Search
Poetry / Love
Kal Chodween Ki Raat Thi
Kal chodween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chand hai, kuch ne kaha chehra tera
Hum bhi wahin mojood the, hum se bhi sub ne poocha
Hum huns diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera
es sheher mein kis se milein? Hum se to choote mehfilein
Her shakhs tera naam le, her shakhs deewana tera
Kooche ko tere chor ker jogi hi ban jaein magar
Jungal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera
Hum or rasm-e-bandagi? aashuftagi? uftadgi?
Ehsan hai kia kia tera? Ay husn-e-be parwah tera
Wo ashk jane kis liye, palkon pe aa ker tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera
Hum per yeh sakhti ki nazar? Hum hain faqeer-e-rahguzar
Rasta kabhi roka tera? Daman kabhi thama tera?
Be dard sunani ho to chal, kia achi kehta hai ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shair tera, Insha tera

·
1 Like ·
Jul 09, 2017 at 20:07
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kal Raat Bazam Mein Jo Milla Gulbadan Saa Tha
Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha
Daikha Ussay Tu Bol Parray Uss Kay Khad o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha
Tanhaiyoon Ki Ruut Mein Bhi Lagta Tha Mutmaeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha
Socha Usay To Mein Kai Rangon mein Kho Gaya
Aalam Tamaam Uss Kay Haseen Payrahan Saa Tha
Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha
Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bholpan Saa Tha
Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha es Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha
Woh Guftagoo Thi Uss Ke, Ussi Kay Liay Hee Thi!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Tha
Taray Thay Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thay
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mairay Kafan Sa Tha

Jun 04, 2017 at 03:06
Category: love
Advertisement
Poetry / 0
Ijunoon
Zindagi ek Raat hai
Zindagi ek
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
·
2 Like ·
May 29, 2017 at 23:05
Category: 0
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mein Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooraj kidhar se nikla tha
ye kon phir se mujhy raston main choar gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla tha
ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha
mein raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chasm-e-tar se nikla tha
wo qais ab jisay majnoo pukarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha

May 28, 2017 at 10:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Raat Ka Aakhri Pehar
Raat Ka Aakhri Pehar Tha!
MuJh Se Chand Ne Kaha'
Humnasheen Alvida'
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai'
Kal Milain Ge isi Jagah'
Main Sun Kar Muskura Diya
Us ko Batla diya
Jaanay walay Lottay nahi, Tum nahi aao ge
Mujhe hai yaqeen
Meri bat sun kar woh ruk gaya
Aur kehne laga
Tum se wada karoon phir poora na kron
Aisa mumkin nahi
Sun aey Humnasheen
Main CHAND Hoon
Insaan Nahi!

May 15, 2017 at 11:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhay Aarzo e Sehar Rahi Yon Hi Raat Bhar
Mujhay Aarzo -e- Sehar Rahi Yon Hi Raat Bhar Bari Dair Tak
Na Bikhar Sakay Na Simat Sakay Yon Hi Raat Bhar Bari Dair Tak
Hay Bohat Aazab Or Akelay Hum, Shab -e- Ghum Bhi Meri Taveel Tar
Rahi Zindagi Bhi Saraab Or Rahi Aankh Tar Ba Tar Dair Tak
Yaha Har Taraf Hay Ajeeb Samaan, Sab Hi Khud Pasand, Sab Hi Khud Numa
Dil -e- Be Qaraar Ko Na Mila Koii Chara Gar Bari Dair Tak
Mujhay Zindagi Hay Azeez Tar, Isi Wastay Meray HumSafar
Mujhay Qatra Qatra Pila Zehar Jo Karay Asar Bari Dair Tak

Apr 27, 2017 at 11:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Raat Ki Aankhain Bheegi Thi
Kuch Raat Ki Aankhain Bheegi Thi
Or Chand Bhi Rootha Rootha Tha
Kuch Yaadain Us Ki Baki Thi
Or DIL Bhi Toota Toota Tha
Kis Morr Pay Bichray Yaad Nahi
Honton Pay Koii Faryaad Nahi
Us Waaday Ki Bhi Khabar Nahi
Wo Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Or Ak Hi Dua Hum Kartay Hain
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
Or Chand Bhi Rootha Rootha Tha
Kuch Yaadain Us Ki Baki Thi
Or DIL Bhi Toota Toota Tha
Kis Morr Pay Bichray Yaad Nahi
Honton Pay Koii Faryaad Nahi
Us Waaday Ki Bhi Khabar Nahi
Wo Sacha Tha Ya Jhoota Tha
Har Lamha Aahain Bhartay Hain
Or Ak Hi Dua Hum Kartay Hain
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
Ay Kaash Wo Wapis Aa Jaye
·
1 Like ·
Apr 03, 2017 at 17:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Wo Shaks Raat Phir Meri Hansti Pay Chaah Gia

Itna Qareeb Aaya Ke Dil Main Sama Gia
Wo Ak Pal Jo Day Gia Aasoodgi Ki Lehar
Jazbon Ki Taaza Dhoop Main Pagal Bana Gia
Pehlay Wo Meray Wajood Pay Utra Wo Boond Boond
Barsa Wo Phir Ghata Ki Tarah Mujh Pay Chaah Gia

Feb 26, 2017 at 14:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ye Aankh Bhi Ye Khuab Bhi Ye Raat Bhi Uski
ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski
har baat pe yaad aati hai har baat bhi uski
jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankhon men liey phirtay hain soghaat bhi uski
har sholay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday men hekiyaat bhi uski
lafzon men sajatay hain usi husn ki khusbo
aankhon men chupatay hain shekiyaat bhi uski
kya kijiey achi hamen lagti hai hamesha
dewaangi e dil men har baat bhi uski
jis shakhs ne manzar ko naey phool diye thay
hain dour e khizan par anayaat bhi uski
aata hai nazar majma e ahbaab men Adil
lakhon men akali hai mgr zaat bhi uski

Feb 17, 2017 at 10:02
Category: love
Sponored Video