Poetry / Sad

Fahad Yousuf

Muhabbat Zindagi K Faislo''n Sey Larr Nahi Sakti.

Muhabbat Zindagi K Faislo''n Sey Larr Nahi Sakti.....

Kisi Ko Khona Parta Hai Aur Kisi Ka Hona Parta Hai.....



· 0 Like · Sep 19, 2018 at 13:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Afzal

Tark E Ta''alluq Jo Kiya Hai To Sambhalo Khud Ko.

Tark-e-Ta''alluq Jo Kiya Hai To Sambhalo Khud Ko..... !!!

Kiyun Merey Khawab Mien Har Roz Chalay Aatay Ho...???


· 1 Like · Sep 19, 2018 at 07:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jalaluddin Ahmed

Mene Socha Tha,aj Aap Ayen Ge To Ro Doon Gi,aap Puchain Ge,to Sab Haal Keh Do...

Mene socha tha,
Aj aap ayen ge to ro doon gi,
Aap puchain ge,
To sab haal keh doon gi,
Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin,
Woh konsi bhool hai jo huyi nahin,
Kitaab fridge mein, Glass shelf mein rakha,
Peer ka din tha jumeraat likha,
Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha,
TV per geet tha Azaan nahin,
Mene chonk kar aanchal sar per rakha,
Kya haal kar diya mera,
Mujhe kisi kaam ka na rakha,
Aur…
Jab aap ne aakar poocha,
Kya haal hai ?
To mein itna hi keh saki,
“Theek Hoon”.

· 0 Like · Sep 18, 2018 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Iqbal

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Haiye Siyaasi Bayaan Thori Haidar Sa Lagta Hai Kiun...

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai
Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai
Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai
Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai
Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai
Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai
Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai
Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai.

· 1 Like · Sep 18, 2018 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Neelum Chaudhry

Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.
Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.
Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.
Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.
Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin.

· 1 Like · Sep 17, 2018 at 19:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Neelum Chaudhry

Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.
Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.
Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.
Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.
Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin.

· 1 Like · Sep 17, 2018 at 12:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Neelum Chaudhry

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay.

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay
Aap Ko Mil Gaye Hain Qismat Se
Ham Zamanay Mein Kab Kisi Ko Milay ?
Aisay Khushbu Se Mil Raha Hai Gulaab
Jis Tarah Raat, Roshni Se Milay
Ham Faqeeron Se Dosti Hai Magar
Os Se Kehna Ke Saadgi Se Milay
Dil Mein Rakhtay Hain Ehtyaat Se Ham
Zakham Jo Jo Bhee Jis Kisi Se Milay
Zindagi Se Galay Milay Tou Lagaa
Ajnabi Jaisay Ajnabi Se Milay
Os Ke Seenay Mein Dil Nahee Tha “Batool”
Ham Ne Socha Tha Aadmi Se Milay.

· 1 Like · Sep 17, 2018 at 04:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Uzma Shaheen

Kuch Khaas Dilo''n Ko Ishq K Ilhaam Hotay Hain.

Kuch Khaas Dilo''n Ko Ishq K Ilhaam Hotay Hain....

Muhabbat Moajza Hai, Moajzay Kab Aam Hotay Hain....



· 2 Like · Sep 16, 2018 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sadaf Butt

Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Teray Baghair.

Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Teray Baghair.

Jaisay Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hun Mian.


· 0 Like · Sep 16, 2018 at 08:09
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS