Poetry / Love

Na Koi Subha Na Koi Apni Shaam Dete Ho

Na Koi Subha Na Koi Apni Shaam Dete Ho

Dil Dharakne Ko Mohabbat Ka Naam Dete Ho

Roz Chale Aate Ho Mere Khowab Mein Tum

In Aankhon Ko Tum Na Ek Pal Araam Dete Ho,

Tum Se To Na Poocha Gaya Mera Hal-e-Dil Aur

Ghairon Ko Roz Naya Salam Dete Ho,

Jab Kaat Diya Apne Aangan Se Shajar

Phir Kyun Sada Hum Ko Sar-e-Aam Dete Ho

Hum Ne Yaad Rakha Phir Bhi Mujrim Thehre

Shayad Bhoolne Per Tum Inaam Dete Ho...!

· 2 Like · Dec 21, 2017 at 23:12
Category: love
 
Poetry / Love

Kahien Se Tera Sath Le Aaoon

Kahien se tera sath le Aaoon
Wasl ki chand raat le aaoon
Beth jaoon kisi dorahay per
Mang ker tera hath le aaoon
Kitni sadiyoon ke baad bolo mein
Lab pe aik teri hi baat le aaoon
Apni aankhoon ki band galioon se
Aansoon ki barat le aaoon
Itni pooja keroon ke mein ik din
Apni zaat mein teri zaat le aaoon...!

· 1 Like · Dec 21, 2017 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abhi Bhi Waqt Hai Tum Laut Jao

Abhi bhi waqt hai tum laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai,
Bazaahir ek sukoon taari hai magar
Dil main Qayamat ho chali hai
Tumhary Naam se Phoolon k khilna
Tumhara roz ka yun milna
Tumhary Chaand se chehray ko takna,
Meri aankhon ki aadat ho chali hai,
Abhi bhi waqt hai tum Laut jao,
Mujhe tum se muhabbat ho chali hai...!

· 2 Like · Dec 21, 2017 at 10:12
Category: love
 
Poetry / Love

Apni Zindagi Ki Her Shaam Teray Naam Kardoon

Apni Zindagi ki her Shaam Teray Naam kardoon
Teri hi Aankhon ka Jaam Teray Naam kardoon
Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai
Phir apni Barbadi ka ilzam Teray Naam kar doon
Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhar doon
Phir apni Zaat apna her Payam Teray Naam kardo
Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Teray Naam kardoon
Mohabbaton ke Qasiday likhoon Teray liye
Hazaron Pyaar ke Peghaam Teray Naam kardoon
Ho jis ka Zikar Mohabbat ki her kahani mai
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon...!

· 1 Like · Dec 21, 2017 at 04:12
Category: love
 
Poetry / Love

Jamaal E Yaar Ka Naksha Bayaa Kaisay Karoo

Jamaal-e-yaar ka naksha bayaa kaisay karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaisay karoo.

woh masoom jabeen, woh rang-e-hasin
dekho to hubahu ronaq-e-gul zameen
es hoor-e-jannat ka didaar mein kaisay karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaisay karoo.

unki zulf o deeda, aur sharam o haya
unki har ek ada, jan fanaa har ada
lipata hoo jahaa mein kinara kaisay karoo.
us husn-e-talab ki taarif mein kaisay karoo...!

· 1 Like · Dec 19, 2017 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ik Hunar Tha, Kamaal Tha Kya Tha

Ik Hunar Tha, KamaaL Tha Kya Tha
Mujh Men Tera JamaL Tha Kya Tha

Terey Jaane Pe Ab K Kuch Na Kaha
DiL Men Dar Tha MaLaaL Tha Kya Tha

Barq Ney Mujh Ko Kar Diya Roshan
Tera Aks-E-JaMaaL Tha Kya Tha

Hum Tak Aaya Toh Mehar-E-Lutf O Karam
Tera Waqt ZawaL Tha Kya Tha

Jis Nay Teh Say Mujhay Uchhaal Diya
Doobnay Ka Khayaal Tha Kya Tha

Jis Pey DiL Saarey Ehad BhooL Gaya
BhooLney Ka SawaaL Tha Kya Tha...!

· 1 Like · Dec 18, 2017 at 21:12
Category: love
 
Poetry / Love

Main Logon Sey Mulaqaton K Lamhey Yaad Rakhta Hoon

MaiN logoN sey mulaqatoN k lamhey yaad rakhta hooN
MaiN baateN bhool bhi jaooN to lehjay yaad rakhta hooN

Sar-e-mehfil nigaheN mujh pey jin logoN ki paRti haiN
NigahoN k hawaley sey woh chehrey yaad rakhta hooN

Zara sa huT k chalta hooN zamaney ki riwayat sey
K jin pey bojh maiN Dalo woh kandhay yaad rakhta hooN...!

· 1 Like · Dec 18, 2017 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muhabbat Dhund Main Lipti Hoi Wadi Ka Mausam Hai

Muhabbat Dhund Main Lipti Hoi Wadi Ka Mausam Hai
Chamakti Hai To Suraj Hai Barasti Hai To Rimjhim Hai

Muhabbat Naam Hai Kitne Musalsal Imtehanoo Ka
Muhabbat Kar NahiN sakta Ke Jis Main Hosla Kam Hai

Muhabbat Karne WaloN Ko Sada Muskaan Milti Hai
Muhabbat Karne WaloN ki Zara Si Aankh Bhi Num Hai

Muhabbat Zindagi Main Zindagi Ka Eik Nagmah Hai
Magar Yeh Maut Ki Dehleez Par SadiyoN ka Matam Hai...!

· 2 Like · Dec 18, 2017 at 09:12
Category: love
 
Poetry / Love

Suna Hey Shehar Walon Sey Mera Sahir Nahi Badla

Suna hey shehar walon sey mera SAHIR nahi badla...
key wo AANKHAIN nahi badleen key wo PAIKAR nahi badla...

HASEEN AANKHON ko parhney key abhi tak shoq hain mujhko
mohabat main ujar kar bhi mera andar nahi badla....

main PATHAR sey hoi HEERA mujhey aisa TARASHA hey
badal dala mujhey lekin mera AAZAR nahi badla....

main pehron sochti hon ye jo mujhko bhool betha wo
sabab najaney kia hoga , wo kuch keh kar nahi badla....

bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
akeli raat sey keh do hamara ghar nahi badla.....

meri qismat ney jo likha zakham aakhir nahi badla..
faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahi badla...

ussey kehna shikasta zaat honay sey mohabat mar nahi jati
aienay toot janey sey kabhi manzar nahi badla....

tumharey dairoon main ik umrr sey mehv-e-gardish hon
mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla.....

meri jaan doob key ubhri hey meri sans bhi jaisay
mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla.....

suna hey aaj bhi sab log ussey hi sajdah kartey hain
Mathay hi badaltay hain magar wo darr nahi badla....

abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeeta jata hey
wohi andaz hain us key .... mera shatir nahi badla...!

· 2 Like · Dec 18, 2017 at 03:12
Category: love
 
Meezan mai Wazni Kalmat
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Dec 19, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS