Search
Poetry / Love
Main Logon Sey Mulaqaton K Lamhey Yaad Rakhta Hoon
MaiN logoN sey mulaqatoN k lamhey yaad rakhta hooN
MaiN baateN bhool bhi jaooN to lehjay yaad rakhta hooN
Sar-e-mehfil nigaheN mujh pey jin logoN ki paRti haiN
NigahoN k hawaley sey woh chehrey yaad rakhta hooN
Zara sa huT k chalta hooN zamaney ki riwayat sey
K jin pey bojh maiN Dalo woh kandhay yaad rakhta hooN...!

·
1 Like ·
Dec 18, 2017 at 15:12
Category: love
Poetry / Love
Ajab Mausam Hai Meray Her Kadam Pe Phool Rakhta Hai
Ajab mausam hai meray her kadam pe phool rakhta hai,
Muhabbat main muhabbat ka farishta saath chalta hai.
Her aansoo main koi tasveer aksar jhilmilati hai
Tumeh aankhen batayen gi diyon main kaun jalta hai.
Main jab so jaaon in aankhon pe hath rakh dena
Yaqin aajaye ga palkon tale bhi dil dharkta hai.
Bahut se kaam ruk jaate hain, main bahar nahin jaata,
Tumahri yaad ka lamha kahan tallay se talta hai.
Muhabbat gam ki baarish hai zamin sarsabz hoti hai,
Bahut se phool khilte hain jahan baadal barasta hai....!

Dec 17, 2017 at 08:12
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Tu Mujh Ko Panay Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad
Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye
Tanha Hai Mera Haath Tera haath Chahiye
Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy
Tuj ko Bhi Mere Lafz Meri baat Chahiye
Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun
Mujh Ko Teri tareef,Teri daad Chahiye
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai Lekin
Junoon-E-Ishq Ko Teri Har soughat Chahiye
Tu Mujh Ko Panay Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad
Lekin Mujhy Jeenay K Liye Teri Hi zaat Chahiye....

Aug 24, 2017 at 16:08
Category: love
Poetry / Sad
Kon Weraan Makano Ki Khabar Rakhta Hai
Shab-e-hijraan ki Aziyat ki khabar kis ko hai
Meri gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai
Kis ko Ahsass meri shidat-e-jazbaat ka hai
Meri halaat meri wehshat ki khabar kis ko hai
Kon weraan makano ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai
Main nay chup chap muhabbat k sitam jhailay hain
Meri es darja sharafat ki khabar kis ko hai
Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay..
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hain.....!

Aug 14, 2017 at 10:08
Category: sad
Poetry / Love
Wo Apne Chehre Me Bla Ka Nikhaar Rakhta Hay
Wo pari pekar husan o jamal me kuch esa kamal rakhta hai
K chand chura k roshni us k chehre ki snbhal rakhta hai
Maana k mehak chaman ki bohat khush numa hay lekin
Wo phol rang bhi to khushbu kamal rakhta hai
Me us ko dekhon to nazar thehar jati hay
Wo apne chehre me bla ka nikhaar rakhta hay
Me kia kahon us pe k alfaz kam numa hen mere
Fakat itna hi kehta hon k wo gazab ka jamal rakhta hay
Us k honton se sunnay ko tarasta tha kabhi
Wohi naam mera ab vo vird-e-zuban rakhta hay

Jul 06, 2017 at 10:07
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Labon Pe Hansi Ankhon Main Sawal Rakhta Tha
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
·
1 Like ·
Dec 30, 2016 at 09:12
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Ananaas Ka Baqida Istamal Motapay Se Mahfooz Rakhta Hay
انناس ایک ایسا پھل ہے جو اپنے اندر بے انتہا قوت و افادیت رکھتا ہے۔ طبی ماہرین کا کہنا ہے کہ انناس کا باقاعدہ استعمال انسان کو موٹاپے سے محفوظ رکھتا ہے۔ مغرب میں کی جانے والی ایک حالیہ تحقیق میں یہ بات...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Feb 02, 2016 at 15:02
Category: health
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yaad Rakhta Hun
Mein logon sy mulaqaton k lamhay yaad rakhta hn
Mein baatein bhool bhi jaun to lehjay yaad rakhta hn
Sar-E-mehfil nigahein mjh pe jin logon ki parti hein
Nigahon k maani sy wo chehray yaad rakhta hn
Zara sa hut k chalta hn zamany ki riwayat sy
K jin pe boajh mein dalun, wo kandhay yaad rakhta hn
Main yun to bhool jata hn, kharashain talkh baaton ki
Magar jo zakhm gehray dein, ravayye yaad rakhta hn...!!!

Nov 05, 2015 at 02:11
Category: general
Poetry / General
Mehreen Ali
Ajeeb Shakhas Tha Kesa Mzaaj Rakhta Hai
Ajeeb shakhas tha kesa mzaaj rakhta hai
Saath reh kar bhi ikhtalaaf rakhta tha
Main kiun na daad doon us k fun ki
Mere har sawal ka pehly he jawab rakhta tha
Wo to Roshnion ka baasi tha magar
Meri andhair Nagri ka bara khyal rakhta tha
Muahabbat to usy kisi aor se thi shayed
Hum se to younhi hansi mazaaq rakhta tha

Sep 03, 2015 at 02:09
Category: general
Articles / Featured
Ijunoon
Maaltay Ka Juice Dil K Amraaz Se Mehfooz Rakhta Hai
طبی ما ہرین کے مطا بق روزانہ دو گلاس مالٹے کا جوس پینے سے دل کے امراض سے بچاؤ ممکن ہے۔ امریکی طبی ما ہرین کی ایک تحقیق کے مطا بق مالٹوں میں قدرتی طور پر ہیسپیریڈین نا می اجزا پائے جاتے ہیں جو جوس کی ص...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jun 25, 2015 at 21:06
Category: featured
Sponored Video