Search
Poetry / Love
Usey Barish Pasand Hai
Usey Barish pasand Hai.
Mujha Barish Mein Wo…
Usey Hasna Pasand Hai..
Mujhe Hastey Hoe Wo…
Usey Bolna Pasand Hai..
Mujha Bolti Hoi Wo…
Usey Sub Kuch Pasand Hai…
Aur Mujha Bus Wo….
Mujha Barish Mein Wo…
Usey Hasna Pasand Hai..
Mujhe Hastey Hoe Wo…
Usey Bolna Pasand Hai..
Mujha Bolti Hoi Wo…
Usey Sub Kuch Pasand Hai…
Aur Mujha Bus Wo….
·
1 Like ·
Jun 20, 2017 at 00:06
Category: love
Poetry / Love
Chupchap Kahin Rakha To Hai
Chupchap kahin rakha to hai,
Ek khwaab humne dekha to hai
Kal shaam yun hi tanha baith kar
Tere baray me socha to hai,
Doobte sooraj ugte chand par,
Tere liye paigaam bheja to hai,
Behti hawa,saagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,
Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra daikha to hai,
Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishtaa banaa to hai
Ek khwaab humne dekha to hai
Kal shaam yun hi tanha baith kar
Tere baray me socha to hai,
Doobte sooraj ugte chand par,
Tere liye paigaam bheja to hai,
Behti hawa,saagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,
Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra daikha to hai,
Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishtaa banaa to hai
·
2 Like ·
Jun 18, 2017 at 04:06
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Tujh Se Koi Gila Nahi Hai
Tujh se koi gila nahi hai
Qismat main meri sila nahin nahi
Bichar ke to na janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko motabar bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Ek thees pay dil ka phoot behna
Choonay mein to aabla nahi hai
Qismat main meri sila nahin nahi
Bichar ke to na janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko motabar bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Ek thees pay dil ka phoot behna
Choonay mein to aabla nahi hai
·
2 Like ·
Jun 17, 2017 at 08:06
Category: sad
Poetry / Love
Zulf Raaton Si Hai Rangat Hai Ujaalon Jaisi
Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jaisi
par tabiat wohi hai bholnay walon jaisi
Ik zamanay ki rifaqat pe bhi ram-khorda hai
us kam aamaiz ki khu bu hai ghazalon jaisi
Dhoondta phirta hoon logon mein shabahat uski
ke woh khuabon mein bhi lagti hai khayalon jaisi
Uski batain bhi dil awaiz hain surat ki tarah
meri sochain bhi paraishan mere balon jaise
Uski ankhon ko kabhi ghor se daikha hai Faraz
sonay walon ki tarah jagnay walon jaisi

Jun 16, 2017 at 01:06
Category: love
Social Wall / Videos
Bollywood Movie Trailers
Maar Dalunga, Kyun Villian Hai Tu? - 'Entertainment '
·
0 Like ·
Jun 15, 2017 at 23:06
Category: videos
Poetry / Sad
Dar E Qafas Se Paray Jub Sabaa Guzarti Hai
DaR-E-Qafas Se Paray JuB SaBaA Guzarti Hai
Kisay KhaBaR K Aseroon PaR Kia Guzarti Hai
TaaLuQ KabHii es QaDaR NaA ToOTeY thay
K TeRii YaAd Bhii DiL SeY KhaFaA Guzarti Hai
WoO Ab MiLeY B To MiLTaA Hai es TaRHaA JaiSeY
Bujhay Chiraghoon Ko Choo KaR HaWaA Guzarti Hai
FaQeeR KuB K Gay JanGLoOn Ki SimT MaGaR
GaLii SeY Ajj Bhii Unn Kii SaDaA Guzarti Hai
Ye AhL-E-HijjAR Ki basti Hai, ahthyat Se ChaL
Musibatoon Kii YaHaN InThaA Guzarti Hai
BhanWaR Se BaCh To GayiN KaShTiYaAn MaGaR Ab K
DiLoOn Ki KhaiR K Mooj-E-BaLaA Guzarti Hai
NaA PoOcH ApNii Ana Kii BaghawataiN MoHSiN
DaR-E-QaBoOL SeY BaCh KaR DUA Guzarti Hai

Jun 15, 2017 at 06:06
Category: sad
Poetry / Love
Mujhay Apna Sitara Dhoondna Hai
sitaron say bharay es aasman ki vusaton men
mujhay apna sitara dhoondna hai
na us ka naam hai maloom, na koi nishani hai
bus itna yaad hai mujh ko
azal ki subha jab saray sitaray
alwidai guftagu kartay huay raston pay niklay thay
to us ki aankh men ik aur tara jhilmilaya tha
usi taray ki surat ka
meri bheegi hui aankhon men bhi ik khvab rehta hai
mein apnay aansuon men apnay khowabon ko sajata hoon
aur uski raah takta hoon
suna hai gumshuda cheezen
jahan pay khoi jati hain
wahin say mil bhi jati hain
MUJHAY APNA SITARA DHOONDNA HAI

Jun 14, 2017 at 09:06
Category: love
Poetry / Love
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Hum Bhi Hoslay Apnay Jigar Kay Dekhtay Hain
Ragon Men Dourta Phirta Hai Wo Lahu Ban Kar
Usay Hum Apnay He Dil Men Utar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Sabr Say Jo Bhi Milay Wo Nourus Hai
So Hum Bhi Zaiqay Apnay Samar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Kay Bhi Dil Men Khayal Paltaay Hain
So Es Khayal Ko Tehreer Kar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ki Maseehai Ka Hai Rang Juda
So Aaj Hum Bhi Hawa Men Bikhar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Uski Nigaahen Bhi Shair Kehti Hain
So Aaj Hum Bhi Qareenay Nazar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Zoam Hai Usko Kuch Apnay Khowabon Par
So Us Kay Khvab Ko Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai
So Hum Bhi Moajzay Lail e Qadr Kay Dekhtay Hain
Wo BayWafa Hai Usay Pas e Ishq Raas Nahi
Muhabbaton Say Hum Apni Mukar Kay Dekhtay Hain.

Jun 13, 2017 at 08:06
Category: love
Poetry / Love
Woh Kehta Hai Mohabbat Sada Milna Nhi Hota
woh kehta hai mohabbat sada milna nhi hota
main kehti hoon, mere hotay bicharnay ki na socho
woh kehta hai jo mango mein apni jaan day doon ga
mein kehti hon mujay fil hal apna naam he day do
woh kehta hai sar par aysay he anchal dakha rakho
mein kehti hon keh tum apni nazron ko jhuka rakho
woh kehta hai haray aur peelay rang ki churiyaan pehno
mein kehti hoon pehno gi agar kismat mein likha ho ga
woh kehta hai mere naam ki mehndi lagao tum
mein kehti hoon lagaoon gi agar tum lay kar aoo gaay

Jun 12, 2017 at 01:06
Category: love
Sponored Video