Search
Poetry / 0
Bari Umr Hay Tumari (Pak Old)
Abhi dhundh hi rahi thi
Tumeen yeh nazar hamari
K tum aa gaye achanak
Bari umr hay tumari
Abhi kuch hi dair pahle
Bara zikar tha tumara
Kai bar dharkanon ne
Tumeen piyar se poukara
Mit'ta intezar dil ka
Hui khatm bekarari
Hamein piyar ki khushi se
Kiya aashna tumhi ne
Tumeen piyar ham woh dein ge
Jo deya na ho kisi ne
K tumari zindagi hay
Hamein jaan se bhi piyari
Woh nazar k samne hay
Jisey ham ne dein sadayeen
Jo karaar ban k aya
Usey kyun na dein duayeen
Tumeen yeh nazar hamari
K tum aa gaye achanak
Bari umr hay tumari
Abhi kuch hi dair pahle
Bara zikar tha tumara
Kai bar dharkanon ne
Tumeen piyar se poukara
Mit'ta intezar dil ka
Hui khatm bekarari
Hamein piyar ki khushi se
Kiya aashna tumhi ne
Tumeen piyar ham woh dein ge
Jo deya na ho kisi ne
K tumari zindagi hay
Hamein jaan se bhi piyari
Woh nazar k samne hay
Jisey ham ne dein sadayeen
Jo karaar ban k aya
Usey kyun na dein duayeen
·
1 Like ·
Oct 06, 2015 at 14:10
Category: 0
Poetry / Sad
Tuut Jaye Ga Dil (Pak Old)
Kiya khabar thi hamein
Tuut jaye ga dil
Khawab ashkoon ki surat
Bikhar jayeen ge
Lab taraste raheen ge hansi k liye
Gham k tufaan sar se guzar jayeen ge
Dekhte dekhte gum huwe raaste
Ab andheroon k hain duur tak silsaley
Hamsafar hay na ab apna sathi koy
Aye gham_e_dil bata ham kidhar jayeen ge
Shab k daman pe hain gham ki parchaiyan
Apni kismat main lekhi hain tanhaiyan
Ashq aankhon se bahte raheen ge sada
Dil k armaan dil main hi mar jayeen ge

2 Like ·
Oct 06, 2015 at 07:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Woh Mera Na Tha (Pak Old)
Faasle aise bhi hoon ge yeh kabhi socha na tha
Samne baitha tha mere aur woh mera na tha
Yeh sab hi viraniyan un k juda hone se thin
Aankh dhundlayi hui thi shehar dhundlaya na tha
Woh k khushbo ki tara phaila tha mere chaarsoe
Main jise mehsos kar sakta tha chuo sakta na tha
raat bhar pichali hi ahat kaan main ati rahi
jhank kar dekha gali main koy bhi aya na tha
Yun to chehre the hazaron anjuman main zofashan
Aankh jis ko dhundhti thi aik woh chehra na tha
Yaad kar k bhi unheen taklif hoti thi......
Bhool jane k siwa ab koy bhi chara na tha.

Oct 05, 2015 at 21:10
Category: sad
Poetry / Songs Lyrics
Aye Dil (Pak Old)
Aye dil kisi ki yaad main hota hay bekarar kyun
Jis ne bhula deya tujhe us ka hay intezar kyun
Woh na mile ga ab tujhe jis ki tujhe talash hay
Raahon main aaj bekafan teri wafa ki lash hay
Yeh to zara bata mujhe tune kiya tha pyaar kyun
Aanso jo hain ruke huwe hans k inhen baha bhi de
Jitne hain daag pyaar k ro k unhen mitaa bhi de
Tu ne hay phir bana liya gham ko gale ka haar kyun
Ayegi tuj main roshni ab na kisi k naam se
Tu woh deya hay mere dil jo k bhuja ho shaam se
Phute gi phir koy kiran tuj ko hay ehtbar kyun

Oct 05, 2015 at 14:10
Category: songs-lyrics
Poetry / Sad
ELAHI (Pak Old)
ELAHI aanso bhari zindagi kisi ko na de
Khushi k baad gham e bekasi kisi ko na de
Udas dil ki tamana hay ashqbaar hoon main
khizaan main jaise baharoon ki yaadgaar hoon main
Udasi jis pe hanse woh hansi kisi ko na de
Ujaar kar meri dunya ko rakh deya tu ne
Meri hayat k malik yeh kiya kya tu ne
Jo ghamnaseb ho esi khushi kisi ko na de
khushi k baad gham e beykasi kisi ko na de

Oct 05, 2015 at 08:10
Category: sad
Poetry / Sad
Tanhaiyon Ke Dais Main (Pak Old)
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
Us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaan
Chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
Aawaz mein tharao tha aankhoon mein nami thi
Or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
Jane kya us ko loghon se theen shikayateen
Tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
Khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho geya
Mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....

Oct 05, 2015 at 01:10
Category: sad
Poetry / General
Guzre Lamhon (Pak Old)
Guzre lamhoon ki uljhi huy door k us taraf
khuwab mere jahan mati main the
Barshon ne wahan ghaas itni uga di
Koy rahnama si ilamat, nishani kuch bacha hi naheen
Kuch bacha hi naheen k kisi yaad ki
koy uljhi hui ghira kholty!
Woh sira dhundhty!
Aik bheidoon bhara aur zamanoon pe phela huwa
Woh sira dhundhty!
Jo kaheen khuwab aur us ki tabeer k darmiyan kho gaya!
Ho chuki hain bohut hijar ki barshain
Din bohut ja chuke!
khuwab mere jahan dafan mati main hain
Ab wahan har taraf ghaas hi ghaas hay
Aur is ghaas main sarsarata huwa
Saanp sa aik dar hay,
kaheen yeh na ho!
Dhundty dhundty woh sira mil bhi jaye!
Woh ghira khul bhi jaye!
To lamhon ki uljhi huy door k us taraf
Kuch na ho......!!!

Oct 04, 2015 at 17:10
Category: general
Poetry / General
Raat ki seej khali khali hay (Pak Old)
Raat ki seej khali khali hay
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay pare had e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay
keh rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kehni thi baat, keh aaye
Aur jo kehni thi woh chupa li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!
Phir wohi aansoon ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phelti ja rahi hay kos e qazha
Dil pe kis ne nigah daali hay!!!
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay pare had e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay
keh rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kehni thi baat, keh aaye
Aur jo kehni thi woh chupa li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!
Phir wohi aansoon ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phelti ja rahi hay kos e qazha
Dil pe kis ne nigah daali hay!!!
·
1 Like ·
Oct 04, 2015 at 07:10
Category: general
Poetry / Sad
Tere Binaa (Pak Old)
Tere binaa yun ghariyaan biteen
jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay
majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne
dil k dag jalaye hain
Har gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!
jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay
majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne
dil k dag jalaye hain
Har gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!
·
1 Like ·
Oct 03, 2015 at 16:10
Category: sad
Sponored Video