Sms / Ghazal
Ijunoon
Kitab E Dil Pe Likhay Thay Kitnay He Afsanay
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera iss aas pe zinda hai
aik roz to aayein wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay

·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Ek Tamanna Hai Fakat Mujh Pey Meharban Raho
Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho tou bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere paas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye meri rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko tou bura lagta hai
tum kisi aur ko dekho tou bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere paas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye meri rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko tou bura lagta hai
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Safar Tanha Nahin Karte
Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey chhora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhola nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey chhora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhola nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Dost Dushman Nazar Nahin Atay
Dost dushman nazar nahin atay
Ab tou pather bhi ghar nahin atay
Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay
Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay
Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gayi sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
Ab tou pather bhi ghar nahin atay
Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay
Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay
Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gayi sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
·
2 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Aik Bay Rang Sa Manzar Hai Kahan Tak Sochon
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baaray main kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu dour say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon
Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon
Loog jis moor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon
zindagi main terey baaray main kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu dour say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon
Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon
Loog jis moor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Saad Raza
""Ham Se Kia Pochte Ho Hijr Mein Kia Kerte Hein
Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Kerte Hein
Ab Koi Hont Nahi In Ko Churane Ate
Meri Ankhon Mein Agar Ashk Hua Kerte Hein
Teri Tu Jane, Per Ai Jan-E-Tamna Ham To
Saans Ke Sath Tujhe Yad Kerte Hein
Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahin
Dhoop Mein Beth Ke Akhbar Parha Kerte Hein
Teri Tasveer Laga Lete Hein Ham Seene Se
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kerte Hein
Gar Tujhe Chornay Ki Soch Bhi Aye Dil Mein
Ham To Khud Ko Bhi Wahin Chor Diya Kerte Hein..

Mohammad Asif
Koi Ye Kaise Bataye Ki, Wo Tanha Kyon Hai…
Koi ye kaise bataye k, wo tanha kyon hai...
Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai...
Yahi duniya hai to phir, aisi ye duniya kyoon hai ...
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai...
Ik zara haath badhaa de to, pakar le daaman...
Uske seene mein sama jaye, hamari dhadkan....
Itni Kurbat hai to phir, faasla itna kyoon hai...
Dil e barbaad se nikla nahi, ab tak koi...
Ik loote ghar pe diya karta hai, dastak koi...
Aas jo toot gayi, phir se, bandhaata kyoon hai...
Tum musarrat ka kaho ya, isey gham ka rishta....
Kehte hain pyaar ka rishta hai, janam ka rishta...
Hai janam ka rishta jo ye to, badalta kyoon hai...
Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai...
Yahi duniya hai to phir, aisi ye duniya kyoon hai ...
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai...
Ik zara haath badhaa de to, pakar le daaman...
Uske seene mein sama jaye, hamari dhadkan....
Itni Kurbat hai to phir, faasla itna kyoon hai...
Dil e barbaad se nikla nahi, ab tak koi...
Ik loote ghar pe diya karta hai, dastak koi...
Aas jo toot gayi, phir se, bandhaata kyoon hai...
Tum musarrat ka kaho ya, isey gham ka rishta....
Kehte hain pyaar ka rishta hai, janam ka rishta...
Hai janam ka rishta jo ye to, badalta kyoon hai...
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Mohammad Asif
Jhuki Jhuki Si Nazar, Bekaraar Hai Ki Nahi..
Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ke nahi..
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ke nahi..
Jhuki jhuki si nazar..
Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata..

Meri tarah tera dil, bekaraar hai ke nahi...

Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai..

Us ek pal ka tujhe, intazar hai ki nahi..

Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko..

Tujhe bhi apne pe ye etbaar hai ke nahi...

Jhuki jhuki si nazar...

Aap Ko Dekh Kar Dekhta Reh Gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya..
Kya kahoon or kehne ko kya reh gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya..
Unki aankhon se kaise chhalakne laga..
Mere hoton pe yoon majra rah gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya..
Aise bichhde sabhi raat ke mod par..
Aise bichhde sabhi raat ke mod par..
Aakhri hum safar rasta rah gaya....
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya.....
Soch kar aao hue tamanna yahi..
janeman jo yanha rah gaya, rah gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
Kya kahoon or kehne ko kya reh gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya..
Unki aankhon se kaise chhalakne laga..
Mere hoton pe yoon majra rah gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya..
Aise bichhde sabhi raat ke mod par..
Aise bichhde sabhi raat ke mod par..
Aakhri hum safar rasta rah gaya....
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya.....
Soch kar aao hue tamanna yahi..
janeman jo yanha rah gaya, rah gaya..
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sponored Video