Poetry / General

Maryam Rauf

Kitabon Ke Pannon Ko Palat Ke Sochta Hun

Kitabon ke pannon ko palat ke sochta hun,
Yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai...

Khwabon mein roz milta hai jo,
Hakikat mein aaye to kya baat hai...

Kuch matlab ke liye dhundhte hain mujhe,
Bin matlab jo aaye to kya baat hai...

Katl karke to sab le jayenge dil mera,
Koi baaton se le jaaye to kya baat hai...

Jo sharifon ki sharafat mein baat na ho,
Ek sharabi keh jaaye to kya baat hai...

Apne rehne tak to khushi dunga sab ko,
Jo kisi ko meri maut pe khushi mil jaaye to kya baat hai!!!

· 1 Like · Jun 09, 2015 at 16:06
Category: general
 
Poetry / General

Meri Dua Kehti Hai

meri har koshish tera sath nibhane ki hoti hai
main hun sath tere kya teri dhadkan ye nahin
kehti hai
mere waadon pe yakeen na ho tujhe na sahi
mere pyaar par hai yakeen teri ruhh ye kehti hai
ashkon ke dharon se saj kar kati hairaat teri
teri ye dard se bhari laal aankhen kehti hain
aaj hum durr hain to ghum na kar sanam
kabhi to honge sath ye meri har dua kehti hai....!!!!

· 1 Like · Jun 08, 2015 at 16:06
Category: general
 
Poetry / General

Main Shamil Hun Tere Har Lafz Me

main shamil hun tere har lafz me
main shaamil hun tere har geet me
main shamil hun teri har saans me
main shaamil hun teri har baat me
main shamil hun teri hi zaat me
main shaamil hun teri hi ruuh me
phir bhi tu kehta hai k main na mili hun
main to sirf aur sirf tum me dhali hun...!!!

· 1 Like · Jun 08, 2015 at 10:06
Category: general
 
Poetry / General

Aditya

Bewafai

Bewafai kaa ab gila kaisa
aap pahle bhi kab hamare the
meri aankhon main phailte hoye rang
kal tak aap ko bhi pyare the

nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho

Gham to ye hai k vo kasme waade Toot gaye
bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi

badi zaalim nihayat bewafaa hai
ye duniyaa phir bhi kitani Khush numa hai

bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
sirf do char savalat kaa mauqa day day

kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen

mujhe mere mitane ka Gham hai to ye hai
tumhain bewafaa keh raha hai zamana saara

na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
wo muunh chhupa k jaaye bhi to bewafaa na lage

sar jukaoge to pathar devata ho jayega
itana mat chaho usey keh woh bewafaa ho jayega


terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
kabhii sar jhuka k roye, kabhi munh chupa k roye

· 1 Like · May 16, 2015 at 23:05
Category: general
 
Poetry / General

Aditya

Yaad

Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Me Tu A Jao

Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,

Koi Lamha Nahi Kateta
Tujay Sochay Bina Jaanaa

Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere Saamnay A Jao,

Bus Itni Se Khawahish Hai
Nadaan Mere Dil Ki

Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,

Bachaini Si Dharkan Me
Na Aankhon Me Neenden Hein

Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi Waja Bata Jao

· 1 Like · May 15, 2015 at 04:05
Category: general
 
Poetry / General

Aditya

Soach

Soachatae hain hum
kab hon gi poori
hamari saari sochain
kahen ye na ho
k
sochatey sochatey
beet na jai sonehari pal
aur pher baqi reh jai
umer bhar k liye
sirf aur sirf sochain

· 1 Like · May 13, 2015 at 21:05
Category: general
 
Poetry / General

Aditya

Aisa Lagta Hai

Aisa lagta hai zindagi tum ho Ajnabee

kaise ajnabee tum ho?

Main zameen par ghana andhera hoon

Aasmaanon ki chaandini tum ho

Ab koi aarzoo nahin baakee ...!!

Justaju meree aakhree tum ho...

Doston-se wafa ki ummeeden!

Kis zamaane k aadmee tum ho?

· 1 Like · May 13, 2015 at 02:05
Category: general
 
Poetry / General

Adil Iftikhar

Yoon Hi....!

Roz Dil Ki Daastan
Likhta Hoon
Koi Parrhta Hi Nahin
Kisi Ko Fursat Hi Nahin
Bas Tanha Apni Hi Anjuman Saja K
Baith Jaata Hoon
Khud Say Milta Hoon
Pahron Baatein Karta Hoon
Hansta Hoon
Rota Hoon
Phir Khud Ko Thapki Dey K
Sulaata Hoon
Yoon Hi Her Shab
Beet Jaati Hai Mairi
Yoon Hi Har Shab ....!

· 1 Like · May 12, 2015 at 07:05
Category: general
 
Poetry / General

Adil Iftikhar

Lafz

Karrwey Hotey Hain
Meetthey Hotey Hain
Sachey Hotey Hain
Jhootey Hotey Hain
Zahreeley Hotey Hain
Nasheeley Hotey Hain
Jaadoo Kar Detey Hain
Pagal Kar Detey Hain
Kateley Hotey Hain
Nokeley Hotey Hain
Kahin Matam Kar Detey Hain
Kahin Khushiyan Bhar Detey Hain
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai ....!

· 1 Like · May 12, 2015 at 01:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Youn Hosla

Youn Hosla Dil Ne Haara Kab Tha,

Bin Zehar Piye Guzara Kab Tha,

Kuch Pal Usey Aur Daikh Saktay,

Ashkon Ko Magar Gawara Kab Tha,

Ham Khud He Judaai Ka Sabab Thay,

Us Ka He Qusoor Saara Kab Tha,

Ab Auron K Saath Hy To Kya Howa,

Pehlay Bi Woo Hamara Kab Tha..

· 1 Like · May 08, 2015 at 17:05
Category: general
 
Poetry / General

Najam Ali Khan

Aapki Yaadein

Aapki Yaadon K Siwa Koi Sahaara Nahi
Aapko Soche Bina Din Gujarta Humara Nahi
Har Saans Mein Humari Ab Aap Samaane Lage Ho
Aur Aapne Hume Ab tak Khwabo Mein Utara Hi Nahi
Muskurate Chehre K Peeche Rota Hai Dil Mera
Ankhon Mein Hai Samandar Par Ashq Baha Sake Nahi
Humto Zinda Hi Aapke Pyaar K Sahaare Hain
Kaise Aayen Aapne Hontho Se Pukaara Hi Nahi

· 1 Like · May 03, 2015 at 12:05
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Gham E Yaar

Kuch andhèra Bhi zaroori hai Gham-E-Yaar k saath,
Ab diya koi na rakhy mèri dèèwar k sath,


Main Jo èk umar musafat mèn raha tab Jana,
Raah Bhi chalti rahi hai mèri raftaar k sath,


Hum to yousif nahi Bazaar-E-Sukhan mèn MOHSIN,,
Yun hi chal partay hèn har èk kharèèdaar k sath...

· 1 Like · Apr 14, 2015 at 07:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kaise Bhulaon Tujh Ko

kis trha yaad karun kese bhulaun tjhko,

tu koi rasm nahi hai k nibhaoon tjhko..

roz aankhon se bikharta hai naya khwab koi,

DIL ye kehta hai aankhon mein sajaon tjhko..

khoob hote hain ye chahat k meethe rishte,

bhool kr bhi kabhi dushman na banaoon tjhko..

tere jane pe machalta hai boht DIL lekn,

zabt itna hai k phir bhi na bhulaoon tjhko..

zindagi kon se taaron ka falak hai MOHSIN,

kis trha apna sitaara mein banaoon tjhko..!!

· 1 Like · Apr 06, 2015 at 11:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Qalam Sakoot Mai Raha

Main Kal Tamam Shab
Qalam Liye
Yeh Sochta Raha
Raqam Karon To Kia Karon
Gham-E-Hayat Ya Gham-E-Jahan
Magar Mera Qalam
Jamood Ka Shikar Tha
Tamam Shab
Main Likh Nahi Saka
Mera Khayal Bus
Khayal He Raha
Mera Qalam Faqat Khamosh He Raha
Jamood Is Qadar Shaded Tha
K Toot Na Saka
Tamam Shab
Khayal Zehn Ki
Ghulaam Gardishon Mai Ghomta Raha
Mera Zameer Waqt K Khilaaf Likh Nahi Saka
Faqat Tamash Been Bana Raha
Tamam Shab Khayal Cheekhta Raha
Magar Qalam
Sakoot Mai Raha

· 1 Like · Mar 07, 2015 at 11:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Khafa Hai Mujhse

Khafa hai Mujhse , Mujhe Pereshan Kerta Hai

Ajeeb Shakhs Hai , Khud Se Badgumaan Kerta Hai

Na Meri Perwa Hai Na Mere Haal Ki Kuch Khaber

Salook Woh Kerne Laga Hai , Jase Anjaan Kerta Hai

Pehley To Mujh Se Milna Hi Inaam Tha Jis K liye

Ab Milta hai To Jaise Aehsaan Kerta Hai

Tark-e-Taluk Kerna Hai To aaa k Keh De MujhSe

Kuen Aesi Batain Gheron Se Beyan Kerta hai...

· 2 Like · Mar 06, 2015 at 16:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Seekh Gaye Hum

TUM ne barishon ko mahez brastay dekha hai,

Mene aksar barishon ko kuch kehte sunte dekha hai.

TUM dekhte ho barishon ki jal thal har saal,

Mene barsaat ko baar ha palkon peh muchaltay dekha hai.

KESE manguon phir barasta sawan apne RUBB se?

K in ankhon ne bastiyon ko sawan mai ujartay dekha hai.

SEEKH gaye hum barishon ko apne andar utaarnay ka fun,

OR phir sub ne humen har pal har dum hanste dekha hai...

· 1 Like · Mar 06, 2015 at 10:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Haar Ka Jashn

Dil ki Taak peh Diya Jalany Aaon ga,

Main Tumko kuch Yaad Dilaany Aaonga,

Mere Dard ko Tum b na Seh Pao ge,

Apne Aansuon se Tumhain Rulaany Aaon ga,

Shouq Bohat Tha Jin Galiyon Mein Basnay Ka,

Wahin Peh ek Din Khaak Uraany Aaon ga,

Mere Tum se Kaise Kaise Rishty Hen,

Tumko ek Baar Aur Bataane Aaon ga,

Bujh B Jayen gi Ye Sansen Phr Bhi Main,

Roz Tumhare Naaz Uthaany Aaon ga,

Jeetny Donga Tumhen Her Bazi Aur Phir,

Apni Haar Ka Jashan Manaany Aaon ga..

· 1 Like · Mar 04, 2015 at 05:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ghor

Kitna chaha hai tujey kabi ghor tou kar,

Tu meri saanson mein hai shaamil kabi ghor tou kar,

Ruk jaati hai aksar mere dil ki dharkan,

Tere bina guzarta nahi ik pal kabi ghor tou kar,

Dil tou ab rota hi rehta hai teri judai mein,

Kis kurb se guzrta hun kabi ghor tou kar,

Kis tarha tanha kate ga umar bhar ka safar,

Bara kathan hai rasta kabi ghor tou kar,

Bohat chahne waale hain tere iss dunya mein,

Kisi ne itna chaha hai tuje??? kabi ghor tou kar

· 1 Like · Mar 03, 2015 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Lab E Faryaad

Tu Jo chahy Bhi tou siyyaad nahi honay ko,
Lab hamary Lab-E-Faryad nahi honay ko.

Koi achi B khabar kaan men aaye ya rab,
Aisi khabron se tou dil shaad nahi honay ko.

Tu rahy hum se khafa kitna hi chahy lekin,
Hum kabhi tujh se tou nashaad nahi honay ko.

Kaar-E-Dunia ko hain darkaar hamari umren,
Kaar-E-Dunia se tou aazad nahi honay ko.

Anginat Jagtay chehry gaye mati k talay,
Ab naye zulm tou aijad nahi honay ko.

Ta Qayamat wohi ek naam rahy ga aabad,
Hum kabhi mustaqal aabad nahi honay ko.

KhAak ho Jaye ga ye muqadar apna,
Hum mgr wo hain k Barbad nahi honay ko.

Chahy nimrood ho, firon ho ya k ho yazeed,
Sahib-E-Shijra-O-Aulad nahi honay ko.

Us k koochy men miyaan khaak urraty kion ho,
Tum se majnu tou usy yad nahi honay ko.

Wo zamany k ADEEL hum Bhi thay us ki pehchan,,
Wo zamany tou usy yad nahi honay ko~...

· 1 Like · Mar 02, 2015 at 14:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chup Raha

Mein Pee K Chup Raha Wo Pila K Chup Raha.
Kiya Gulab Tha Jo Murjha K Chup Raha.

Halaat Ne Kiya Usse Kitna Sangdil.
Mein Sun K Ro Diya Wo Suna K Chup Raha.

Badle Huey Halaat Mujhe Ghamgeen Kar Gaye.
Wo Phir Bhi Dour Se Hi Muskura K Chup Raha.

Shayed Wo Torna Nahi Chahta Tha Dil Mera.
Isiliye Itna Qareeb Aa K Bhi Chup Raha.

Wo Dour Hogaya Mein Kuch Bhi Na Kar Saka.
Aankhon Se Faqat Aansoo Baha K Chup Raha..

· 1 Like · Mar 02, 2015 at 02:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Qaidi Bana Le

Koi tou samete Koi tou sambhale mujko,
Kuch der apni banho mein sula le mujko,

Bikhri hui hawa k sath safar mein hon,
Kabi to apne ghar bula le mujko,

Me use rakho apne dil ki dharkan ki tarha,
Wo b apni ankh ka kajal bana le mujko,

Me chahon wo sirf mere hi rahe,
Wo b apni zaat ka Qaidi bana le mujko.

· 1 Like · Mar 01, 2015 at 01:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aseer E Dasht E Wafa

ASEER-e-DASHT-e-WAFA ka na MAAJRA kehna,
Tamam POHNCHNE walon ko bas DUA kehna,

Ye kehna k RAAT guzrti hai ab bhi AANKHON mein,
Tumhari YAAD ka QAAIM hai SILSILA kehna,

Ye kehna k CHAAND nikalta hai BAAM par ab bhi,
Magar nahi wo SHAB ka ab MAZA kehna,

Ye kehna k HUM ne hi TUFAAN mein daal di KASHTI,
Qasoor APNA hai DARYA ko kya BURA kehna?

Yeh kehna k TUM se BICHAR k BIKHAR gaya hun MAIN,
Ke jesy HAATH se gir jaey "AAINA" kehna... !

· 1 Like · Feb 28, 2015 at 04:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ek Kahani Kam Hai

Yon to maikhany mèn maè kam hai na pani kam hai,
Phir Bhi kuch kashti sèhba mèn rawani kam hai.

Sach to yè hai k zamana Jo kahy phirta hai,
Us mèn kuch rang ziyada hai kahani kam hai.

Aao hum khud hi Dar-E-Yar sè ho aaty hain,
Yè Jo paigham hai Qassid k zubani kam hai.

Tum Bazid ho to chalo tark mulaqaat sahi,
Waisy is dil nè mèri Baat t? mani kam hai.

Yad rakhany ko to ay dost Bohat hèèly thè,
Ek tèra Zakham-E-Judai to nishani kam hai.

Daftar-E-Shok martub ho to kaisi ho FARAZ,,
Dil nè hr Baar kaha, èk kahani kam hai~...

· 1 Like · Feb 27, 2015 at 10:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Teri Khushboo Teri Parchaai

Aaj bhi tere liye dil mein chahtein baqi hain
Tujh se jo karni thi wo adhuri baatein baqi hain

Tum ne kaise soch liya ke humein teri talab nahi
Dil mein uttar ke dekh abhi teri hajatein baqi hain

Kabhi fursat miley to aa kar dekh mere makaan mein
Aaj bhi teri khushboo, teri parchai teri aahatein baqi hain.

· 1 Like · Feb 26, 2015 at 08:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aa Loat Chalen Ab Dais Piya

AA LOAT CHALEN AB DAIS PIYA,

Kuch yadèn us ki Baqi hain,

kuch sakhiyan mujhy Bulati hèn,


AA LOAT CHALEN AB DAIS PIYA,


Jahan Bachpan hum nè guzara tha,

Kuch khwahishon ko B mara tha,

Jo tujh ko mujh ko piyara tha,


AA LOAT CHALEN AB DAIS PIYA,


Un pairron ki Jhukti shakhèn, Banhon mèn daly Banhèn,

Wo Bèchaini wo chain piya,


AA LOAT CHALEN AB DAIS PIYA,


Jab aati hain sawan Jharriyan,

wo Bèhti gati si nadyan,

Kia karna hai pardès piya,


AA LOAT CHALEN AB DAIS PIYA~...

· 1 Like · Feb 22, 2015 at 21:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bikher Jaon Ga

Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga.

Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga.

Phool reh jain gay faqat guldanoon ki nazar.

Main to khushbo hoon hawaoon main bikher jaon ga.

Eik aarzi musafar hon main teri kashti main.

Tu jahan muj se kahay ga main uter jaon ga.

Hath pukro gay to saya ban k sath rahon ga.

Hath choro gy to hamesha k liye bicher jaon ga.

· 1 Like · Feb 18, 2015 at 09:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Naam Dena Ho

Agr kuch naam dena ho
mujy insaan mat kehna
judaa chehray,juda bay shak sabhi
k kaam hoty hein...
mugar insaniyat k ab yahaan par
daam hoty hein.....

mery tum daam mat dena
mujy ye naam mat dena...
agr kuch naam dena ho
mujy ehsaas keh dena...
magar tehro!

mujy ehsaas mat kehna
mera bas naam reh jaye mujy
asy nahi rehna
mujy ehsaas mat kehna

agr kuch naam dena ho
mujy sawan hi keh dena
mugar tehro!
mujy sawan nahi kehna
barsta hai mugar rut k badlty
he beet jata hai....
mujy sawan nahi kehna

agr kuch naam dena ho tou mujy
ansoo hi keh dena
janam lena,kise ki ankh mein ruksaar
pah mar jana...
ye hi jis ki haqeqat hai
chalo anso he keh dena
mugar dekho kise ki ankh mein muj
ko anay nahi dena.....
k kemat ansyon ki ada tum say,
ab nahi ho gi.....

nahi tum youn mat kehna..
mujy anso nahi kehna....

mujy ankhon mein basta
ik haseen sapna he keh dena
k sapny ankh mein sitaron ki tarha
jilmalaty hein.....
mugar tehro mujy sapna nahi
kehna....... ....
k sapny tou tout jaty hein....

mujy apna nahi kehna k...
apny tou routh jaty hein....

· 1 Like · Feb 18, 2015 at 03:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ay Mere Dost

Uljhy Hoye Halaat Ka Shikwa Na Kia Kr,
Khairat Mein Khushion Ki Tamanna Na Kia Kr,

So Baar Kaha Itni Mohabbat Nahi Achi,
So Baar Kaha Itna Bharosa Na Kia Kr,

Halaat Hamein Ek Kbi Hone Na Deinge,
Ay Dost Mere! Meri Tamanna Na Kia Kr,

kia Jany Ye Kis Moor Pe Ley Jai Zamana,
Tu Mujko Ksi Pal B Elehda Na Kia Kr,

Mumkin Hy Ksi Roz Bichar Jaon Achanak,
Tu Mujse Piyar Itna Ziada Na Kia Kr.

· 1 Like · Feb 16, 2015 at 06:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tujh Sa

Shabnam Nahe Kehta Use Shola Nahe Kehta
Wo Koi B Ho Mein Use Tuj Sa Nahi Kehta

Iss Dar Se K Tu Muj Ko Shafyab Na Karday
Qatil Tuje Kehta Hoon Masiha Nahi Kehta

Dariya To Hai Wo Jis Se Kinare Chalk Uthe
Behte Hoye Pani Ko Mein Dariya Nahi Kehta

Gehraye Jo Di Tu Ne Mere Zakhm-E-Jiger Mein
Mein Etna Samandar Ko Bi Gehra Nhi Kehta

Kis Kis Ki Tamana Mein Karon Pyar Ko Taqsem
Har Shakhs Ko Me Jaan e Tamana Nahi Kehta

Kerta Hon Tufail Apne Gunaho Pr Gureza
Insan Ho Meain Khud Ko Farishta Nhi Kehta...

· 1 Like · Feb 15, 2015 at 18:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Nuqsaan

Jab sè us nè shèhr ko chhora har rasta sunsaan hua,
Apna kia hai sary shèhr ka ik Jaisa nuqsaan hua.

Sèhra ki moo zor hawaèn auron sè mansoob hoin
Muft mèn hum aawara thèhry muft mèn ghar sunsaan hua.

Mèry haal pèh hairat kaisi dard k tanha mosam mèn,
Pathr Bhi ro partay hèn insaan to phir insaan hua.

Yon Bhi kam aamèz tha MOHSIN wo iss shèhr k logon mèn,,
Lèkin mèry samny aa kr aur Bhi kuch anjaan hua~...

· 1 Like · Feb 14, 2015 at 11:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mah O Saal

Yè Jo sar gushta sè phirtay hèn kitabon waly,


In sè mat mil k inhèn rog hèn khawabon waly.


Ab Mah-O-Saal ki fursat nahi milny wali,
Aa chuky ab to Shab-O-Roz azabon waly.

Ab to sab Dashn-O-Khanjr ki zaban Bolty hèn,
Ab kahan log wo mohbat k nisabon waly.

Jo dilon par hi kabhi naqab zani karty thay,
Ab gharon tak chaly aaty hain wo naqabon waly.

Zinda rèhny ki tamana ho to ho Jaty hain,
faakhtaon k B kirdar uqabon waly.

Na mèry zakham khuly hèn na tèra Rang-E-Hina,
Ab k mosam hi nahi aayè gulabon waly.

yun to lagta hai k Qismat ka sikandar hai FARAZ,,
Mgr andaz hain sab khanah kharabon waly~...

· 1 Like · Feb 13, 2015 at 23:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Faqat Ek Baar

Faqat ik Bar aao to,

Mèri namnaak ankhon pè,
Apny narm hathon ko,

Ik Baar tum yun rakhna,
K gily shikwy Bhula kr sb,

Main tmhara ho k rèh Jaon,
Tm mèry samny aao Jb,

Tumhèn Baahon mèn lè loon main,
Faqat us èk pal mèn main,

Kai sadiyaan Bita daloon,
Qabl iss k, k sb moti,

Mèri ankhon sè Jharh Jaèn,
Faqat ik Baar galy lag kr,

Mujhy yun tm ronay do,
K sb kuch un-kaha B ho,

Or sb kuch kèh B daloon main,,

Faqat ik Baar aao to~...

· 1 Like · Feb 13, 2015 at 04:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bhool Jata Hun

"Tumhara nam likh likh ker mitana bhol jata hon"
"Tumhain jab yad karta hon bhulana bhul jata hon"

"Bohot c aisi batain hain jo mere dil men rehti hain"
"Magar jab tum se milta hon sunana bhul jata hon"

"Tumhare baad ab her pal bari mushkil se katta hai"
"Main aksar tum ko khawabon main batana bhol jata hon"

"Main her sham kehta hon k tum ko bhol jaon ga"
"Magar jab subha hoti hai to bholana bhol jata hon.

· 1 Like · Feb 12, 2015 at 15:02
Category: general
 
Poetry / General

Aik Taraf Dil Tha Aik Taraf Duniya

Raat ki seej khali khali hay
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay paray hud e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay
kah rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kahni thi baat, kah aye
Aur jo kahni thi woh chupa li hay
Aik taraf dil tha, aik taraf dunya
Hum ne donon se sezar mila li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!
Phir wohi aansoun ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phalti ja rahi hay qoos qazh
Dil peh kis ne nigah dali hay!!!

· 1 Like · Feb 12, 2015 at 03:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hamari Aankh Mein Pani

Hamari ankh men pani bohat hai
K iss darya men tughyani bohat hai

Ujar kr b ni bhoola ye tujko,
Humen iss dil peh herani bohat hai

Najane konsi khoobi hai tuj men,
Meri ankhen teri diwani bohat hai

Suna hai be sabab hum se bichar k,
Tujay ehsas-e-nadani bohat hai

Khudara ishq mat krna k iss men,
Sukoon kam he preshani bohat hai

Falak pr b tujay doonda hai humne,
Zameen ki khaak b chani bohat hai

· 2 Like · Feb 10, 2015 at 20:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mujhay Aur Kahin Le Chal Sanwal

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi peh roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ka koi na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko duss na sake
jahan koi kissi peh hunss na sake
jahan koi b gunjal kuss na sake !

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo baas na ho
jahan tou b ziada pass na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

· 3 Like · Feb 09, 2015 at 18:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Chup Chup

Bheegi Sham K Sahil Per Kashtiyaan Chup Chup Rehti Hain
Jese Hijr Ki Pehli Chout Per Larkiyan Chup Chup Rehti Hain

Meri Chup Ki Devaron Se Bhi Kayi Sawal Chispaan Hain
Us K Komal Honton Peh Bhi Kuch Paheliyan Chup Chup Rehti Hain

Us Purani Khushboo Se Mere Angan Ka Rishta Tha
Ab Phool Bhi Gum Sum Lagte Hain Or Titliyan Chup Chup Rehti Hain

Aakhir Shab-E-Sawan Bun Kar Us Kid Ankhon Se Barasti Hain
Bazahir Us Ki Chat Per Jo Badliyan Chup Chup Rehti Hain

Jane Wo Kis Haal Mein Hai Kayi Dinon Se Khabar He Nahi
Meri Gali Se Guzren To Us Ki Saheliyan Chup Chup Rehti Hain

· 1 Like · Feb 09, 2015 at 06:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Hum Ehl E Dil

Jahan Per Dur Banana Ho Wahan Deewar Karte Hain
Hum Ehl-E-Dil Mohabbatko Buhat Dushwar Karte Hain

Musalsal Khamoshi Yun Bhi Tu Hum Ko Maar Dale Gi
Tu Phir Ab Khof Kesa Hai Chalo Inkar Karte Hain

Tumhe Ab Kia Bataye Us Pari Ka Lams Kesa Tha
Hamare Hont Jalte Hain Agar Izhaar Karte Hain

Bus Hum To LushKari Hain Phir Bhala Hathyaar Q Dalen
K Aisa Kaam Tu Apne Sipah Salaar Karte Hain

Razi ehl-E-Mohabbat Ka Yehi Anjaam Hota Hai
Unhe Deevar Mein Chunte Hain Ya SungSaar Karte Hain

· 1 Like · Feb 09, 2015 at 00:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Polio

polio ki hai zaroori rok thaam
bar waqt iss ka intezaam
tandurusti ka hai zamin ye
iss lazim hai iss ka
hai ye bachon kay liye jaam sehat
tandurusti ki alamat hai ye jaam
hai agar darkaar hifzaan sehat
iss mission ko kijiyej logon mein aam
qoum kay mamaar hain bachay yhi
mulk ka jo kal gay nizaam
hai zaroori in ki zehni tarbiyat
in mein shayad hoooo koi abd
hai namoona jis ka qirdar o amal
hai zuba par har kisi ki jis ka naam
shayad in mein koi be hoooo
jis ka jaari aaj tak hai faiz aam
hai ali jis ka medaan amal
mulk ka roshan kya hai jis nay naam
koi shayad hoooo hakeem abd
jis ka hai hamdard ik naqsh dawaam
tha jo apnay app mein ik anjuman
khidmat khulq khuda tha jis ka kaam
jamia hamdard hai iss ka saboot
istifada kar rahay hain khaas o aam
har keh khidmat kard ou
zaat par sadiq hai unki ye kalaam
polio dur asal hai so rooh
iss ka keb nah janay ikhtitaam
hoooo saka iss ka nah abb tak sad bab

· 1 Like · Feb 08, 2015 at 16:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kaise Kahon

Tumhey Yeh Main Kaisey Kahoon
K
Meri Ankhoan Mein Basey Hain Sapney Hamarey
Aur Palkoan Mein Chupi Hai Tasveer Tumhaari
Dil Zoroan Sey Dhadakta Hai Iss Kashish Sey
k Tum Raho Hamesha Khushaal
Aur Hotoan Par Ho Hamesha Woh Muskaan

Tumhey Yeh Kaisey Kahoon Main
K
Zindagi Ka Matlab Samajh Aaya Mujhey Aaj
Jab Tum Ho Nahin Merey Paas...
Kuch Khatti Kuch Meethi
Aur Kuch Merey Aansoo Samaan...

uDer Raat Hai Abhi
Aur Tum Shayad So Rahey Ho Dour
Meri Saansein Ruki Si Hain Iss Pal
Soch Mein Shayad
k
Baat Hogi Hamaari Kal...

· 1 Like · Feb 08, 2015 at 09:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yeh Karobaar Hai

Ab itna subho k tarey se pyar kia karna
guzar hee jayegi shab, intezar kia karna

jo dost hee na bana uss se dushmani kaisee
duaain jiss ko na dein uss peh war kia karna

salamat aa gaye to sahilon se mil lengey
tahon mai chalte hain darya ko paar kia karna

har aik faisla bikta hai ab adalat mai
ye karobar hai, to ab, karobar kia karna

kahan tak aadmi khudd apna rasta rokey
jo sirf jabr ho wo ikhtiar kia karna

guzar rahi hai "Muzaffar" peh jo guzrnay do
tamam shehr ko ab sogwar kya karna

· 3 Like · Jan 31, 2015 at 20:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ishq Bazi Hai Ehl E Himmat Ki

jab se is zindagi se pyaar naheen
dil meiN pehla sa voh Khumaar naheen

Gham to laakhon hain daaman-e-dil mein
bus Khushi hai jo paaedaar naheen

jo na vaaqif ho hijr k Gham se
voh jahaan mein vafaa shiaar naheen

"dushmani dushmanon se kyaa karte?"
doston kaa jab eitbaar naheen !

jazba-e-dil peh ikhtiyaar kahaan ?
jab khud dil peh ikhtiyaar naheeN

jis chaman mein hai aashiyaan apnaa
us chaman mein hi kyoN bahaar naheen ?

hai mohabbat agar gunaah to ho
hum magar is se sharmsaar naheen !!

'ishq baazi hai ehl-e-himmat kee
buzdilon kaa yeh kaarobaar naheen

· 1 Like · Jan 28, 2015 at 20:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Wafa Hai Mujh Mein

Aag hAi Paani hAi Mitti hAi Hawa hAi mUjh Mein
Aur Phir Maan-na PaRta hAi KHUDA hAi mUjh Mein



Ab tO Ley Dey Key wOhii Shakhs Bachaa hAi mUjh Mein
mUjh kO mUjh Sey jUda Kar Key jO Chupa hAi mUjh Mein



Jitney mOusam hAin Sab jAisey Kahien Mil jAaien
In DinOn Kaisey Bataon jO Fiza hAi mUjh Mein



Aaiyna Yeh tO Batata hAi K Main kya hOn Lekin
Aaiyena Is Peh hAi KhaamOsh K Kya hAi mUjh Mein



Ab tO Bas jAan Hi Dainey Ki hAi Baarii Aey "Noor"
Main kahaaN Tak KarOn Saabit Key Wafa hAi mUjh Mein

· 2 Like · Jan 26, 2015 at 00:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Acha Nahi Lagta

Bina Soche Khafa Hona Mje Acha Nahi Lgta

Achank Bewafa Hona Mje Acha Nahi Lgta

Ksi say B Nahi Mlta Mein Ab Ye Soch Kr Yaroo

Ksi say B Juda Hona Mjhe Acha Nahi Lgta

· 2 Like · Jan 25, 2015 at 05:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Majboori

Chahat mèn kia dunia daari ishq mèn kaisi majboori,

logon ka kia, samajhny do un ki apni majboori,


Main nè dil ki bat rakhi or tm nè dunia walon ki,


mèri arz b majboori thi un ka hukum b majboori,

Rok sako to pèhli barish ki boondon ko tm roko,

kachi miti mèhkay gi miti ki hai majboori,


Jb tak hansta gata mosam apna hai sb apny hèn,

waqt parray to yad aati hai kaisi kaisi majboori,


Ek aavara baadal sè kion main nè saya manga tha,


mèri b yè nadani thi us ki b thi majboori,


Mudat guzri èk waady pr aaj b qaim hèn MOHSIN,

hum nè sari umer nibhaai apni pèhli majboori~...

MOHSIN BHOPALI

· 1 Like · Jan 24, 2015 at 14:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mera Ishq Mein Bura Haal Kar

Meray Ishq Ko Nidhal Kr.
Kbhi Hijar Ko B Wisal Kr,

Meri Ankh Ko Binai Day,
Meray Kalb Ko Ujaal Kr,

Mujy Dars Day Tu FANA Ka.
Mera Ishq Mein Bura Haal Kr,

Mujy Day Saza Koi Sakht Si,
Mujy Iss Jahaan Mein Misal Kr,

Meri Asal Surat Bigar Day,
Kisi Ishq Bhatti Mein Daal Kr,

Mujy B Pila Koi Aisi Shay,
Kbhi Meri Ankhen B Lal Kr,

Wo Jo Us Jahan Mein Halal Hai,
Kabi Is Jahan Mein Halal Kr,

· 1 Like · Jan 23, 2015 at 12:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sunoo....

Suno...


Bhol jana B Kya zrori hai

Yad aAna b Kya zrori hai

Tm jo kehty ho Sach hi kehte ho,

Qasmen khana b kya zrori hai

Roth jana tumhari Adat hai

Phir bahana b kya zrori hai,

Tmhari Mehfl mein Ghair bethy hain,

Mera Aana b kya zrori hai

Suno.

Ktni ulfat hai hamen tumse,

Ye Btana b kya zrori hai

· 2 Like · Jan 22, 2015 at 08:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bhoole Nahi Jisey

Mila hai Sab Kuch
To
Faryad Kiya Karen,

DiL hai Pareshan
To
Jazbat Kiya Karen,

TUM Kehte Ho Tumhen
YAAD Nahi Karte,

Bhole Nahi Jise Usay
YAAD Kiya Karen!

· 1 Like · Jan 21, 2015 at 13:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Sawal E Mohabbat

Jane kyun shikast ka azab liye phirta hon,

Main kya hon or kya khawab liye phirta hon,

Usne aik baar kiya tha sawal_e_mohabbat,

Main har lamha wafa ka jawab liye phirta hon,

Usne pocha kab se nahi soye,

Main tab se raat jagnay ka hisab liye phirta hon,

Uski khuwaish thi k meri ankhon may pani dekhay,

Main us waqt se ansuon ka sailaab liye phirta hon,

Afsos k phir b wo mera na hua "FARAZ"

Main jis ki arzu ki kitab liye phirta hon.

· 1 Like · Jan 20, 2015 at 11:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Muqaddar

wo maira sub kuch hai bass maira muqaddar nahi..
kash wo maira kuch na hota maira muqaddar hota..

· 3 Like · Jan 18, 2015 at 19:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mohabbat Baandh Laiti Hai

Mohabbat baandh laytee hay
Humain kuch kachey dhagon say
Jinhain hum tor daytey hain

Kisee anjaney ko pahley
Hum apnaa maan laytey hain
Usay phir chore daytey hain

Mohabbat kee sabhee batain
Hum seenay main chupatey hain
Magar dil tore daytey hain

· 1 Like · Jan 17, 2015 at 11:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Judai

Juda hona hi thehra to

Gilay kaisay shikayat kya

Juda ho jayen chupkey se

Na tum bolo na main boloon

Hamare bol perne se

Judaayi phhail sakti hai

Hawaun main

Fizaoon main

Judaai zaat main bher lein

Chalo ham is terha ker lain

Kisi sunsaan raste ke

Kisi bhi morre per dono

Juda ho jayen chupke se

Na tum bolo na main bolon

Hamare bol parney se

Judayi phhail sakti hai

· 2 Like · Jan 16, 2015 at 16:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Parde Mein

Barri Tarrap Hai Mèri iltija K Pardy Mèn,


Main Tum Ko Mang Raha Hon dua K Pardy Mèn,


Usy B Dar Hai K Yè Raaz Khul Na Jayè Kahèn,


Likhti Hai Naam Mèra Wo Hina K Pardy Mèn,


Main Us K Koochy Sè Guzra To Yè Mèhsoos Hua,


Mujhy Pukara Hai Us Nè Hawa K Pardy Mèn,


Ajèèb Tarz-è-Masèèhai Us Nè Dikhlai,


Hayat Mèri Badal Di Dua K Pardy Mèn,


Is Tarha Chèhry Ko Zulf Mèn Chupaya Us Nè,


K Jaisy Chaand Chupa Ho Ghata K Pardy Mèn~...

· 2 Like · Jan 15, 2015 at 22:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mairay Sathi

Uss nay mujh say kaha
Mairay saathi!
Tum ko mujh say gilla kia hay!
Kabhi fursat milay to yeh soacho
Manzilain kyun hain? Faaslay kia hain?
Apnay apnay safar peh niklay loag
Mushtarik raastoan parr chaltay hain
Hamrahii kay hisaar main jitnay
Dinn nikaltay, charaagh jaltay hain
Sabb kii aankhoan main jilmilaatay hain
Apni apni umeed kay darr o baam
Zindagi k safar main miltay hain
Mustakil dard, aarzi aaraam!
Tum mairay hamsafar to ho laikin
Hum kaheein say bicharr bhi saktay hain
Dair tak ikk taweel rastay parr
Saath to ajnabii bhi chaltay hain!!!!

· 1 Like · Jan 08, 2015 at 14:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Jug Jeet Gaya

Ab Yaad Dilayen Kia Tumhain

Yeh Saal Bhi Akhir Beet Gaya

Aur Apna Bhi Koi Dosh Nahi

Ye Baazi Bhi Jug Jeet Gaya

Woh Sard Hawaen Ab Bhi Hain

Rangeen Fizaen Ab Bhi Hain

Woh Bheegay Bheegay Pani Ki

Pur Shor Sadayen Ab Bhi Hain

Main Ab Bhi Udhar Ko Jata Hun

Aur Dil Apna Sulghata Hun

Ab Tum Nahi Hoote Saath Mere

Hote Hain Khali Haath Mere

Pur Shor Sadayen Poochti Hain

Woh Sard Hawaen Poochti Hain

Woh Kahan Gaya Saathi Tera

Kia Phir Se Yeh Jug Jeet Gaya

· 1 Like · Jan 03, 2015 at 19:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mohabbat Hum Se Karni Hai

Muhabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Wada Nahi Karna

Yeh Waday Hum Ne Daikhe Hain K Aksar Toot Jaate Hain

Muhabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Zid Bhi Nahi Karni

Yeh Zid Bhi Hum Ne Daikhi Hai K Saathi Ch’hout Jaate Hain

Muhabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Tohfa Nahi Daina

Yeh Tohfay Hum Ne Daikhe Hian Buaht Majboor Karte Hain

Muhabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Shikwa Nahi Karna

Yeh Shikway Hum Ne Daikhe Hain Dilon Ko Door Karte Hain

· 2 Like · Jan 02, 2015 at 12:01
Category: general
 
Poetry / General

Shahid Baig

Thodaa Saa Sidhaa Aur Thodaa Shaitaan Hoon

Thodaa saa sidhaa aur thodaa shaitaan hoon,
Thodaa saa chalaak to thodaa naadaan hoon,

Aksar hi maiN apna aks badalta raheta hoon,
Ek pal banu dhaara to duje mein aasmaan hoon,

Apne banaye usooloN peh hi jeeta aaya hoon,
Duniyaa ke riwaajoN se bilkul anjaan hoon,

Har dil mein apni alag si jagah banata hoon,
Kisi ka kooredan to kisi ke liye jahaan hoon,

Meri zindagi ki kitaab ke do hi safhay milenge,
Pahlay peh nek dil aur aakhari peh insaan hoon.

· 2 Like · Nov 16, 2014 at 20:11
Category: general
 
Poetry / General

Qaum K Paas Agar Thora Sa Mind Hota?

Qaum k paas agar thora sa mind hota

Hukamran apna na aisa bhi blind hota

Jab bhi woh hans k mila karta mujhye farhatje

Kuch na kuch peeich zaroor is k behind hota

Tu bhi aankhon main liye phirta kisi dard ki reet

Tera bhi khawab mere dukh main grind hota

A gaya hota agar aik bhi aankhon wala

Sheher ka sheher to aise na blind hota

Mahirbanon k nagar main,main khara sochta houn

Kaash woh shaks bhi mere liye kind hota

· 1 Like · Oct 21, 2014 at 10:10
Category: general
 
Poetry / General

Vickey

Zindagi Hai Choti

Zindagi hai choti, har pal mein khush raho...

Office me khush raho, ghar mein khush raho...

Aaj paneer nahi hai, dal mein hi khush raho...

Aaj gym jane ka samay nahi, do kadam chal ke hi khush raho...

Aaj Doston ka sath nahi, TV dekh ke hi khush raho...

Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush raho...

Aaj koi naraaz hai, uske iss andaz mein bhi khush raho...

Jise dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush raho...

Jise paa nahi sakte uski yaad mein hi khush raho

Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush raho...

Peter Scotch Nahi To Kya Hua Royal Stag Main Hi Khush Raho...

Hanste hanste ye pal bitengey, aaj mein hi khush raho

· 1 Like · Oct 09, 2014 at 22:10
Category: general
 
'Kismat Se' ft. Shreya Ghoshal
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Dec 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS