Search
Social Wall / Photos
Mohammad Yaseen
Agar Dil Ijazat Day To Like Zaroor
·
0 Like ·
Nov 30, 2016 at 19:11
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Dil Ye Paagal Dil Meraa Kyon Bujha Gayaa Aavaaragii
ye dil ye paagal dil meraa kyon bujh gayaa aavaaragii
is dasht men ik shahar thaa vo kyaa huaa aavaaragii
kal shab mujhe be shakl sii aavaaz ne chauNka diyaa
main ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii
ik tuu ki sadiyon se mere ham raah bhi ham raaz bhi
ik main ki tere naam se naa aashnaa aavaaragii
ye dard kii tanhaaiyaaN ye dasht kaa viraN safar
ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaaragii
ik ajanabii jhonke ne jab puchha mere Gam kaa sabab
sehara kii bhigi ret par main ne likhaa aavaaragii
le ab to dasht-e-shab kii sari vusaten sone lagin
ab jagna hogaa hamen kab tak bataa aavaaragii
kal raat tanhaa chaaNd ko dekhaa thaa main ne Khvaab men
'Mohsin' mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavaaragii

1 Like ·
Nov 15, 2016 at 06:11
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuchh To Main Bhii Bahut Dil Kaa Kamzor Huun
kuchh to main bhii bahut dil kaa kamzor huuN
kuchh muhabbat bhii hai fitaratan badgumaN
tazkara ko_ii ho zikr teraa rahaa
avval-e-aaKhir daramiyaaN daramiyaaN
jaane kis desh se dil men aa jaate hain
chaaNdanii raat men dard ke kaaravaaN
kuchh muhabbat bhii hai fitaratan badgumaN
tazkara ko_ii ho zikr teraa rahaa
avval-e-aaKhir daramiyaaN daramiyaaN
jaane kis desh se dil men aa jaate hain
chaaNdanii raat men dard ke kaaravaaN
·
1 Like ·
Nov 14, 2016 at 19:11
Category: sad
Poetry / Love
Asar Dil Per Karay Shikwa
Asar dil per karay shikwa
shikayat ho to aisi ho
Galay lag kar koi roye
Nadamat ho to aisi ho
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein
Aziat ho to aisi ho
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapkay
talluq ho to aisa ho
MUHABAT ho to aisi ho
shikayat ho to aisi ho
Galay lag kar koi roye
Nadamat ho to aisi ho
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein
Aziat ho to aisi ho
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapkay
talluq ho to aisa ho
MUHABAT ho to aisi ho
·
1 Like ·
Nov 08, 2016 at 05:11
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Mohabat Me Nakami Par Dil K Dorray Ka Khatra
ایک تحقیق میں انکشاف کیا گیا ہے کہ محبت میں ناکام افراد کو دل کا دورہ پڑنے کا امکان زیادہ ہوتا ہے۔ یہ بات امریکا میں دو ہزار افراد پر ہونے والی ایک تحقیق میں سامنے آئی ہے، جن کو دل کا دورہ پڑا تھا۔ تح...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 05, 2016 at 19:11
Category: featured
Poetry / Love
Sabeel E Dard Tham Jaye,kharosh E Dil Thehar Jaye
Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaye
Zara See Dair Ko Hangama-e-Mahfil Thehar Jaye
Shab-e-Maqtal Ka Sanata Gawahi De Na De Apni
Lahou Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qatil Thehar Jaye
Tabiat Toot Kar Chahye Talatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser - e - Sahil Thehar Jaye
Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umer Ka Hasil Thehar Jaye
Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paye
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Thehar Jaye
Koie Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Sayel Thehar Jaye
Kahan K Qais Thay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Thehar Jaye
Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hatta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kamil Thehar Jaye

Nov 03, 2016 at 06:11
Category: love
Poetry / Love
H.u.rehman
Pyaar Kamzor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta
Pyaar kamZor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

Nov 01, 2016 at 14:11
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tuu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apanaa Hai
Tuu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apanaa Hai
Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apanaa Hai
Mile Koi Bhi Teraa Zikr Chher Dete Hain
Ke Jaise Saaraa Jahaan Raazdaar Apanaa Hai
Wo Duur Ho To Bajaa Tark-E-Dosti Kaa Khayaal
Wo Saamane Ho To Kab Ikhtiyaar Apanaa Hai
Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Liyaa Dil Se
Is Aasre Pe Kh Ik Ghamgusaar Apanaa Hai
Faraz Raahat-E-Jaan Bhi Vahi Hai Kyaa Kije
Wo Jis Ke Haath Se Sinaafigaar Apanaa Hai

Oct 16, 2016 at 15:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Kya K Sab Se Bayan Dil Ki Halatain Karni
Ye Kya K Sab Se Bayan Dil Ki Halatain Karni
Faraz Tujh Ko Na Aayin Muhabbaten Karni
Ye Qurb Kya Hai K Tu Saamne Hai Aur Hamain
Shumar Abhi Se Judai Ki Sa-atain Karni
Koi Khuda Ho K Patthar Jise Bhi Ham Chahen
Tamam Umr Usi Ki Ibadaten Karni
Sab Apne Apne Qareene Se Muntazir Us K
Kisi Ko Shukr Kisi Ko Shikayaten Karni
Ham Apne Dil Se Hain Majbor Aur Logon Ko
Zara Si Bat Pe Barpa Qayamaten Karni
Milen Jab Un Se To Mubham Si Guftagu Karna
Phir Apne Ap Se Sau-Sau Vazahaten Karni
Ye Log Kaise Magar Dushmani Nibhate Hain
Hamin Ko Raas Na Aayin Muhabbaten Karni
Kabhi Faraz Naye Mausamon Main Ro Dena
Kabhi Talash Purani Raqabaten Karni

2 Like ·
Oct 15, 2016 at 02:10
Category: sad
Sponored Video