat kam hai, na hone ko bohat hai
phir kya usi tareekh ko dohraao ge qaatil
naizay pe mera sar hee pironay ko bohat hai
kis tarah se baatin pe chaRhi mail utarain?
jo zakhm badan per hai wo dhonay ko bohat hai
ab saamna tughyani-e-darya ka hai mohsin
ik leher bhi kashti ke dubone ko buhat hai

Jul 17, 2017 at 08:07
Category: sad
Poetry / Love
Kuch Dekhna Nahi Hai Tujhe Dekh Kar Mujhe
Aawaaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe?
Shayed mile kinara wahin doob kar mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gaii
Khone ke bad mil gaii apni khabar mujhe
Har har qadam pe saath hoon saya hoon main tera
Ay bewafa! dikha to zara bhool kar mujhe
Dunya ko bhool kar teri dunya main aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe?
Dunya ka har nazara nigahon se chean le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekh kar mujhe

Jul 16, 2017 at 09:07
Category: love
Poetry / Love
Mujhko Bachpan Wo Yaad Aata Hai
Mujhko bachpan wo yaad aata hai
Roz aakar mujhe rulata hai
Meri maa jab mujhe lagati gale
Abbu kandhe pe jab uthate the
Meri behnain mujhe satati thi
Bhai mere mujhe hansate the
Kitna pyara tha wo mera bachpan
Kitni pyari thi wo meri sakhiyan
Meri gudia ki jab hui shadi
Meri ankhon se ashq behte the
Yaad aye bidai meri mujhe
Ghar ke sab ro rhe the jab mere
Bebasi mei main bhi roi thi
Apne babul ka choar kar angna
Praye desh mein the log anjane
Ro rahi aankh yaad kar ke wo din
Dil mera bhi tarap raha hai yahan
Meri maa bhi wahan roti hai bahut
Na mein un ki rahi na apni hoon
Ab to bas zindgi mein hain yaadein
Aur mein hun meri tanhayi hai
Meri bachpan ki sirf yadein hein
Apna bachpan yad jaab bhi karo
Yeh nazam padh ke khoob ro lena!!!!
Roz aakar mujhe rulata hai
Meri maa jab mujhe lagati gale
Abbu kandhe pe jab uthate the
Meri behnain mujhe satati thi
Bhai mere mujhe hansate the
Kitna pyara tha wo mera bachpan
Kitni pyari thi wo meri sakhiyan
Meri gudia ki jab hui shadi
Meri ankhon se ashq behte the
Yaad aye bidai meri mujhe
Ghar ke sab ro rhe the jab mere
Bebasi mei main bhi roi thi
Apne babul ka choar kar angna
Praye desh mein the log anjane
Ro rahi aankh yaad kar ke wo din
Dil mera bhi tarap raha hai yahan
Meri maa bhi wahan roti hai bahut
Na mein un ki rahi na apni hoon
Ab to bas zindgi mein hain yaadein
Aur mein hun meri tanhayi hai
Meri bachpan ki sirf yadein hein
Apna bachpan yad jaab bhi karo
Yeh nazam padh ke khoob ro lena!!!!
·
2 Like ·
Jul 16, 2017 at 03:07
Category: love
Sponored Video