Poetry / General

Muzammil Shahzad

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz

Dard Kia Hota Hai Batain Gay Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gay Kisi Rooz


Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gay Kisi Rooz


ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gay Kisi Rooz


Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gay Kisi Rooz


Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gay Agar Lout Ayein Gay Kisi Rooz


Apnay Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gay Kisi Rooz

· 1 Like · Apr 18, 2016 at 03:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mujhe Tum Sab Se Nafrat Hai

ارے او قاتلو!
تم پر خدا کا رحم
جو تم نے
جہانِ دل کے سب کوچے، محلّے
سب گلی چوبارے تک ویران کر ڈالے
گُلستانِ تبسّم روند ڈالے
شہرِ جاں کی سب فصیلیں ڈھا کے
قبرستان کر ڈالیں
تم اپنی ذات میں خود ہی خداوندان و پیغمبر
تمہاری گفتنی و کردنی جو سب
بزعمِ خُود تھی یزدانی
جنہیں میں خِضر سمجھا تھا
وہی شدّاد نکلے ہیں
میں جن کی ذات کا حصّہ
وہی بد ذات نکلے ہیں
تمھاری فتح میں تسلیم کر لوں گا
اگر تم
یہ شکستِ دل، شکستِ عشق میں تبدیل کر پاؤ
مگر اب تک ضمیرِ قلب کے سینے پہ گویا ایستادہ ہے
علَم اِک قرمزی جو اِک علامت ہے
محبّت جاوِدانی کے جلال و فتحمندی کی
وہیں
اِک اور بھی
اتنا ہی اونچا اور قد آور علَم بھی ایستادہ ہے
مگر اُس سُرخ جھنڈے سے سیہ رنگت جھلکتی ہے
مگر بس فرق اتنا ہے
کہ اُس کے روئیں روئیں سے فقط نفرت چھلکتی ہے
وہی نفرت علامت ہے
مِرے تم سے تعلّق کی
تمہارے میرے رشتے کی
مگر دُکھ کیا؟
ابھی الفاظ باقی ہیں
قلم کا ساتھ باقی ہے
مگر جب تک مِرے سینے میں اِک بھی سانس باقی ہے
مجھے تم سب سے نفرت ہے
مجھے تم سب سے نفرت ہے,

· 1 Like · Apr 17, 2016 at 09:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Mujhe Tum Sab Se Nafrat Hai

ارے او قاتلو!
تم پر خدا کا رحم
جو تم نے
جہانِ دل کے سب کوچے، محلّے
سب گلی چوبارے تک ویران کر ڈالے
گُلستانِ تبسّم روند ڈالے
شہرِ جاں کی سب فصیلیں ڈھا کے
قبرستان کر ڈالیں
تم اپنی ذات میں خود ہی خداوندان و پیغمبر
تمہاری گفتنی و کردنی جو سب
بزعمِ خُود تھی یزدانی
جنہیں میں خِضر سمجھا تھا
وہی شدّاد نکلے ہیں
میں جن کی ذات کا حصّہ
وہی بد ذات نکلے ہیں
تمھاری فتح میں تسلیم کر لوں گا
اگر تم
یہ شکستِ دل، شکستِ عشق میں تبدیل کر پاؤ
مگر اب تک ضمیرِ قلب کے سینے پہ گویا ایستادہ ہے
علَم اِک قرمزی جو اِک علامت ہے
محبّت جاوِدانی کے جلال و فتحمندی کی
وہیں
اِک اور بھی
اتنا ہی اونچا اور قد آور علَم بھی ایستادہ ہے
مگر اُس سُرخ جھنڈے سے سیہ رنگت جھلکتی ہے
مگر بس فرق اتنا ہے
کہ اُس کے روئیں روئیں سے فقط نفرت چھلکتی ہے
وہی نفرت علامت ہے
مِرے تم سے تعلّق کی
تمہارے میرے رشتے کی
مگر دُکھ کیا؟
ابھی الفاظ باقی ہیں
قلم کا ساتھ باقی ہے
مگر جب تک مِرے سینے میں اِک بھی سانس باقی ہے
مجھے تم سب سے نفرت ہے
مجھے تم سب سے نفرت ہے,

· 1 Like · Apr 17, 2016 at 02:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yeh Kaun Doob Gayaa Aur Ubher Gayaa Mujh Mein

Yeh Kaun Doob Gayaa Aur Ubher Gayaa Mujh Mein
Yeh Kaun Saaye Ki Soorat Guzer Gayaa Mujh Mein

Yeh Kis Ke Sog Mein Shoridaa-Haal Phirtaa Hon
Woh Kaun Shakhs Thaa Aisaa K Mar Gayaa Mujh Mein

Ajab Havaa-E-Bahaaraan Ne Charasaazi Ki
Woh Zakhm Jis Ko Na Bherna Thaa Bher Gaya Mujh Mein

Woh Aadmi K Jo Patthar Thaa Jee Raha Hai Abhi
Ju Aaina Tha Woh Bikher Gayaa Mujh Mein

Wo Saath Tha To Ajab Dhoop Chaaon Rehti Thi
Bas Ab To Ek Hi Mausam Thaher Gaya Mujh Mein

· 1 Like · Apr 15, 2016 at 04:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yeh Tajarubaa Bhi Karon Yeh Bhi Ker Dikhlaon Main

Yeh tajarubaa bhi karon yeh bhi ker dikhlaon main
K khud ko yaad rakhon us ko bhool jaaon main

Faraib-e-kaar mein kuchh to hai koi baat to hai
K jaan boojh k itne faraib khaon main

Woh pal kahaan hain ju duniyaa se jorta tha mujhe
Jo paon tujh ko to sab ke qareeb aaon main

Kabhi to ho mere ehasaas-kam-tarii mein kami
Kabhi to ho ki use khul ke paaon main

Wo shakhs hai ki naseem-e-sahar kaa jhonka hai
Bikhar hi jaon ju us ko gale lagaaon main

Azaan ke baad duaa ko jo haath uthaye woh
"Imam" apni namaazein bhi bhool jaon main,

· 1 Like · Apr 14, 2016 at 22:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga
Jis Per Tera Naam Likha Hay Us Taaray Ko Dhundon Ga

Tum Bhi Har Shab Dia Jala Kar Palkon Ki Dehleez Pay Rakhna
Main Bhi Rooz Ak Khowab Tumhara Shaher Ki Janib Bhejon Ga

Hijar Kay Darya Main Tum Parhna Lehron K Tahreerain Bhi
Pani Ki Har Satah Pay Main Kuch Dil Ki Baatein Likhon Ga

Jis Tanha Say Pair Kay Nechay Hum Barish Main Bheegay Thay
Tum Bhi Us Ko Chho Kay Guzarna , Main Bhi Us Say Lipton Ga

Khowab Musafir Lamhon Kay Hain, Saath Kaha Tak Jaaye Gay
Tum Nay Bilkul Theek Kaha Hay, Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga,

· 1 Like · Apr 09, 2016 at 09:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Lipti Rahi Wajood Se Khushbu Tmam Raat

Lipti Rahi Wajood Se Khushbu Tmam Raat
Aata Raha Hai Yaad Mujhe Tu Tmam Raat..

Us Ne Bary Khuloos Se Mangi Thi Roshni
Girtay Rahy Mkaan Pe Jugnu Tmam Raat..

Rota Rha Wo Aap He Apne Naseeb Per
Apne Galay Mein Daal K Baazu Tmam Raat..

Fursat Na Thi Tabeeb Ko Apne Hi Kaam Se
Peetay Rahy Mreez Bhi Aansu Tmam Raat..!

· 1 Like · Apr 09, 2016 at 03:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Jis Ko Leny Taajiron Ka Dasta Nikla

Jis Ko Lenay Taajiron Ka Dasta Nikla,
Bikny Aaya To Tawaqu Se Bhi Sasta Nikla.

Apny Seeny Mein Chhupaye Huvy Teri Yaden,
Ham Pe Her Shakhs Aawazen Kasta Nikla.

Ham Ne Hr Baat Bohat Soch Samajh Kar Ki Hai,
Bas Ik Lafz-E-Mohabt Tha Jo Barjasta Nikla.

Wo Jis Ne Paon Taley Kitny Dil Masal Daaly,
Kal Wohi Shakhs Mohabbat Ko Tarasta Nikla.

Teri Muskaan Se Mansoob Rahi Rahat Meri,,
Mera Hr Gham Tery Gham Se Pewasta Nikla..

· 2 Like · Apr 07, 2016 at 05:04
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Wo Kahte Hain Ranjish Ki Batain Bhula De

Wo kahte hain ranjish ki batain bhula de
mohabbat kare Khush rahe muskura de

jawani ho agar javidani to ya rab
teri sada duniya ko jannat bana de

shab-e-vasl ki beKhudi chah rahi hai
kaho to sitaroon ki shamaain bujha de

tum afsana-e-qais kya puchhate ho
idhar ao hum tum ko laila bana de

baharain simaT aye khil jaye kaliyaN
jo hum tum chaman main kabhi muskura de

wo ayenge aj ai bahar-e-mohabbat
sitaroon ke bistar main kaliyaN bicha de

· 1 Like · Apr 06, 2016 at 22:04
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS