Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Khushi Apnay Chehray Say Chupaoon Kaise
Apni Khushi Apnay Chehray say chupaoon Kaise
Apnay Dil Pagal ko ab main samjhaon Kaisey
tum say mil kar ajab sa haal hoo gaya hai.. bataon kaise
neend ankhon main hai na chain dil ko hai.. bataon kaise
rooz khud say larti hoon tanhai main
jis kay leye larti hoo usay yeh baat bataon kaisey
apnay dil pey kabu hai na apnay jazbaat peh
per samnay usko apnay dil ki baat bataon kaisey
Mohabbat main yeh dil pal bhar main fana hoo jatey hain
baat uski hai.. usay samjhaoon kaisey
Apni tadap apni khwahishon ko kab talak dabao gi
yehi pyar karney ki gadhi hai usay samjhaoon kaisey
main apni sharm-o-Haya ki qaid main paband kab tak rahoon gi
Bali umar ka Ishq hai yeh.. usay samjhaoon kaisey

·
2 Like ·
Aug 09, 2016 at 10:08
Category: sad
Poetry / Sad
Azaab Dar Badri Say Nekalna Chahatay Hain
Azaab Dar Badri Say Nekalna Chahatay Hain
Ab Us Kay Khema -e- Khushboo Main Rehna Chahatay Hain
Sada -e- Gul Ki Tarah , Moj -e- Saba Ki Tarah
Teri Gali Say Kese Din Guzarna Chahatay Hain
Talash -e- Rizq Main Bhatki Hoi Thakaan Kay Baad
Parinday Apnay Gharon Ko Palatna Chahatay Hain
Humay Na Dekh Zamanay Ki Gard Aankhon Say
Tujhay Khaber Nahi Hum Tujh Ko Kitna Chahatay Hain
Wafa Hay Shart Tu Phir Apnay Darmiyan Ab Bhi
Yeh Log Kis Liye Deewaar Rakhna Chahatay Hain
Ameer -e- Shaher Salamat , Masahibaan Smait
Hum Ahal -e- Saber Unsay Mukarna Chahatay Hain

Aug 07, 2016 at 09:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
·
2 Like ·
Aug 07, 2016 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kal Gurayzaan Jo Wo Tajdeed e Mulaqat Say Tha
Kal Gurayzaan Jo Wo Tajdeed -e- Mulaqat Say Tha
Ranj Us Shaks Ko Janay Meri Kis Baat Say Tha
Ab Ager Yaad Bhi Karta Hoon Tu Kaanp Uthata Hoon
Kis Qadar Rabt Mujhay Us Ki inayaat Say Tha
Khud Mujhay Hosala -e- Arz -e- Tamanna Na Howa !!
Wo Tu Aagah Wager Na Meray Jazbaat Say Tha
Tum Hi Kuch Shikwa Kunah , Gardish -e- Doraan Say Na Thay
Kuch Gila Mujh Ko Bhi Be Mori -e- Halaat Say Tha
Na Aashana Ki Tarah Aaj Jo Milta Hay Mujhay
Ak Taluq Sa Kabhi Us Ko Meri Zaat Say Tha

Jul 24, 2016 at 13:07
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Duniya Ka Sab Say Mehanga Makaan Khaali
بھارت کے سب سے امیر آدمی اور ریلائنس انڈسٹریز کے سربراہ مکیش امبانی نے حال ہی میں دنیا کا سب سے مہنگا مکان بنایا تھا لیکن خبر ہے کہ اب تک وہ یا ان کا خاندان اس میں نہیں رہتا، کیونکہ ’واستو شاستر‘ کے ح...
مزید پڑھیں
·
2 Like ·
Jul 22, 2016 at 05:07
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saath Jab Say Tumhara Nahi Hai
SAATH JAB SAY TUMHARA NAHI HAI
CHAND KAY PASS TARA NAHI HAI
ISHQ KARNA TU YEH SOOCH LAYNA
ISS NADYEE KA KEENARA NAHI HAI
URRAH GAYE NEENAD AANKHON SAY
YEAH KAH KAR
YEH EELAQA HUMARA NAHI HAI
DEKH RAKHEE HAI MAIN NAY YEH DUNIYA
PYAAR SAY KUCH BHI PYAARA NAHI HAI ,
CHAND KAY PASS TARA NAHI HAI
ISHQ KARNA TU YEH SOOCH LAYNA
ISS NADYEE KA KEENARA NAHI HAI
URRAH GAYE NEENAD AANKHON SAY
YEAH KAH KAR
YEH EELAQA HUMARA NAHI HAI
DEKH RAKHEE HAI MAIN NAY YEH DUNIYA
PYAAR SAY KUCH BHI PYAARA NAHI HAI ,
·
1 Like ·
Jun 02, 2016 at 20:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay Say
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay Hain
Nahi Hota Asar Enn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say
Dil e Betab Main Surat Teri Esi Sajaee Hay
Kabhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay Mitanay Say
Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa Magaar
Nahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say
Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi Tanha Hoon
Nahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say,

May 30, 2016 at 08:05
Category: sad
Poetry / Sad
Mohammad Asif
Jab Uss Kay Dar Say Mein Utha Malal Koi Na Tha
JAB USS KAY DAR SAY MEIN UTHA MALAL KOI NA THA
KAY MERI JHOLI MEIN BAQI SAWAL KOI NA THA
BAHAR AAI TOU APNAY SIWAYE ZANDAAN KAY
TAMMAM SHEHAR MEIN PERISHAAN HAAL KOI NA THA
KAHAN SAY LAA KAY BICHAIN TUMHARI RAH MEIN PHOOL
KAY DAAL DAAL TOU KIYA KHAAL KHAAL KOI NA THA
WOH DIN HI THEEK THAY JUB DIL MAIN RUTH BADALNAY KA
GUMAAN O KHUWAB YAQEEN O KHNAYAL KOI NA THA
YAQEEN KAR KAY TERI AANKH UTHNAY SAY PEHLAY
MERI NIGAH KAY SHISHAY MEIN JAAL KOI NA THA
HOWA JO YUN TOU YEH KHOOBI TERAY HUNAR KI THI
MERI WAFAOON MEIN MERA KAMAAL KOI NA THA,

May 08, 2016 at 06:05
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Izzaton Say Barh Ker Tou Aur Kuch Nahee Hota
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaon jin mein jakrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!,

May 06, 2016 at 21:05
Category: general
Sponored Video