Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Pehle Pehle

fikar anjaam kar anjaam say pehlay pehlay
din tou tera hai magar sham say pehlay pehlay

kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein hasrat nakaam say pehlay pehlay

baais fakhar howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarte thay is ilzaam say pehlay pehlay

aaye bikny pe tou herat mein hamein daal diya
woh tou bay mol thay nilaam say pehlay pehlay

ho bhi sakta hai khaas nazar anay lageen
woh jo lgtay hain aam say pehlay pehlay

haae woh waqt k taari thi muhabbat hum par
hum bhi choank uth'te thay ik naam say pehlay pehlay

hum bhi sotay thay koi yaad serhanay rakh kar
haan magar gardish ayyaam say pehlay pehlay

kis qadar taiz hawaaye theen sar sham k dil
jal bujha raat kay hangam say pehlay pehlay

ab kay mushkil woh pari hai k yeh jaan jati hai
saad rehtay thay hum aaram say pehlay pehlay

· 1 Like · Jan 18, 2018 at 01:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Baatain Teri Ilhaam

Baatain Teri ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ki udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahi Shab Bhar Meray Aansoo Teri Awaaz

Yeh Hijr Ki Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kaheen Khool K Geysoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ki Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz

· 1 Like · Jan 17, 2018 at 13:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Lauton Ga December Main

December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main

· 2 Like · Jan 17, 2018 at 06:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Chand Si Larki

Suno..! aaye Chand si larki...!!!



Abhi tum titliyaan pakro.

Ya phir Guriyon sy khelo tum...!

Ya phr masoom c Aankhon sy dheron khwab daikho tum..

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin, ki kitaben mat abhi prhna..,

Ye sb lafzon k sahir hein.

Tumhein uljha k rakh dein gy

Tumhein Maloom he kab hai..

Mohabat k libady mein..

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Ye insanon ki dunya hai.

Magr in sy kaheen barh kr.., yahan wehshi drinday hein...'

Wo wehshi jin ki Aankhon me..

Machalty piyar k peechy.

Hawas aur Hirs hoti hai..'

Abhi kachi kalii ho tum...,

Abhi kaanton sy mat khelo..,

Abhi apni Hatheli par..

Kisi ka Naam mat likho...,

Abhi apni kitabon mein

gulaabi phool mat rako...!

Abhi tum titliyan pakro

Abhi guriyoun sy khailo TUM....!!!

· 1 Like · Jan 15, 2018 at 17:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Phir Aj Koi Ghazal

phir aj koi ghazal tere nam na hojae!!
aj kaheen likhte likhte sham na ho jae!!!

kar rahe hoon intezar tere izhar e mohabbat ka!!!!!!!
isi intezar mei zindgi tamam na hojae!!!

nahi lete tera nam sar e aam is darr sy!!!
kahein tera nam bad nam na hojae!!!

mangti hoon dua!!jab bhi to yadd ata hy!!
k judai mere piyar ka anjam na hojae!!

sochti hoon darti hoon aksar tanhai mei!!!
us k dil mei kisi aur ka maqam na hojae!!!

· 2 Like · Jan 14, 2018 at 09:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Na Den Ge Hum, Dil Agar Para Paaya

kehtay ho: "na den ge hum, dil agar para paaya"
dil kahaan ke gum keejay, hum ne muddua paaya
ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya
dard ki dawa paayi, dard be-dawa paaya
dost daar e dushman hai, aitmaad e dil maaloom
aah be-asar dekhi, naala narasa paaya
saadgi o purkaari, be-khoodi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurrat aazma paaya
ghuncha phir laga khilnay, aaj hum ne apna dil
khoon kiya hua dekha, gum kiya hua paaya
haal e dil nahin maaloom, lekin is qadar yaani
hum ne baarha dhoonda, tum ne baarha paaya
shor e pand e naasah ne zakhm par namak chhirka
aap se koi poochhay: tum ne kya maza paaya?

· 1 Like · Jan 12, 2018 at 19:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tamam Teri Hikayatain Hain

yeh meri Gazalain yeh meri nazmain tamam teri hikayatain hain
yeh tazkiray teray lutf kay hain yeh shair teri shikayatain hain
main sab teri nazar kar raha hoon yeh un zamanon ki s'atain hain
jo zindagi kay nay safar main tujhay kisi roz yaad aiN
to ek ek harf ji uthay ga pehan kay anfas ki qubain
udas tanhaiyon kay lamhon main naach uthaingi yeh apsarain

mujhay teray dard kay ilava bhi aur dukh thay, yeh janta hoon
hazarr gham thay jo zindagi ki talash main thay, yeh janta hoon
mujhay khabar hay keh teray anchal main dard ki rait chhanta hoon
magar har ek baar tujh ko chhu kar yeh rait rang-e-hina bani hay
yeh zakhm gulzar ban gay hain yeh ahen-sozan ghata bani hay
yeh dard mauj-e-saba hua hay yeh aag dil ki sada bani hay

aur ab yeh sari mata-e-hasti yeh phool ye zakhm sab teray hain
yeh dukh keh nauhay yeh sukh kay naghmain jo kal meray thay vo ab teray hain
jo teri qurbat teri judai main kat gay roz-o-shab teray hain
vo tera shayar tera mughanni vo jis ki baatain ajeeb si thi
vo jis kay andaz khusro-vana thay aur adain ghareeb si theen
vo jis kay jeenay ki khahishain bhi khud us kay apnay naseeb si theen
na poochh us kaa keh vo deevana bahut dinon ka ujar chuka hay
vo kohkan to naheen tha laikin kari chattanon se lar chuka hay
vo thak chuka hay aur us ka tesha usi kay seenay main gar chuka hay

· 1 Like · Jan 12, 2018 at 01:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ab Bhi Tum Meri Zindagi Ho Kya

Gaahe Gaahe bas ab yahi ho kya?
Tum se mil kar bahut khushi ho kya?

Ab meri koii zindagi hi nahin
Ab bhi tum meri zindagi ho kya?

Mil rahi ho barey tapaak ke saath
Mujhko yaksar bhula chuki ho kya?

Yaad hain ab bhi apne khwaab tumhein?
Mujh se mil kar udaas bhi ho kya?

Bas mujhe yunhi ek khyaal aaya
Sochti ho to sochti ho kya?

Kya kaha, ishq jaawidaani hai
Aakhri baar mil rahi ho kya?

Haan, fazaa yaan ki soyi soyi si hai
To bahut tez roshni ho kya?

Mere sab tanz be-asar hi rahe
Tum bahut door jaa chuki ho kya?

Dil mein ab soz-e-intizaar nahin
Shamm-e-ummid ! bujh gayi ho kya ?

· 1 Like · Jan 11, 2018 at 06:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Jaan E Jaan Mere Hamsafar

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,
Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,
Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,
Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar,
Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,
Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,
Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..

· 1 Like · Jan 10, 2018 at 12:01
Category: love
 
Best Christmas Lights!
Posted by Interesting Videos
Posted on : Aug 04, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS