Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi
Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi
Har Lamha Meri Mushkilon Ko Barhaati Rahi
Jeene Ko To Main Yoon Hi Zindagi Jeeta Raha
Main Saans Leta Raha, Woh Karam Farmaati Rahi
Musibaton Ka Hans Kar Maine Saamna Jo Kiya
Woh Mujhpar Aur Bhi Musibatein Dhaati Rahi
Main Uski Nawazishon Par Muskuraata Raha
Aur Woh Tanzia Mujhpar Muskuraati Rahi
Zindagi Jeene Ka Salika Na Aaya Mujhe
Shayed Isi Liye Woh Mujhe Sataati Rahi
Ab To Baaki Na Rahi Kisi Cheez Ki Talab
Des Pardais Woh Mujhe Itna Phiraati Rahi
Kisko Rafeeq Samjhoon Aur Kisko Raqeeb
Apni Parchai Se Bhi Mujhe Daraati Rahi
Bhari Mehfil Mein Khud Ko Mehsoos Kiya Tanha
Mujhe Har Lamha Yeh Kiski Yaad Dilaati Rahi

·
1 Like ·
Sep 02, 2016 at 05:09
Category: sad
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Zindagi Ek One Way Release Date
·
0 Like ·
Aug 31, 2016 at 18:08
Category: when
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Jab Bhi Teri Bazm Mein Laati Hai Humein
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
ye zameen chaand se behtar nazar aati hai humein
surkh phooloun se mehak uthti hain dil ki raahein
din dhale yoon teri aawaaz bulati hai humein
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
raat ke pichhle pehar roz jagaati hai humein
har mulaaqat ka anjaam judaai kyun hai
ab to har waqt yahi baat sataati hai hamein.

Aug 30, 2016 at 02:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...

2 Like ·
Aug 29, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaash Hum Khul K Zindagi Kartay
Kaash Hum Khul K Zindagi Kartay
Umer Guzri Hai Khud-Kushi Kartay !!
Bijliyaan Is Taraf Nahi Aain
Werna Hum Gher Main Roshni Kartay
Koon Dushman Teri Chahat Ka Tha ?
Or Hum Kis Say Dosti Kartay ?
Bujh Gay Kitnay Chaand Say Chehray
Dil K Sehra Main Chandni Kartay
Ishq Ujrat Talab Na Tha Werna
Hum Teray Der Pay Nokri Kartay
Is Tamana Main Ho Gay Ruswa
Hum Bhe Jee Bher K Aashqi Kartay
Husn Us Ka Na Khul Saka MOHSIN
Thak Gay Loog Shairi Kartay......
Umer Guzri Hai Khud-Kushi Kartay !!
Bijliyaan Is Taraf Nahi Aain
Werna Hum Gher Main Roshni Kartay
Koon Dushman Teri Chahat Ka Tha ?
Or Hum Kis Say Dosti Kartay ?
Bujh Gay Kitnay Chaand Say Chehray
Dil K Sehra Main Chandni Kartay
Ishq Ujrat Talab Na Tha Werna
Hum Teray Der Pay Nokri Kartay
Is Tamana Main Ho Gay Ruswa
Hum Bhe Jee Bher K Aashqi Kartay
Husn Us Ka Na Khul Saka MOHSIN
Thak Gay Loog Shairi Kartay......
·
2 Like ·
Aug 27, 2016 at 22:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bari Pur Sakoon Thi Zindagi
Bari Pur Sakoon Thi Zindagi, Naya Derd Kis Nay Jaga Dia
Kisi Bay Niyaz Nigah Nay, Meri Wehshatoun Ko Barha Dia
Meray Kamsukhan Ka Yea Hukm Tha, Kay Kalam Us Say Main Kam Karoun
Meray Hoont Aesay Silay Ke Phir, Meri Chup Nay Us Ko Rula Dia
Mujhy Apnay Ishq Pay Naaz Tha, Magar Us Kay Qool Ka Pass Tha
Meray Chara Saaz Bhi Roo Peray, Wo Kamal-E-Zabt Dekha Dia
Usay Sheer Sunnay Ka Zooq Tha, Mujhy Arze-E-Haal Ka Shooq Tha
Ise Zooq-O-Shooq Main Aik Din, Usay Dil Ka Haal Suna Dia
Wo Nigah Kasi Nigah Thi, Yea Gureez Kesa Gureez Hay
Mujhy Dekh K Bhi Na Dekhna, Is Ada Nay Raaz Bata Dia
Kisi Naam Say Kisi Yaad Say, Meri Dil Ki Bazm Saji Rahi
Kabhi Yea Charaagh Jala Dia, Kabhi Wo Charaagh Jala Dia

Aug 24, 2016 at 01:08
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Mazhabi Afraad Zindagi Ko Masbat Andaz Me Daikhte Hain
امریکہ میں ہونے والی ایک تحقیق سے پتا چلا ہے کہ وہ لوگ جو باقاعدگی سے مذہبی عبادات میں شرکت کرتے ہیں وہ غیر مذہبی لوگوں کے مقابلے میں زندگی کو زیادہ مثبت انداز میں دیکھتے ہیں اور ان میں یاسیت کا رجحان...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 22, 2016 at 23:08
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Se Yahi Gila Hy Muje
Zindagi Se Yahi Gila Hy Muje,
To Boht Der Se Mila Hy Muje,
Hamsafar Chahiye Hujoom Nahi,
Ik Musafir B Qafla Hy Muje,
To Mohabt Se Koi Chaal Tu Chal,
Har Jane Ka Hosla Hy Muje.
To Boht Der Se Mila Hy Muje,
Hamsafar Chahiye Hujoom Nahi,
Ik Musafir B Qafla Hy Muje,
To Mohabt Se Koi Chaal Tu Chal,
Har Jane Ka Hosla Hy Muje.
·
3 Like ·
Aug 21, 2016 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghooNghaT ko uThaaye gaa sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
roye gi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

Jul 23, 2016 at 22:07
Category: sad
Sponored Video