Jokes / Miscellaneous

Asiya Faheem

Jutt, Mirasi Aur Thanedar

Eik village main Jutt logon ki hakumat thi aur unka eik ladla Kukar(Murgha) Thanedar tha, woh sara din gaoon(village) main awaragardi karta aur sham ko ghar aajata pura village us ko janta tha, Eik din usi gaoon ka eik mirasi jo bohat dinon ka bhoka tha, thanedar us ke ghar ke pass se guzra, mirasi ne us ko pakar kar halal kar diya aur us ki khal dewaar per keel ke sath latka di.
Jab sham ko thanedar ghar na pohancha to jutt logon ko fikar howi, un sab ne puray gaoon main us thanedar ki talash shuroo kar di, isi doran woh mirasi ke pass bhi gaye aur kaha ke thanedar ko dekha hai, mirasi ne us ki khal ki taraf ishara kar ke jawab diya "" woh aaya tha aur wardi utar kar na jane kahan chala gaya.
he he he he he he he he he he he

· 3 Like · Jul 14, 2018 at 17:07
Category: miscellaneous
 
Poetry / General

Luqman Mali

Umer Bhar Hum Yunhi Galti Karte Rahai.


· 1 Like · Jul 14, 2018 at 14:07
Category: general
 
Social Wall / Photos

Anam Lateef

Atif Aslam With Shahid Khan Afridi At Splice Restaurant

· 3 Like · Jul 14, 2018 at 12:07
Category: photos
 
Jokes / Miscellaneous

Ebrahim Ali Ali

Hahahha

aik shakhs meray pass bay inteha kepray hain laikin pehany ke liyay waqt nahin hai.....
dosra shakhs kiya aap wazir_e_aazam hain
pehla nahin mein dry cleaner hoon

· 1 Like · Jul 14, 2018 at 10:07
Category: miscellaneous
 
Poetry / Sad

Haseeb Raza

Aansuon Ke Jahan Payamali Rahi.

aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Haseeb Raza

Aansuon Ke Jahan Payamali Rahi.

aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 07:07
Category: sad
 
Social Wall / Photos

Afza Altaf

Dear Microsoft Word, I Am Pretty Sure I Spelled My Name Correctly

· 2 Like · Jul 14, 2018 at 02:07
Category: photos
 
Poetry / Sad

Mohammad Iqbal

Khush Rahe Ya Bahut Udas Rahe.

Khush rahe ya bahut udas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in badaliyon se nikalega
koi aayega dil ko aas rahe
hum muhabbat ke phul hain shayad
koi kanta bhi aas pas rahe
mere sine mein is tarah bas ja
meri sanson mein teri bas rahe
aj hum sab ke sath khub hanse
aur phir der tak udas rahe.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 01:07
Category: sad
 
Jokes / Miscellaneous

Fozia Iqbal

Chocolate

aik bachcha dukandar ke paas jata hai aur kehta hai ke aap ke paas chocolate hai? dukandar kehta hai ke haan hai. bachcha jawab deta hai ke ye kon si badi baat hai, mere paas bhi hai!

· 2 Like · Jul 14, 2018 at 01:07
Category: miscellaneous
 
Mehndi
Posted by Naila Ahmed
Posted on : Dec 13, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS