Search
Poetry / Sad
Waqt aaraha hai ab judai ka,
nata hoga khatam ab shanasai ka,
beetay din gaye mausam say beet gaye,
safar hoga shuroo ab tanhai ka,
bhool ker bhi tujh ko bhulana na chaheingay,
janay wo wafa ka hoga sisila ya bewafai ka,
tumhara hamara nata jo bun na saka to kiya,
jo bundhan bun gaya so wo bhi hai sachai ka,
tumhari muskurahaton ko palkon per sajaliya hum nay,
sabab wohi bun gaya apni ruswai ka,
jis ka naam ashkon say likha dil pay Aamir,
ussay to rishta tha bus judai ka....,
Muzammil Shahzad
Waqt Aaraha Hai Ab Judai Ka

·
1 Like ·
Jun 01, 2016 at 21:06
Category: sad
Social Wall / Text
Sehar Saeed
Har Cheez Apnay Waqt Pe Achi Lagti Hai
har cheez apnay waqt pe achi lagti hai
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
·
0 Like ·
May 26, 2016 at 18:05
Category: text
Advertisement
Poetry / Love
Mohammad Asif
Waqt Ban Jata Hai Har Zakhm Ka Marham Khud Se
Aag kuch dair main ho jayegi madhum khud se
waqt ban jata hai har zakhm ka marham khud se
hum jo ashkon se na seerab karenge isko
khatm ho jayega ik roz tera ghum khud se
Aihl-e-gulzaar ka dakhal is main nahi hai koi
waqt aane pe badal jaate hain mausam khud se
din ba din hum ko zameen khenchey hai apni jaanib
warna karta hai bhala kon kamar kham khud se
un ko sab naam sikhaye thay Khuda ne warna
saahib-e-ilm na thay hazrat-e-Adam khud se
Abd ye waqt nahi hum se giley shikwey ka
mat humen cherr...! ke hum bethe hain barhum khud se,

May 07, 2016 at 09:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Waqt E Safar Qareeb Hai
Waqt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samait Loon.
Bikhra Hua Hayat Ka Daftar Samait Loon.
Phir Jany Hum Milen Na Milen, Zara Ruko!
Main Dil K Aainy Mein Ye Manzar Samait Loon.
Ghairon Ne Jo Sulook Kiye Unka Kiya Gila,
Phainky Hen Doston Ne Jo Wo Pathar Samait Loon.
AJMAL Bharak Rahi Hai Zamany Mein Jitni Aag,,
Ji Chahta Hai Seeny K Andar Samet Loon..,

Apr 08, 2016 at 08:04
Category: sad
Social Wall / Photos
Dawood Ali
Kia Waqt Hai Zindagi Moat Se Sasti Hui Hai
·
0 Like ·
Mar 28, 2016 at 11:03
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Woh Waqt Tha Aisa K Judai Zaroori Thi
Woh Waqt Tha Aisa K Judai Zaroori Thi,
Muhabbat Ki Zanjeeron Se Rihayi Zaroori Thi,
Rasam-e-Muhabbat Nibhayi Phir Bhi Ilzaam Mila,
Is Liye Muhabbat Mein Thori Bewafayi Zaroori Thi,
Bheer Mein Reh Kar Bhi Akelay Hi Rahay Hum,
Zindagi Mein Humari Tanhayi Zaroori Thi,
Hemesha Hum Hi Kyun Saza Payein,
Uskay Liye Bhi Thori Ruswayi Zaroori Thi,
Ek Ek Lafz Dhoond Kar Hum Ne Mukammal Ki Thi,
Par Humari Kahani Aj Bhi Kal Bhi Audhori Thi.....!!!!

Mar 20, 2016 at 11:03
Category: sad
Social Wall / Photos
Aftab Ahmed
Eik Shakhs Ki Marte Waqt Wasihat.
·
0 Like ·
Mar 20, 2016 at 11:03
Category: photos
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Qatl Ke' Waqt Baa Wazoo Hum The'
Tere' maqtal ki aabroo hum the'
Qatl ke' waqt baa wazoo hum the'
Ye' nadii ab kise' bulaati hai?
Pahle' to is ki justajoo hum the'
Apni basti ko yaad hai ke' nahin
Us ki galiyon ki hao hoo hum the'
Apne' kaam aa gaii wo mahroomi
Pyaas ke' din kinaar-e-joo hum the'
Apne' kuch khwaab yaad aane' lage'
Raat maazi ke' roo ba'roo hum the'
Qatl ke' waqt baa wazoo hum the'
Ye' nadii ab kise' bulaati hai?
Pahle' to is ki justajoo hum the'
Apni basti ko yaad hai ke' nahin
Us ki galiyon ki hao hoo hum the'
Apne' kaam aa gaii wo mahroomi
Pyaas ke' din kinaar-e-joo hum the'
Apne' kuch khwaab yaad aane' lage'
Raat maazi ke' roo ba'roo hum the'
·
1 Like ·
Mar 03, 2016 at 04:03
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bichartay Waqt
Bicharty Waqt Us Ne Kha Tha
Na Swal Karna Na Jawab Mily Ga
Mujhy Bhool Jana Qarar Mily Ga
Hum Us Maqam Par Thy
Na Swal Kia Na Jawab Mila
Na Bhool Saky Na Qarar Mila.
Na Swal Karna Na Jawab Mily Ga
Mujhy Bhool Jana Qarar Mily Ga
Hum Us Maqam Par Thy
Na Swal Kia Na Jawab Mila
Na Bhool Saky Na Qarar Mila.
·
1 Like ·
Dec 04, 2015 at 22:12
Category: sad
Sponored Video