Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dikhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Kay Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey

·
1 Like ·
Feb 13, 2017 at 16:02
Category: sad
Poetry / Sad
Mein Aksar Raat ko Tanha Akeley Main
Mein
Aksar Raat ko
Tanha Akeley Main
Tum hi Ko Yaad Karta ho
Tumhari Jheel Si Sharmati Ankhon Ko
Jo Mujh Ko Dekh Kar
Ek PaL
Haya Ke Lal Pardoon Main
Simat Si Jati Theen
Tumhare Haath Ke Thande Paseene
Jo Tanha Dekh Kar Mujh Ko
Bari Chahat Se Aatey Thay
Mein
Joon Hi Haath Main Apne,, Tumhara Haath Leta Tha
Mere Haathon Ki Garmi Se
Paseeney Bhaap Ban Ke
Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay
Unhi Ko Yaad Karta hon
Woh Jab Thak Kar
Tumhari Gaud Mein Sar Rakh Ke Soota Tha
Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke
Hazaron Qaafley Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen
Baday Hi Pyar Se
Jab Mujh Ko Takti Theen
Aur Kehti Theen
Apni Aankhon Ko Band Rakhna
Mujhay Bus Dekhne Dena
Aur
Dheere Se
Mere Maathay Ko
Apne Hoonton Se Choo Kar
Tum
Apne Pyarey Haathon Se
Chupaney Ke LiYe Khud Ko
Meri Aankhon Ko Dekhti Theen
Woh Lamhey Yaad Karta Hon
Mein Ab Tanha hon
Boht Masroof Rehta hon
Subha Se Shaam Tak!!
Is Dhoop Main Khud Ko Rakhta hon
Thakan Se Choor Ho key
Laut Ke Jab Ghar Ko Ata hon
Udaasi Ke Ghanay Badal
Mere Dil Pe Baraste Hain
Unhi BaadLon Se Bachney Ko
Laga Ke Shola Hoonton Se
Mein Chhatt Pe Bhaag Jata hn
Tehelta hon
Bohut Bechain Hota hon
Tumhi Ko Yaad Karta hon
Ke
Tum Hotii To Yeh Hota
ke
Tum Hotii To Woh Hota

Feb 01, 2017 at 16:02
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Raat Chup Chaap Safar Karti Hai
Raat chup chaap safar karti hai
dil ki wehshat ka talatum bhi thehar jaata hai
neend tareek hawiley ki tarah
aankh say door fazaoun main ataaq jaati hai
or phir rooh k weeraan zamanon say kaheen
teri awaaz chali aati hai
phailta jaata hai lehjoun ka fusoon
sarsaratay huay pattoun ki sada
kaheen awaara hawa ki dastak
tairgi main kisi mitti k diyey ki dharkan
khuwaab ki chaap
sar shab kisi bhatkey huay bey khuwaab musaafir ka gumaan
or phir saari sadayain sab he gham
teri awaz main dhal jaatey hain
dhoondti phirti sadayain sar barbadi-e-dil
shehar dar shehar safar karti hain
or agar thehar bhi jayain kaheen ik do pal
ghamzada shehar main barbaad musafir ki tarah
bey nawa umr k zandaanon main
raat chup chaap safar karti hai
Hum jahan hon
Teri awaaz chali aati hai!!!!

Dec 13, 2016 at 05:12
Category: sad
Poetry / Sad
Raat Aai Hai Balaoon Se Rihai Degi
raat aai hai balaoon se rihai degi
ab na divaar na zanjir dikhai degi
vaqt guzara hai pa mausam nahi badla yaro
aise gardish hai zamiin Khud bhii duhaaii degii
ye dhundalka sa jo hai us ko Ganimat jano
dekhana phir koi suurat na sujhai degi
dil jo TuTega to ik tarfa tamasha hoga
kitane aainon men ye shaql dikhai degi
sath ke ghar men baDa shor barpa hai Anwar
koi aayega to dastak na sunai degi

Nov 19, 2016 at 07:11
Category: sad
Poetry / Love
Ijunoon
Mujhe Aaj Bhi Uss Raat Ka Intzaar Hai
Mujhe aaj bhi uss raat ka intzaar hai,
Jisme maine ussey chaand main dekha tha,
Mujhe aaj bhi unn sapno ka intzaar hai
Jinme unsey mila tha,
Mujhe aaj bhi unn palo ka intzaar hai,
Jinme unke saath tha,
Mujhe aaj bhi unka intzaar hai,
Mujhe intzaar hai har uss baat ka,
Jo maine unke saath ki hai,
Mujhe aaj bhi intzaar hai unn aakhon ka,
Jo mujy har pal dekhti hai,
Mujhe aaj bhi intzaar hai haaton ka,
Jo mere haaton main hai,

Nov 02, 2016 at 02:11
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai
Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai
Dard K Maaron Se Yeh Baat Kahan Hoti Hai
Ek Se Chehre To Hote Hein Is Duniya Main
Ek Si Sorat-E-Haalaat Kahan Hoti Hai
Zindagi K Wo Kissi Mor Pe Jab Mil Hi Gaye
Mil To Jaate Hain Mulakaat Kahan Hoti Hai
Aasmano Se Koi Boond Nahi Barse Gi
Jalte Sehraao Main Barsaat Kahan Hoti Hai
Yoon To Auron Ki Bohat Baatein Sunaai Unn Ko
Apni Jo Baat Hai Woh Baat Kahan Hoti Hai
Jaisi Agaaz-E-Mohabbat Main Hua Karti Thi
Waisi Phir Shidat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai
Pyar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jin Ko
Un K Zehno Main Bhala Zaat Kahan Hoti Hai

Oct 21, 2016 at 13:10
Category: general

Oct 21, 2016 at 07:10
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Beeti Raat Ka Fasana
Bus Yahi Kehna Hai
Humay Tumsay Ae Dost
Bharosa Toot Jae To
Dil Bechain Hota
Zindgi Badal Si Jati Hai
Ansoun Tarap Se Jatay Hain
Kabhi Chahat Jo Kr Baitho
Kisi Shaks Ko Panay Ki
Na Betab Hona Tum
Bus Mujhko Pukar Laina
Chandni Ka Aks Mai Hoon Jaan
Tumharay Paas Aaongi
Tumhari Mushkil Mitaongi
Suno Ye Na Kehna Tum
K Kuch Pal To Ruk Jao
Mujhay Buhat Takleef Hoti Hai
Jab Mai Hasnay Lagti Hon
Kuch Yad Ata Hai
Mai Phir Tarapnay Lagti Hoon
Buhat Phir Ronay Lagti Hoon
Chaandi Bujh Si Jati Hai
Subah Jag Jati Hai
Bht Hoti Hai Khush Dunia
Wo To Yahi Samajhtay Hain
Unhay Neya Din Mila Hai Ik
Magar Koi Na Janay
Beeti Raat Ka Fasana..!!
Humay Tumsay Ae Dost
Bharosa Toot Jae To
Dil Bechain Hota
Zindgi Badal Si Jati Hai
Ansoun Tarap Se Jatay Hain
Kabhi Chahat Jo Kr Baitho
Kisi Shaks Ko Panay Ki
Na Betab Hona Tum
Bus Mujhko Pukar Laina
Chandni Ka Aks Mai Hoon Jaan
Tumharay Paas Aaongi
Tumhari Mushkil Mitaongi
Suno Ye Na Kehna Tum
K Kuch Pal To Ruk Jao
Mujhay Buhat Takleef Hoti Hai
Jab Mai Hasnay Lagti Hon
Kuch Yad Ata Hai
Mai Phir Tarapnay Lagti Hoon
Buhat Phir Ronay Lagti Hoon
Chaandi Bujh Si Jati Hai
Subah Jag Jati Hai
Bht Hoti Hai Khush Dunia
Wo To Yahi Samajhtay Hain
Unhay Neya Din Mila Hai Ik
Magar Koi Na Janay
Beeti Raat Ka Fasana..!!
·
1 Like ·
Sep 22, 2016 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Pee Ke Raat Ko Hum Unko Bhulane Lage
Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage
·
1 Like ·
Aug 13, 2016 at 14:08
Category: sad
Sponored Video