Search
Poetry / Love
Moona Malik
Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Yeh Safar
·
6 Like ·
Mar 18, 2018 at 08:03
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Ek Khuwab Safar Mai Rehta Hai
ik naam ki urti khushbu mein ik khawab safar mein rehta hai
ik bastii ankhen malti hai ik shehar nazar mein rehta hai
kya ehl-e hunar, kya ehley Sharf sab tukre raddi kaghaz ke
is daur mein hai woh shakhs bara jo roz khabar mein rehta hai
pani mein roz bahata hai ik shakhs diye umeedon ke
aur aglay din tak phir un ke hamrah bhanwar mein rehta hai
ik khuwab-e hunar ki aahat se kya aag lahoo mein jalti hai
kya lehar si dil mein chalti hai! kya nasha sir mein rehta hai
jo pairr pay likhi jati hai jo giili rait se bantaa hai
kon uss tehreer ka waris hai! kon aisay ghar mein rehta hai !
har shaam sulagti aankhon ko deewar mein chuun kar jati hai
har khawab, shikasta honay tak zanjeer-e sehar mein rehta hai
yeh shehar katha bhi hai amjad ik qissa sotay jagtay ka
hum dekhen jis kirdaar ko bhi jadu ke assar mein rehta hai

1 Like ·
Mar 14, 2018 at 09:03
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Kashif Yaqoob
Safar E Wafa Ki Raah Me Manzil
Safar-E-Wafa ki raah me manzil jafa ki thi.
Kaghaz ka ghar bana k bhi
Khawahish hawa ki thi.
Thi jugnuon k shehar mein
Taroon sy
dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana sub'ha ki thi.
Tumne to ibadt ka tamasha bana dia,
Chahat namaaz ki thi per aadat qaza ki thi.
Main ne to zindgi ko teray naam likha tha,
Shayed magar kuch aur hi marzi khuda ki thi.
Dard he dena tha to pehly bata dety,
Hum ko bhe azal se he tamana saza ki thi.

Mar 09, 2018 at 08:03
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Shahbaz Ishaq
Train Me 2 Admi Safar Kar Rahe The
Train me 2 admi safar kar rahe the.
1st: kahan se arahe ho?
2nd: Lahore se
1st: wahan se to me b araha hun.Lahore me kahan se arahe ho?
2sd: Iqbal town
1st: wahan se to me b araha hun ye batao Iqbal town me kahan se arahe ho?
2nd: phase 2 se
1st: wahan se to me b araha hon ye batao phase 2 se kis k ghar se arahe ho?
2nd: UMER sahab k ghar se
1st: wahan say to me bhi araha hun acha ye batao kahan ja rahe ho?
Aas paas kay musafiron ne tang aa kay kaha akhir tum dono ho kon?
dono aadmi: hum dono bhai hein or time pass kar rahe hein.
Hahahahaha..!

Feb 09, 2018 at 00:02
Category: miscellaneous
Poetry / General
Ijunoon
Ehwaal Ek Safar Ka
Ajnabhi sabza zaroon main
Had nazar tak banfasha k phool
Ajnabhi toh na they, na hain
Woh toh rah e safar k ujaley bi they
Hamsafar bhi lage
Daastaneen sunate bhi they
Aur sunte bhi they
Ab k mosam tumeen yaad kartey rahey
Aur main chup rahi !
Had nazar tak banfasha k phool
Ajnabhi toh na they, na hain
Woh toh rah e safar k ujaley bi they
Hamsafar bhi lage
Daastaneen sunate bhi they
Aur sunte bhi they
Ab k mosam tumeen yaad kartey rahey
Aur main chup rahi !
·
1 Like ·
Jan 25, 2018 at 02:01
Category: general
Poetry / 24
Safar E Manzil E Shab Yad Nahi
safar-e-manzil-e-shab yad nahi
log rukhsat huye kab yad nahi
dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo sitara thi ke shabnam thi ke phool
ik surat thi ajab yad nahi
aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad hai sair-e-charagan Nasir
diye k bujhnay ka sabab yad nahi...!
log rukhsat huye kab yad nahi
dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo sitara thi ke shabnam thi ke phool
ik surat thi ajab yad nahi
aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad hai sair-e-charagan Nasir
diye k bujhnay ka sabab yad nahi...!
·
1 Like ·
Nov 18, 2017 at 17:11
Category: 24
Articles / Featured
Ijunoon
Awaz Se Chay Guna Taiz Raftar Se Safar Ka Tajarba
ہائپرسونک جیٹ ’ویو رائیڈر‘ کے آواز کی رفتار سے چھ گنا زیادہ رفتار سے سفر کرنے کا تجربہ بحرالکاہل کے اوپر کیا جا رہا ہے۔
’میک چھ‘ یا چار ہزار تین سو میل فی گھنٹہ سے زیادہ کی رفتار سے لندن سے نیویارک...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 30, 2017 at 05:10
Category: featured
Poetry / Humorous
Roze Karta Hoon Naya Aik Safar Yahoo Per
Zindagi Honay Lagi Jub Say Basar Yahoo Per
Roze Karta Hoon Naya Aik Safar Yahoo Per
Shaam Takk Rehti Hai Jaari Tug O Dou Rozi Ki
Aur Phir Raat Say Hoti Hai Sahar Yahoo Per
Faaslay Abb Kahan Haayal Rahay Insaanon Mein
Kar Hi Laitay Hain Mulaaqat Magar Yahoo Per
Ilm Ka Aik Samandar Hai Pyaason Kay Liay
Dekh Nadaan Koi Ilzaam Na Dhar Yahoo Per
Sirf Dunya Hi Naheen Door Khalaaon Tak Kee
Dhoondnay Waalon Ko Milti Hai Khabar Yahoo Per
Yeh Alag Baat Ke Awargi Bhi Hai Bohat
Pakray Jaanay Ka Bhee Koi Naheen Darr Yahoo Per
Aisa Lagta Hai Ke Guzray Ga Burhaapa Kuch Yoon
Dhyaan Mazay Mein Kaheen Gum Tau Nazar Yahoo Per...!

Oct 24, 2017 at 11:10
Category: humorous
Sponored Video