Poetry / Sad

Sana Ali

Ruswaiyan

· -1 Like · Oct 03, 2018 at 18:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Akram Rahi

Pehlay Likhta Hun Mian Kaaghaz Pay Masaayal Apnay.

Pehlay Likhta Hun Mian Kaaghaz Pay Masaayal Apnay....

Aur Phir Sabar K Darya Mien Bahaa Deta Hun......!!!



· 0 Like · Oct 03, 2018 at 12:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Asiya Faheem

Hota Nahi Hai Tujh Pay Kisi Baat Ka Asar.

Hota Nahi Hai Tujh Pay Kisi Baat Ka Asar....

Lagta Teray Roop Mien Patthar Mila Mujhay.....



· 0 Like · Oct 03, 2018 at 06:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Farhan Bilal

Pehli Pehli Muhabbaton Ka Khumaar.

Pehli pehli Muhabbaton ka khumaar,,
baton baton main raat dhal jaaye,,
ab k dil main woh dard utra hai,,
ghair mumkin hai aaj kal jaaye,,
zindgi khush hai tere wadon pe,,
jaisay bachay ka dil behal jaye,,
hijr ki raat dhal gayi mohsin,,
ab to dil se kaho sambhal jaye..

· 0 Like · Oct 02, 2018 at 07:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Alisha Khan

Ankhon Mein Sama Jao.

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna.

· 0 Like · Oct 01, 2018 at 23:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Madiha Sultan

Sab Se Chupa Kar Dard Jo Woh Muskura Diya Us Ki Hansi Ne.

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..
jane kya us ko logon sey thi shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya.

· 1 Like · Oct 01, 2018 at 14:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Luqman Mali

Kahin Aah Banke Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaaye.

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye
zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye
jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye
woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye
yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye….
NiMi

· 1 Like · Sep 30, 2018 at 11:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Fahad Yousuf

Maine Poocha

· 1 Like · Sep 30, 2018 at 05:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Sattar

Khamoshi

· 3 Like · Sep 29, 2018 at 21:09
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS