Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Abhi Waqt Hai Mujhy Chorr Ja
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA…
Abi Maslehat Ka Muqam hai
Abi Qafiloon Ka Qayaam hai
Abi Dastras men hai Zindagi
Abi Chashm-e-Num mein hai Roshni
Abi Naqsh-e-Paa Ko Sabaat hai
Abi Kuch He Dair Ki Baat hai
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Abi Gard Rah Se Urri Nhi
Abi Kirchiyon me Battay Nhi
Abi Hr Nazara Haseen hai
Abi Subh-e-No Ka Yaqeen hai
Abi Hum Kinaron Pe Hen Kharay
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Yeh Safar Nhi Azaab hai
Yahan Hr Qadam Pe Saraab hai
Yahan Bad Gumani Ka Raaj hai
Yahan Be-Wafai Rivaj hai
Abi Hosh Khony K Din Nhi
Abi Tery Ronay K Din Nhi
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Abi Sari Nagri Andher hai
Abi Din Nikalnay main Dair hai
Abi Behr-e-Ishq men Na Utar
Abi Sheher Sara hai Be-Khabar
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Abi Maslehat Ka Muqam hai
Abi Qafiloon Ka Qayaam hai
Abi Dastras men hai Zindagi
Abi Chashm-e-Num mein hai Roshni
Abi Naqsh-e-Paa Ko Sabaat hai
Abi Kuch He Dair Ki Baat hai
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Abi Gard Rah Se Urri Nhi
Abi Kirchiyon me Battay Nhi
Abi Hr Nazara Haseen hai
Abi Subh-e-No Ka Yaqeen hai
Abi Hum Kinaron Pe Hen Kharay
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Yeh Safar Nhi Azaab hai
Yahan Hr Qadam Pe Saraab hai
Yahan Bad Gumani Ka Raaj hai
Yahan Be-Wafai Rivaj hai
Abi Hosh Khony K Din Nhi
Abi Tery Ronay K Din Nhi
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
Abi Sari Nagri Andher hai
Abi Din Nikalnay main Dair hai
Abi Behr-e-Ishq men Na Utar
Abi Sheher Sara hai Be-Khabar
ABHI WAQT HAI MUJHY CHORR JA
·
1 Like ·
Apr 06, 2017 at 07:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Waqt Ki Taiz Rawi Dekh Ke Deer Jatey Hain
Waqt ki taiz rawi dekh ke deer jatey hain
Log jetey hain kuch is tarah ke mar jatey hain
Zindagaani teri azmat ko badhane wale
Muskuratay hue maqtal se guzar jatey hain
Bazm e yaraan ho ke dasht e shab e tanhai ho
Zakhm bharne pe jab atey hain to bhar jatey hain
Yeh shab o roz bhi auraq e pareshan ki tarah
Baar ha waqt ki aandhi main bikhar jatey hain
Kitni yaadon se ulajhti hai meri tanhai
Kitne toofaan mere sar se guzar jatey hain
Door reh ker bhi kabhi shikwa e doori na raha
Aap hi aap hain jis simt jidhar jatey hain
Waqt nasaaz hai behtar hai ke ab lout chalain
Shaam hote hi parindey bhi to ghar jatey hain

Feb 21, 2017 at 08:02
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hama Waqt Ranj O Malaal Kia , Jo Guzar Gaya So Guzar Gia
Hama Waqt Ranj o Malaal Kia , Jo Guzar Gaya So Guzar Gia
Usay Yaad Kar Kay Na Dil Dukha , Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Na Gila Kia Na Khafa Howay, Yon Hi Raastey Main Juda Howay
Na Tu Be Wafa Na Main Be Wafa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Woh Ghazal Ki Ak Kitaab Tha, Woh Gulon Main Ak Gulaab Tha
Zara Dair Ka Koii Khwaab Tha, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Mujhay Pth Jharon Ki Kahaniyan, Na Suna Suna Kar Udaas Kar
Tu Khizan Ka Phool Hay Muskura Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Woh Udaas Dhoop Samait Kar, Kahin Wadiyon Main Utar Chuka
Usay Ub Na Dey Meray Dil Sada, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Yeh Safar Bhi Kitna Taweel Hay, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hay
Kaha Lout Kar Koii Aaye Ga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Wafaein Theen Keh Jafaien Theen, Yeh Na Soch Kis Ki Khataien Theen
Wo Tera Hay Us Ko Galay Laga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Tujhey Aitbar o Yaqeen Nahi, Nahin Dunya Itni Buri Nahi
Na Malaal Kar Meray Saath Aa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

2 Like ·
Feb 02, 2017 at 16:02
Category: sad
Poetry / Sad
Waqt Aaj Ye Kis Muqaam Par Le Aaya Hai
Waqt Aaj Ye Kis MuqaaM Par Le Aaya Hai
Mujhe Apno Ne Hi Kyon Begana Banaya Hai
Dikhta Nahi Hai Yahan Ab Apna Sa Kyon Koi
Ek Sannata Sa Rishton Ke DarMiyaan Aaya Hai
Dikhta Hai GaM Hi GaM Charon Taraf
MasooM Sa Mera Dil Apne ZakhMon Ko Dikhane Se Ghabraya Hai
Saath Chal Ke Chaar KadaM Chhod Diya Apno Ne
Mere Apno Ko Shayad Gairon Ne Behkaya Hai
Dard Aaj Phir Chhalak Pada Hai Aankhon Se PaiMane Ki Tarah
Aaj Phir Ye Dil Ko Kaunsa Hadsa Yaad Aaya Hai
SaMne The HuM Ke Bhool Chuke Hai Sab Kuch
Par Aaj Bhi Kyon Unke NaaMko Apne Dilki Dhadkano Mein Paya Hai

Nov 23, 2016 at 21:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Main…
Par Ik Hansi Ke Liye Waqt Nahi…
Din Raat Daurti Duniya Main…
Zindagi K Liye Hi Waqt Nahi…
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai…
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi…
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke…
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi…
Sare Naam Mobile Mein Hain…
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi…
Gairon Ki Kya Baat Kahain…
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Aankhon Main Hai Neend Bharee..
Par Sone K Liye Waqt Nahi…
Dil Hai Gamon Se Bhara Howa…
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi…
Paison Ki Daurr Mein Aise Daure…
K Thakne Ko Bhi Waqt Nahi…
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karain…
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Tu Hi Bata Ae Zindagi…
Is Zindagi Ka Kya Hoga…
K Har Pal Marne Walon Ko…
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……!!!
Par Ik Hansi Ke Liye Waqt Nahi…
Din Raat Daurti Duniya Main…
Zindagi K Liye Hi Waqt Nahi…
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai…
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi…
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke…
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi…
Sare Naam Mobile Mein Hain…
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi…
Gairon Ki Kya Baat Kahain…
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Aankhon Main Hai Neend Bharee..
Par Sone K Liye Waqt Nahi…
Dil Hai Gamon Se Bhara Howa…
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi…
Paison Ki Daurr Mein Aise Daure…
K Thakne Ko Bhi Waqt Nahi…
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karain…
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi…
Tu Hi Bata Ae Zindagi…
Is Zindagi Ka Kya Hoga…
K Har Pal Marne Walon Ko…
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi……!!!
·
3 Like ·
Sep 25, 2016 at 12:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Waqt Apni Rawani Main Dhlta Raha
Waqt Apni Rawani Main Dhlta Raha
Main Tanha Tha, Tanha Hi Chalta Raha
Kabhi Hansta Tha Apne Naseebon Peh Main,
Kabhi Andar Hi Andar Main Jalta Raha
Kahin Shikway Mile Or Kahin Thokrain
Chouten Aesi Lagin K Sanbhalta Raha.
Us Ko Paanay Ki Khatir To Sab Kuch Kiya,
Wohi Sungdil Tha, Rasty Badalta Raha..

Sep 17, 2016 at 09:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Masrof Hain Wo Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
Masrof hain wo din raat unhain waqt kahan hai.
Wo hm se krain bat unhain waqt kahan hai.
Betabi-e-dil ka unhain andaza kahan.
Wo samjhain mera jazbat unhain waqt kahan hai.
Bholay se he wo pochne a jaein mera haal.
Aaa gardish-e-halaat unhain waqt kahan hai.
Es dil main sulagty howa sholon ko wo dakhain.
Aaa waqt-e-mulaqat unhain waqt kahan.
Moujoon main tarapta hwa main doob raha houn
Thaamen wo mera hath unhein waqt kahan hai.

Jul 29, 2016 at 02:07
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Mouzou Taskhees Or Bar Waqt Ilaj Dipression Se Nijat
جرمنی کی آٹھ کروڑ بیس لاکھ کی آبادی میں سے چالیس لاکھ کے قریب ڈپریشن کے مرض میں مبتلا ہیں مگر ان میں سے صرف معمولی تعداد کی ضروری علاج تک رسائی ہے۔
ماہرین کا کہنا ہے کہ اگرچہ اس مرض کے نتیجے میں...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jul 16, 2016 at 16:07
Category: health
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Waqt Aaj Ye Kis Muqaam Par Le Aaya Hai
Waqt Aaj Ye Kis MuqaaM Par Le Aaya Hai,
Mujhe Apno Ne Hi Kyon Begana Banaya Hai,
Dikhta Nahi Hai Yahan Ab Apna Sa Kyon Koi,
Ek Sannata Sa Rishton Ke DarMiyaan Aaya Hai,
Dikhta Hai GaM Hi GaM Charon Taraf,
MasooM Sa Mera Dil Apne ZakhMon Ko Dikhane Se Ghabraya Hai,
Saath Chal Ke Char KadaM Chhod Diya Apno Ne,
Mere Apno Ko Shayad Gairon Ne Behkaya Hai,
Dard Aaj Phir Chhalak Pada Hai Aankhon Se PaiMane Ki Tarah,
Aaj Phir Ye Dil Ko Kaunsa Haadsaa Yaad Aaya Hai,
SaMne The HuM Ke Bhool Chuke Hai Sab Kuch,
Par Aaj Bhi Kyon Unke NaaMko Apne Dilki Dhadkano Mein Paya Hai...,

Jun 15, 2016 at 01:06
Category: sad
Sponored Video