Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sang Dil Hai Wo To Kyun Us Ka Gila Main Ne Kiya
Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya
Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya
Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs
Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya
Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast
Phir to paiman-e-wafa sau martaba main ne kiya
Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere
Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya
Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye
Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya
Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ
Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya

·
2 Like ·
Oct 13, 2016 at 18:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ho Ghazal Or Dil Aashiqana Ho
Ho Ghazal Or Dil Aashiqana Ho,
Dil Sambhlne Ka Kuch Bahana Ho,
Or Kiya Chahiye Zamaney Ko,
Kehney Sunney Ko Ik Fasana Ho,
Zindagi Nazar Karna Parti Hai,
Ik Lamha Agar Churana Ho,
Ham Jo Kehtey Hain Kar Guzrte Hain,
Soch Lena Agar Aazmana Ho,
Dushmani Bhi Hamain Gawara Hai,
Shart Yeh Hai Ke Mukhlisana Ho...
Dil Sambhlne Ka Kuch Bahana Ho,
Or Kiya Chahiye Zamaney Ko,
Kehney Sunney Ko Ik Fasana Ho,
Zindagi Nazar Karna Parti Hai,
Ik Lamha Agar Churana Ho,
Ham Jo Kehtey Hain Kar Guzrte Hain,
Soch Lena Agar Aazmana Ho,
Dushmani Bhi Hamain Gawara Hai,
Shart Yeh Hai Ke Mukhlisana Ho...
·
1 Like ·
Sep 16, 2016 at 01:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Un K Andaz E Kram Un Peh Wo Aana Dil Ka
Un K Andaz-E-Kram Un Peh Wo Aana Dil Ka
Haye Wo Waqt Wo Batein Wo Zamana Dil Ka,
Na Suna Us Ney Tawajo Sey Fasana Dil Ka
Umr Guzri Pr Dard Na Jana Dil Ka,
Dil Lagi Dil Ki Lagi Ban K Mita Deti Hai
Rog Dushman Ko Bhi Ya Rub Na Lgana Dil Ka,
Wo Bhi Apney Na Huey Dil Bhi Gya Hathon Sey
Aisey Aaney Sey To Behtar Hai Na Aana Dil Ka,
Unki Mehfil Main Un K Tabbasum Ki Qasam
Hum Dekhtey Reh Gaye Hath Sey Jana Dil Ka.

Sep 14, 2016 at 23:09
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Ki Baat Labon Per Laakar Ab Tak Ham Dukh Sehtay Hain

Ham Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Waale Bii Rahte Hain
Beet Gaya Saawan Ka Mahina Mausam Ne Nazren Budlin
Lekin In Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansuu Bahte Hain
Aik Humain Aawaara Kahna Koi Bara Ilzaam Nahin
Duniya Waale Dil Waalon Ko Aur Bahut Kuchh Kahte Hain
Jis Kii Khaatir Shahar Bhi Chhora Jis Ke Liye Badnaam Hue
Aaj Wohi Ham Se Begaane Begaane Se Rahte Hain
Woh Jo Abhi Is Raahguzar Se Chaak E Garebaan Guzra Tha
Us Aawaara Diwaane Ko Jalib Jalib Kahte Hain.

Sep 13, 2016 at 16:09
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Dil Ka Ilaaj Naya System Mutarif
امریکہ میں ڈاکٹروں کی ایک ٹیم نے دل کے علاج کیلئے نیا سسٹم متعارف کرایا ہے۔ امریکی ذرائع ابلاغ کے مطابق دل کے دورے اور بیماری کی صحیح تشخیص کیلئے ڈاکٹروں کو اوپن ہارٹ سرجری کرنا پڑتی تھی، جس میں وقت ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 10, 2016 at 12:09
Category: health
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil E Nadan Ajb Justuju May Hai
Dil-E-Nadan Ajb Justuju May Hai,
Tum Se Shoq-E-Guftugu May Hai.
May Ny Socha Hai Bara Tujh Ko,
Tu Meri Hr Ek Aarzoo May Hai.
Tu Mere Sath Hai To Lagta Hai,
Ek Ujala Sa Meri Rooh May Hai.
Juda Khud Se Karun To Kese Karun,
Teri Chahat Gardish-E-Lahoo May Hai
Tum Se Shoq-E-Guftugu May Hai.
May Ny Socha Hai Bara Tujh Ko,
Tu Meri Hr Ek Aarzoo May Hai.
Tu Mere Sath Hai To Lagta Hai,
Ek Ujala Sa Meri Rooh May Hai.
Juda Khud Se Karun To Kese Karun,
Teri Chahat Gardish-E-Lahoo May Hai
·
1 Like ·
Sep 10, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suney Wo Dil Ki Sadaa Aisa Silsilaa Bhi Nahi
Sune Wo Dil Ki Sadaa Aisa Silsilaa Bhi Nahi
Mai Uss Se Baat Karon Itnaa Hoslaa Bhi Nahi
Qaid Se Azaad Huwa Panchi To Phir Ur Na Saka
Sazaa Uss Jurm Ki Kaati Ke Jo Kiya Bhi Nahi
Lahoo Lahoo Hai Dastaan, Ashk Ashk Apni Katha
Sunaein Kya! Ke Ab Kehne Ko Kuch Raha Bhi Nahi
Zindagi Ham Ne Tujhe Har Rang Mai Azmaya Hai
Bas, Ke Ab Aur Jeene Ki Dil Mai Tamanna Bhi Nahi
Dil Lahoo, Chaak-E-Jigar , Sookhte Hue Lob-O-Jaan
Maut Kya Maare Gi, Ke Jeeney Ka Gumaan Bhi Nahi
Wo Mangta Hai KASH, Chand Sitaron Ki Chamak
Aur Merey Hath Mai Mitti Ka Ek Diyaa Bhi Nahi..

Sep 07, 2016 at 11:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya

K Ab Ki Baar Gale Mil K Bhi Gila Na Gaya
Ab Us K Wada-E-Fardaan Ko Bhi Taraste Hain
Kal Uski Baat Pe Kyun Aitbaar Kia Na Gaya
Ab Us K Hijr Mein Royain Na Wasl Main Khush Hon
Wo Dost Ho Bhi To Samjho K Dostaana Gaya
Nigaah-E-Yaar Ka Kya Hai Huii Huii Na Huii
Ye Dil Ka Dard Hai Pyaare Gaya Gaya Na Gaya
Sabhi Ko Jaan Thii Pyaari Sabhii The Lab Basta
Bas Ik Faraz Tha, Zaalim Se Chup Raha Na Gaya

Sep 01, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Apne Aap Dharakta Hai
Dil Apne Aap Dharakta Hai, Dharkaya Nahi Jata
Ye Raaz-E-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi Jata
Agar Ehsaas Ho To, Mohabat Ko Kar Lo Mehsoos
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jata
Dosti Key Liye Mohabat Or Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Walay Ko Dost Banaya Nahi Jata
Bohat Kam Hain Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hain
Har Rah Chaltey Ko Apna Banaya Nahi Jata
Koshish Se Badal Jaati Hai Taqdeeren
De Kar Ilzaam Qismat Ko Or Dil Ko Behlaya Nahi Jata...

Aug 31, 2016 at 12:08
Category: sad
Sponored Video