Search
Poetry / Sad
Javed Akhtar
Sar Se Chadar Badan Se Qaba Le Gai.
Sar se chadar badan se qaba le gai
zindagi hum faqiron se kya le gai
meri mutthi mein sukhe huye phul hain
khushbuon ko uda kar hawa le gai
main samundar ke sine mein chattan tha raat ek mauj aayi baha le gai hum jo kagaz the ashkon se bhige huye kyon chiragon ke lau tak hawa le gai.

·
0 Like ·
Jul 12, 2018 at 07:07
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Rumana Shahzad
Badan Se Rooh Jati Hai To Bichti Hai Saf E Matam
Badan se rooh jati hai to bichti hai saf-e-matam,
Magar kirdar mar jae to kiyo matam nhi hota?.
Magar kirdar mar jae to kiyo matam nhi hota?.
·
4 Like ·
Feb 02, 2018 at 04:02
Category: poetry-sms
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saare Badan Ka Khuun Pasiine Men Jal Gaya
saare badan ka Khuun pasiine men jal gaya
itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa
chalte chalte gin rahe the musiibat ke raat din
dam lene ham jo baiTh gaye dam nikl gayaa
achchhaa huaa jo raah men Thokar lagi hamen
ham gir pare to sara zamaana sambhal gaya
vahashat men koi sath hamaara na de saka
daman ki fikr ki to garebaaN jal gaya

1 Like ·
May 23, 2017 at 02:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Badan Ke Donon Kinaaron Se Jal Rahaa Huun Main
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujh hi pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaama zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tairay saath chal rahaa huuN maiN
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukarta hai
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Feb 15, 2017 at 10:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Main Us Ki Chahat Main Ghar Say Nikla, Tu Haal Kitna Ajeeb Sa Tha
Na Main Nay Us Ko Khatoot Likhay, Na Us Nay Meri Panah Chahi
Dono Ko Apni Be Khudi Pay, Malaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Wo Meri Raaton Main Chand Dekhay, Main Apni Raaton Main Us Ko Socho
Badaltay Lamhon Main Soch Ka Ye Wisaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Ye Zeest Tanha Hi Kaat Lo Gay, Jo Main Nay Pucha To Ro Dia Wo
Jawab Kitna Ajeeb Sa Tha, Sawal Kitna Ajeeb Sa Tha

Jan 26, 2017 at 20:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Nazar Me Zulmat Badan Main Thandak
Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nikla tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko sochon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha......
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nikla tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko sochon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha......
·
2 Like ·
Aug 30, 2016 at 14:08
Category: sad
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen
Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen
Hum Apny Bujhty Chiraaghon Ka Gham Mana Rahy Hen
Hum Apny Ahd K Wo Mutmain Munaafiq Hen
Jo Apny Ap Ko Tarteeb Se Ganwa Rahy Hen
Hawa-E-Asr Koi Taaziyat To Kar Hum Se
Hum Apny Mulk Mein Hijrat Ka Dukh Utha Rahy Hen
Ye Badtareen Siyaahi Bhi Apny Bakht Mein Thi
K Ghar Jala Rahy Hain Aur Muskra Rahy Hen

Apr 07, 2016 at 19:04
Category: political
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo
Badan se uthti thi us k khushbo, saba k lehjay mein boolta tha
ye meri aankhein thi uska bistar, wo meray khawabon mein jaagta tha
haya se palkein jhuki hoi thin hawa se saansen ruki hoi thin
wo meray senay mein sar chupaey, najnay kya baat, soochta tha!
koi tha chashm e karam ka talib, kisi pe shouq e wisaal ghalib
sawaal phailay thay chaar janib, bus aik main tha jo chup khara tha
ajeeb muhabbat ajeeb rut thi, khamoosh bethay hoey thay donon
main uski awaaz sun raha tha, wo meri awaaz sun raha tha
wo aur hon gay ke jin ko "AMJAD" naey manazir ki chaah ho gi
main us k cheray ko dekhta hon, main us k cheray ko dekhta tha!

Feb 26, 2016 at 23:02
Category: love
Sms / Dard
Kashif Yaqoob
Udaas raat Badan thakan sy choor hy,
","UDAAS RAAT"," .. Badan thakan sy choor hy, .. Par nend hum sy door hy, .. Us ka khayal sath hy, .. BARI UDAAS RAAT Hy, .. Hawa-e-gham ka zor hy, .. Samandron ka shor hy, .. Judaiyon ki baat hy, .. BARI UDAAS RAAT HY, .. Har nazar sharab hy, .. Us k milny ka khuwab hy, .. Ye kon sa azaab hy, .. BARI UDAAS RAT HY, .. Gaey dino Ki yaad hy, .. Thaka thaka sa chand hy, .. Dukhi dukhi c bat hy, .. BARI UDAAS RAAT HY. .. BARI UDAAS RAAT HY.
·
4 Like ·
Jan 30, 2014 at 13:01
Category: dard
Tags: Dard Poetry Love Mohabbat Sms
Sms / Good Night
Kashif Yaqoob
Badan Thakan Se Choor
Badan Thakan se Choor
hai,
Par Neend Hum se Door
hai,
Unka Khayal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zor hai,
Samandro ka Shor hai,
Judaiyo ki baat hai,
Barri Udas Raat hai….
hai,
Par Neend Hum se Door
hai,
Unka Khayal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zor hai,
Samandro ka Shor hai,
Judaiyo ki baat hai,
Barri Udas Raat hai….
·
1 Like ·
Jun 10, 2013 at 16:06
Category: good-night
Tags: Poetry Sms
Sms / Romantic
Vo Chaandani Ka Badan
Vo Chaandani Ka Badan Khushbuon Ka Saya Hai,
Bahut Aziz Hamen Hai Magar Paraya Hai
Utar Bhi Aao Kabhi Aasaman Ke Zine Se,
Tumhen Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai.
Bahut Aziz Hamen Hai Magar Paraya Hai
Utar Bhi Aao Kabhi Aasaman Ke Zine Se,
Tumhen Khuda Ne Hamare Liye Banaya Hai.
·
1 Like ·
Apr 12, 2011 at 07:04
Category: romantic
Tags: Khuda Chaand
Sponored Video