Sms / Ghazal
Ijunoon
Wafa Ruswa Nahi Karna
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hun
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye tou
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Bharosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar tou muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje aadha nahi karna
suno aisa soocha nahi kerna.
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hun
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye tou
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Bharosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar tou muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje aadha nahi karna
suno aisa soocha nahi kerna.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Baaton Baaton Mein Bicharney Ka Ishara Karkey
Baaton baaton mein bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Tanhai Ishara
Sms / Ghazal
Ijunoon
Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun khel k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil iss tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Iss tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro para
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun khel k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil iss tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Iss tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro para
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Aik Dia Dil Main Jalana Bhi
Aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roz, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat iss ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon tou palatnay ki dua bhi karna,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai tou yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
Yaad karna bhi usey roz, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat iss ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon tou palatnay ki dua bhi karna,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai tou yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton mein dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley tou insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney churaya hai mujh se haath na pooch
Iss tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai tou sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
dil se nikli hui honton mein dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley tou insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney churaya hai mujh se haath na pooch
Iss tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai tou sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Kantoon Si Chubhti Hai Tanhai
Kantoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar iss se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar iss se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Tanhai
Sms / Ghazal
Ijunoon
Sar Jhukaaoge Tou Patthar Devtaa Ho Jaayega
Sar Jhukaaoge Tou Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega
Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera Tou Koi Doosra Ho Jaayega
Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega
Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega
Rooth Jaana Tou Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega.

Tags: Mohabbat Khuda
Sms / Ghazal
Ijunoon
Tere Qareb Aa Kay Bari Uljhano Main Hon,
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi tou roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi tou roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Ijunoon
Kabhi Waqt Miley Tou Aajao
Kabhi waqt miley tou aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,
Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,
Hum pyar ki khushbo mehkayen,
In bikhray sabz nazaron ko,
Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,
Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milay tou ajao
Hum jheel kinare ja baithen
Ham jheel kinare ja baithen,
Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,
Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,
Hum pyar ki khushbo mehkayen,
In bikhray sabz nazaron ko,
Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,
Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milay tou ajao
Hum jheel kinare ja baithen
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Waqt
Sponored Video